Posts

Showing posts from August, 2020

👆🏻10 Muharram ko ghar walo ko umda khana khilaaye. Isse rizq mein barkat hoti hai 🌹 Zaroor sune 💯

Muharram-08《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「 ﷽ 」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐 Muharram-08🌐 《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo》 ⚀•➻┐         Shia Hazraat Is Mahine Jo Kuch Karte Hai Wo Apne Maslak Ke Mutabiq Karte Hai; Lekin Bahut Se Ahle Sunnat Hazraat Bhi Aisi Majliso Mein, Tazyo Mein, Aur In Kamo Mein Sharik Ho Jate Hai, Jo Bidat Aur Munkar (Yaani Burai) Ki Tarif Mein Aa Jaate Hai. ⚀•➻┐         Quraan Ne To Saaf Hukam De Diya, Ke In Mahino Mein Apni Jano Par Zulm Mat Karo Balke In Awqat Ko Allah Taala Ki Ibadat, Zikr O Tilawat Mein, Roza Rakhne Mein, Aur Allah Ki Taraf Ruju Karne Mein Aur Us Se Duae Karne Mein Sarf (Yani Kharch) Karo, Aur In Fuzuliyat Se Apne Aapko (Aur Apne Ghar Walo Ko) Bachao. ⚀•➻┐         Allah Apne Fazl Aur Karam Se Is Mahine Ki Hurmat, Aur Aashura Ki Hurmat Aur Azmat Se Faaida Uthane Ki Taufiq Ataa Farmaye. Aameen . ✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖ ╟❥ Alhamdulillah…             Ye Post       Muqammal Hua…., ✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖ ╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Muharram-07 ( Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein )

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮  🌐Muharram-07 🌐 📚Sawaal-O-Jawaab 🌀(( Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein))🌀 ♦Sawaal : 9,10 Muharram Ka Roza Ka Matlb 1000 Haj 1000 Shaheedo 1000 Umra 1saal K Guna Maff Aur 2 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Dusro Ko Batane Par 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab! ☝Kya Ye Mo'Tabar (Sahi) Hai?  🅰Jawaab : Daswein Muharram Ke Roze Ki Fazeelat Ke Silsile Mein Kutub-E-Ahadees Dekhi To Ek Fazeelat To Ye Mili Ke Iss Din Ka Roza Rakhna, Ye Guzishta Ek Saal Ke Gunaahon Ka Kaffara Hai. [📓Saheeh Muslim] Isi Tarah Dusri Riwaayat Mein Ye Hai Ke Rozon Ke Silsile Mein Do Qism Ke Ayyam Ko Fazeelat Hai, Ek Ramazaan Aur Dusra Youm-E-Aashura, Lekin Inn Dono Ke Alaawa Fazeelat,,,  Ke Hazaar Hajj Aur Hazaar Shaheed Aur Hazaar Umre Ke Barabar Sawaab Ho Aur Dusron Ko Bataane Par 80 Saal Ki Ibaadat Ka Sawaab Ho Wagerah, Ye Kisi Bhi Riwaayat Mein Nahi Mila Aur Aisi Be-Sanad Baatein Dusron Ko Share Bhi Nahi Karni Chaahiye. 🌀((Daswein Muharram Ko Ghar Waalon Par Fa

Muharram-06《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」   ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐 Muharram-06🌐 《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》 Quraan Ne Jaha Hurmat Wale Mahino Ka Zikr Farmaya Hai, Us Jaga Ek Ajib Jumla Irshad Farmaya. (Suarh Taubah/36)  Yani Tum In Hurmat Wale Mahino Mein Apni Jaano Par Zulm Na Karo Zulm Na Karne Se Murad Ye Hai Ki In Mahino Mein Gunaho Se Bacho, Bidat, Aur Bure Kamo Se Bacho, Chuke Allah Taala To Gaib Ke Janne Wale Hai, Jaante The, Ke In Hurmat Wale Mahino Mein Log Apni Jaano Par Zulm Karenge, Aur Apni Taraf Se Ibadat Ke Tariqe Ghad (Invent) Kar Ke Un Par Amal Karna Shuru Kar Denge Is Liye Farmaya: Ki Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.   ╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Muharram-05《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」   ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐 Muharram-05 🌐 《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》 Aashura Ke Din Logo Ne Jo Aur Aamal Ikhtiyar Kar Rakhe Hai, Unki Quraan O Sunnat Mein Koi Bunyaad Nahi, Masalan Aashura Ke Din (Khichda Pakna) Zaroori Hai, Agar Khichda Nahi Pakaya To Aashura Ki Fazilat Hasil Nahi Hogi. Is Qism Ki Koi Baat Na To Nabie Karimﷺ Na Sahaba [Rd] Ne, Na Taabien Ne Bayan Farmai, Aur Na Buzurgane Deen Ne Is Par Amal Kiya “Sadiyo” Tak Iska Kahi Wujood Nahi Milta.   《Aashura Ke Din Ghar Walo Par Vusat Karna.》 Haan ! Ek Zaeef Hadees Hai, Jisme Nabie Karimﷺ Ka Irshad Manqool Hai, Jo Shakhs Aashura Ke Din Apne Ghar Walo Par Aur Jo Uske Ayaal Mein Se Hai, Masalan Uske Biwi Bachhe Wagerah Unko Aam Dino Ke Muqable Mein Umda Aur Achha Khana Khilaye, Aur Khane Mein Vusat Kare, To Allah Taala Uski Rozi Mein Barkat Ataa Farmaenge. Ye Hadees Agarche Sanad Ke Atebar Se Mazboot Nahi Hai Lekin Agar Koi Shakhs Is Par Amal Kare To Koi Haraj Nahi Balke Allah Taala Ki Rahmat Se Umeed

Muharram-04《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」   ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐 Muharram-04🌐 《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》 Jab Nabie Karimﷺ Ne Ibadat, Aur Neki Ke Kaam Mein Mushabahat Pasand Nahi Farmai, To Doosre Kaamo Mein Agar Musalman Unki Mushabahat Ikhtiyar Kare, To Ye Kitni Buri Baat Hogi! Agar Ye Mushabahat Jan Bujh Kar Is Maqsad Se Ki Jaye, Taake Mein Un Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai. Nabie Karimﷺ Ne Irshad Farmaya: Jo Shakhs Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtiyar Kare, Wo Usi Qaum Mein Dakhil Hai.  📓Abu Dawood. Masalan Agar Koi Shakhs Angrezo Ka Tariqa Is Liye Ikhtiyar Kare, Taake Mein Dekhne Mein Angrezo Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai. Lekin Agar Dil Mein Ye Niyat Nahi Hai, Ke Mein Unke Jaisa Nazar Aau, Balke Vaise Hee Mushabahat Ikhtiyar Karli, To Ye Makrooh Zaroor Hai. Note➻ Isliye Muharram Ka 2 Roza Har Mard Aur Har Ladies Rakhne Ka Ahtemam Kare ╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Muharram-03《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」   ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐 Muharram-03🌐 《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》 Aap ﷺ Ke Is Irshad Mein Hame Ek Aur Sabaq Milta Hai Wo Ye Ke Gairo Ke Saath Thodi Si Bhi Mushabahat Aap ﷺ Ne Pasand Nahi Farmaya, Halake Wo Mushabahat Kisi Bure Aur Na Jayaz Kaam Mein Nahi Thi; Balke Ek Ibadat Mein Mushabahat Thi, Ke Is Din Wo Jo Ibadat Kar Rahe Hai, Ham Bhi Is Din Wahi Ibadat Kar Rahe Hai;  Lekin Aap ﷺ Ne Isko Bhi Pasand Nahi Farmaya. Q ? Is Liye Ke Allah Taala Ne Musalmano Ko Jo Deen Diya Hai Wo Doosre Deeno Se Alag Hai, Aur Unsab Par Fazilat Rakhta Hai;  Lihaza Ek Musalman Ka Zahir Aur Batin Bhi Gairo Se Alag Hona Chahiye; Chunanche Hadees Mein Jagah Jagah Ye Irshad Milega Jisme Nabi Karim ﷺ  Ne Farmaya Ke Ghairo Se Alag Tariqa Ikhtiyar Karo Masalan Irshad Farmaya: Mushrikin Jo Allah Taala Ke Saath Doosro Ko Shareek Therate Hai, Unse Apna Zahir Va Batin Alag Rakho.  📓  Bukhari ❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Muharram-02 | Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「 ﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐Muharram-02 🌐 《Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi.》 Is Tahqiq Mein Padne Ki Zaroorat Nahi Ki Kis Waja Se Allah Taala Is Din Ko Fazilat Bakhshi? Balki Ye Sab Allah Taala Ke Banaye Hue Din Hai,Wo Kis Din Ko Chahte Hai Apni Rahmato Aur Barkato Ke Liye Pasand Kar Lete Hai, Wo Hee Iski Hikmat Aur Maslihat Ko Jante Hai, Hamari Aur Aapki Aqal Se Bahar Ki Baat Hai Is Liye Is Bahas Mein Padne Ki Zaroorat Nahi.  《Is Din Sunnat Wale Kaam Kare.》 Itni Baat Zaroor Hai Ki Jab Allah Taala Ne Is Din Ko Apni Rehmat Aur Barkat Ke Liye Pasand Kar Liya To Iska Ahtiram Ye Hai Ki Is Din Ko Us Kaam Mein Istemaal Kiya Jaye, Jo Kaam Nabie Karim ﷺ Ki Sunnat Se Saabit Ho, Sunnat Ke Taur Par Iska Ek Hukam Hai Ke Is Din Roza Rakha Jaye, Chunanche Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Din Mein Roza Rakhna Guzishta Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega. Bas Ek Hukam Sunnat Hai Iski Koshish Karni Chahiye, Allah Taala Iski Taufiq Ataa Farmaye, Aameen.  ╰┅┈•

Muharram-01《Aashura Ka Roza》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」   ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮ 🌐Muharram-01🌐 《Aashura Ka Roza》 Khas Taur Par Muharram Ki 10vi Tarikh, Jisko Aam Taur Par Yavme Aashura Kaha Jata Hai, Jiske Maana Hai Dasva Din Ye Allah Taala Ki Khususi Rahmat Va Barkat Ka Din Hai. Jab Tak Ramzan Ke Roze Farz Nahi Hue The, Us Waqt Tak Aashura Ka Roza Rakhna Musalmano Par Farz Qarar Diya Gaya Tha, Baad Mein Jab Ramzan Ke Roze Farz Ho Gaye, To Aashura Ke Roze Ka Farz Hona Khatam Hogaya. Lekin Nabie Karim ﷺ  Ne Aashura Ke Din Roza Rakhne Ko Sunnat Aur Mustahab Qarar Diya Hai. Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Ye Irshad Farmaya Ke Mujhe Allah Taala Ki Rahmat Se Ummid Hai Ki Jo Shakhs Aashura Ka Roza Rakhega, To Uske Pichhle Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega.  ╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Saaleheen ke khwābon ka bayān:

Image
📚 Saaleheen ke khwābon ka bayān: Book of Interpretation of Dreams: Narrated Anas bin Malik: Rasool Allah (ﷺ) ne farmāya, "Kisi nek aadmi ka accha khwāb Nabuwwat ka 46 wa hissa hai." (Sahih Bukhari, Book 91, Hadith 2) 💎 💎 💎

🇮🇳 Independence Day 🇮🇳 Post No | 4

★           ✧-----------------﷽-----------------✧       🇮🇳 Independence Day 🇮🇳                Special Post             🇮🇳 Post No-04 🇮🇳    ✧------------------------------------------✧ ╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗ 🔵 S A W A A L       ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥ ✧⇝❥15 August Ya 26 January Ke Mauqe Par Apne Desh Se Muhabbato-Aqaeedat Ka Izahaar Ke Liye "Jan Gaṇa Man" Ya Is Jaise Dusre Raaṣhtriya Taraane (National Rythem) Ya Geet Paḍhnaa Kaisa Hai ? 🔵 J A W A A B   ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆ ★➻Har Aisi Nazam (Kavita) Taraanaa Ya Geet Jisme Kufro-Shirk Wale Alfaaz Ho, Aise Taraanon, Geet Ya Nazam Ka Paḍhna Jaiz Nahin Hai, Fir Jis Kavita Ya Shero-Shaayri Me Kisi Ki Burayi Bayaan Ki Jaye, Ya Khamakhaa Ki Taarif Ki Jaaye To Woh Geet Ya Taraane Chaahe Rashtriya Ho Ya Gair Raashtriya, Unka Paḍhna Bhi Sahih Nahin Hai.  Haan Vaise Jis Geet Ya Taraane Me Kufariyyah Shirakiyyah Alfaaz Na Ho, Aise Hee Usme Jhooṭh, Kisee Ki Buraai Ya Jhooṭee Taarif Na Ho To Uska Paḍhnaa Jaiz Hai.  Aur "Jana Gaṇa Man " Tara

🇮🇳 Independence Day 🇮🇳 post | 3

★          ✧-----------------﷽-----------------✧      🇮🇳  Independence Day 🇮🇳                 Special Post             🇮🇳  Post No-03 🇮🇳    ✧------------------------------------------✧ ╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══ ╗ 🔵 S A W A A L       ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥ Vande Maataram Kehna Kaisa Hai ? Agar Na-Jaiz Hai To Kyun ? Kya Watan Se Muhabbat Nahin Karni Chahiye ? 🔵 J A W A A B   ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆ Musalmano Ko Is Mulk Se Badi Muhabbat Hai, Us Ne Is Mulk Ko Aazad Karane Ke Liye Aazadi Ki Jung Hinduon Se Pehle 1772 Me Shah Abdul Azeez Muhaddis E Dehalvi R.A. Ke Angrez Ke Khilaf Jihad Ke Fatwe Ke Baad Shuru Kar Di Thi, Usi Din Se Musalmono Ne Apne Khoon Se Hindustan Ki Dharti Ko Sincha Hai, Aur Watan Se Itni Ziyadah  Muhabbat Hai Ke Marne Ke Ba'Ad Naha Kar Isi Me Dafan Hota Hai, Lekin Musalman Ke Liye Ye Baat Mumkin Nahi  Ke Woh Kisi Cheez Ko Allah Aur Uske Rasool Se Ziyadah Chahe, Aur Usse Mohabbat Kare, Ya Uska Woh Ehteram Kiya Jaaye Jo Khuda Ke Liye Khaas Hai, Kyun Ke  Pooja Aur Bandagi Ke Laayak

Independence Day. post | 2

★          ✧-----------------﷽-----------------✧      🇮🇳  Independence Day   🇮🇳                 Special Post             🇮🇳  Post No-02 🇮🇳    ✧------------------------------------------✧ ╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══ ╗ 🔵 S A W A A L       ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥ 15 August Aur 26 January  Ko Jhandaa (Flag) Buland Kiya Jaata Hai Is Mauqe Par Shirkat Karnewale Bhi Haath Uthaakr Usko Salaami Paish Karte Hain Aur Jhande Ke Aage Jhukte Hain Uska Sharaee Hukm Kya Hai? 🔵 J A W A A B   ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆ Jhandaa Lehrana Aur Salami Dena  Durust Hai, Ek Siyasi Aur Faujee Amal Hai, Aur Ahle Ilm Ne Usko Jaaiz Qaraar Diya Hai, Albatta Us Mauqe Se Aisa Koi Amal Karna Jis Se Jhande Ki Gair Ma'Amuli [Extra Ordinary] Ta'Azim [Respect] Zaahir Hoti Ho Jaise Dono Haath Jodna Ya Jhuknaa Jaaiz Nahi Hai, Islami Point Of View Se Kisi Bhi Makhluq Ke Saath Is Tarah Ki Ta'Azim Ka Sulook Saheeh Nahin Hai.  🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳 Hazrat Mufti Kifayatullah Sahab Rahmatullahi Alayhi Farmate Hain "Jhan

🇮🇳 Independence Day 🇮🇳

★          ✧-----------------﷽-----------------✧      🇮🇳 Independence Day 🇮🇳                Special Post             🇮🇳 Post No-01 🇮🇳    ✧------------------------------------------✧ ╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗ 🔵 S A W A A L       ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥ ✧⇝❥Hindustan Se Islam Aur Musalmano Ka Kya Ta'Alluq Raha Hai Aur Muslaman Is Sar Zameen Se Kyun Muhabbat Karte Hai ? ✧⇝❥Musalman Hindustan Ko Unke Baap dada Ka Desh Kyun Kehte Hai ? 🔵 J A W A A B   ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆ Hindustan Se Hame Muhabbat Honi Chahiye Aur Yeh Hamaare Baap-Dada Ki Sar Zameen Hai Is Ki Kai Wujuhaat (wajah) Hai. Hindustan Musalmano Ke Liye Paraaya Mulk Ya Ajnabi Zameen Nahin Hai, Yahaan Unke Paygambar [As.] Se Lekar  Baap Daada Dafan Hue Hain. Puri Duniya Ke Musalmano Ka Yeh Aqeeda [Shradhdha] Hai Ke Insaan Ki Zaat Ke Paida Hone Ki Ibteda [Shuruaat] Hazrat Aadam [As.] Se Hui Hai, Duniya Me Jitne Insaan Guzar Gaye Aur Jo Haal Me [Abhi] Hai, Usme Gorey Ho Ya Kale, Hindustani Ho Ya Afriqi, America Europe Ke Rehne Wale, Arab Ho Y

Khairat karein Ghareebon ke liye

Image
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫ Make a Donation For The Poor (Sadqa Khairat karein Ghareebon ke liye )  Make a Donation to the poor via above QR Code Or UPI Address, InShaa Allah  We Will Surely Reach Your Payment in the Hands Of the Poor. Sadqa Khairat Karna Chahte Hain To Karsakte Hain Upar Diyegaye QR Code Ya UPI Address pe, Insha Allah zaroor Ham Aapke Maal Ko Gharibon Tak Pahoncha Deingey.  (Aage V Share Kare ) Jazakallah

Islamic Images

Image
جب دعا کرنا سب سے مشکل ہو تو زیادہ شدت سے دعا کرو ❤

Images Of The Day

Image
📖 وَّ  خَلَقۡنٰکُمۡ   اَزۡوَاجًا "Aur Hum ne tumhe joda joda paida kiya." [An-Naba, 78:8] 💎 💎 💎 Join Our Whatsapp Group  CLICK👈 तुम उन मस्जिदो को आमले इबादत से आबाद करो जो मस्जिदे अल्लाह ने तूमाहरे कब्जे मे दे रखी है, फिर वो मस्जिदे अल्लाह तुम्हे दे देगा जो मस्जिदे गैरो ने कब्जे मे ले लिया है 🕊️

Virus, Infection, Flue ,aur dusri buri Beemariyo se bachne ki dua

Bismillahirrahmanirraheem ✦ Virus, Infection, Flue ,aur dusri buri Beemariyo se bachne ki dua ----- اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ✦ Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta. (3 baar Subah aur 3 baar Shaam) ✦ Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan ------ بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.  (3 baar Subah aur 3 baar Shaam) ✦ Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai  Sunan Abu Dawud, Jild 3