AAJ KA SAWAL) Darhi Munde Ki Imamat Wa Taraweeh

DARHI MUNDE KI IMAMAT WA TARAWEEH

⭕AAJ KA SAWAL NO.676⭕

Ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi?
Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare?

��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Faqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai,
1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi?;
2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai is jahalat ke daur me darhi katane wale ki imamat jaiz hai aesi galat fahmi felne Ka bhi andesha hai
��(Ahsanul fatawa 3/262  se makhooz)

Mufti e a'azam Hazrat mufti kifayatullah rh.likhte hain Agar dusra is behtar imam mil sakta hai to use imam na banaya jaye

��kifayatul mufti 3/87

Aesa imam sakht gunehgar hai us ke pichhe namaz makroohe tahreemi hai aur woh wajibul ihanat (be izzat kiye jane ka qabeel) hai us ko imam banane me us ki tazeem hai isliye us ko imam banana jaiz hee nahi.

��imdadul muftiyyeen 1/261bahawala shami 1/276

Agar koi aesa shakhs zabardasti imam ban gaya ya trastiyon ne bana diya (jese ke aj kal sirf reshtedar hone ke wajha se imam bana dete hai) aur hatane par qudratna na ho to kisi dusri masjid me nek-salih imam talash kare agar na mile to jamaat na chhode balke us fasiq ke pichhe hee namaz parh le us ka azab aur wabal masjid ke muntazimeen-zimmedaron par hoga.

��ahsanul fatawa 3/26

Us ko imam banana makrooh hai albattah agar woh khud imam bankar namaz parhawe to namaz ho jayegi agarche woh sawab na mile jo muttaqee imam ke pichhe parhne se milta hai

��fatawa mahmoodiya 7/43

Iseetarah agar sab muqtadi darhi munde ho to darhi mundane wala imam ban jaye.

��kifayatul mufti 3/57

��masaile imamat 58 se 60 ka khulasa

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit Sarch Kare.. ����

https://islamimessagesddim.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai