🇮🇳 Independence Day 🇮🇳

     
   ✧-----------------﷽-----------------✧
     🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
               Special Post
            🇮🇳 Post No-01 🇮🇳
   ✧------------------------------------------✧

╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
🔵 S A W A A L
      ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥
✧⇝❥Hindustan Se Islam Aur Musalmano Ka Kya Ta'Alluq Raha Hai Aur Muslaman Is Sar Zameen Se Kyun Muhabbat Karte Hai ?

✧⇝❥Musalman Hindustan Ko Unke Baap dada Ka Desh Kyun Kehte Hai ?

🔵 J A W A A B
  ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Hindustan Se Hame Muhabbat Honi Chahiye Aur Yeh Hamaare Baap-Dada Ki Sar Zameen Hai Is Ki Kai Wujuhaat (wajah) Hai.

Hindustan Musalmano Ke Liye Paraaya Mulk Ya Ajnabi Zameen Nahin Hai, Yahaan Unke Paygambar [As.] Se Lekar  Baap Daada Dafan Hue Hain.

Puri Duniya Ke Musalmano Ka Yeh Aqeeda [Shradhdha] Hai Ke Insaan Ki Zaat Ke Paida Hone Ki Ibteda [Shuruaat] Hazrat Aadam [As.] Se Hui Hai, Duniya Me Jitne Insaan Guzar Gaye Aur Jo Haal Me [Abhi] Hai, Usme Gorey Ho Ya Kale, Hindustani Ho Ya Afriqi, America Europe Ke Rehne Wale, Arab Ho Ya Angrez, Ye Tamaam Insaan Hazrat Aadam [As.] Ki Aulaad Me Se Hai, Islaam Mazhab Ka Ye Aqeeda Hai, Aur Christian Aur Yahudi Ka Bhi Yahi Aqeeda Hai, Musalmaan Hazrat Aadam [As.] Ko Unke Dada Maante Hai, Isliye Unke Dada Ka Jo Watan Tha Wo Hee Watan Muslamano Ka Aslee Watan Hai, Hindustaan Jaise Bade Mulk Me Allah Ta'ala Ne Apne Kisi Khaas Paygambar Ko Zarur Bheja Hoga,  

Aaiye, Hum Aisi Kuchh Chizon Par Gour Kare Jisse Ye Pataa Chalta Hai Ke Hindustan Ki Puratan Kaal [Ibtedai Zamane] Se Chali Aa Rahi Jaaho Jalaali Kaisi Thi.  

1. Allama Ibnne Kaseer Ne Apni Tafseer Me Likha Hai Ke Suddee Rahmatullahi Alayhi  Farmate Hai Hz. Aadam [علیہ السلام ] Jannat Me Se Hindustan Ki Zameen Par Utre, Wahan Aap Ke Sath ‘’Hajre Aswad’’ Aur Jannat Ke Darakht Ke Kuchh Patte The.Un Patton Ko Adam علیہ السلام Ne Jannat Me Se Nikaale Jane Ki Wajha Se Afsos Karte Huwe Dabaya To Us Me Se Khushbu Paida Hui Aur Us Patte Ko Hindustan Me Fela Diye Usee Se Khushbu Dar Darakht Paida Huwe (Ood Ki Khushbu Ki Asal Yahi Hai). 

📓Tafseere Ibne Kaseer Jild 1 Safa 102)

2. Hazrat Aayesha Siddiqa [Rd.] Unki Riwayat Me Bayan Kar Ke Farmati Hai Ke: Hz. Aadam [As.] ‘’Sinhaldeep” Yani “Lanka” Ke Pahaad Par Utre Aur Maa Hawwa [As.] “Jiddah” Me Utri The, Hz. Aadam [As.] Bahot Lambe Arse Tak Maa Hawwa [As.] Ki Talaash Karte Rahe, “Muzdalifa” Jagah Par Dono Ka Milaap Huwa, Uske Baad Allah Ke Hukm Se Hz. Aadam [As.] Ne Khana E Kaaba Ki Taameer Ki, Aur Hindustan Me Aakar Rehne Lage
Hz. Aadam [As.] Ki Aulaaad Me Hz.Shees [As .] Bhi The, Aap Ki Mazaar Mubarak “Ayodhya” Faizabaad Me Hone Ka Bataya Jata Hai, 
Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke, Hz. Aadam [As .] Ne Hindustan Se 40 Haj Paidal Kiye The.
Tareekhee Riwayaton  Ye Niche Likhi Gayi Chizen Saabit Hoti Hai,  

1. Hindustan Allah Ke Sab Se Pehle Paygambar Hz. Aadam [As. ] Ne Jahaan Qadam Rakha Wo Zameen Hai. 

2. Hz. Aadam [As. ] Nabi The, Is Liye Sab Se Pehle Nubuwwat Ka Suraj Hindustan Me TuluA Huwa.

3. Duniya Me Sab Se Pehle “Ruhul Quddus” Hz. Jibraeel [As.] Sab Se Pehle Hindustan Me Naazil Huwe The.Yani Sab Se Pahli Wahee-Allah Taala Ka Farman Hindustan Me Utra, 

4. Ibne Asaakir [Rh.] Ne Hz. Sa’Ad (Rz. ) Ke Hawale Se Likha Hai Ke, Allah Ta’Ala Ne Hz. Aadam [As.] Ke Liye ‘’Dahnaa’’ Ki Mitti Li Thi, Research Karne Walon Ka Bayaan Hai Ke ‘’Dahnaa” Hindustan Ka Hi Koi Maqaam Hai.
(Taarikhe Dimashq 7/437)

5. Hz. Ibne Abbas [As] Se Riwayat Hai Ke Allah Ta’Ala Ne  Aadam {As.} Ki Qayamat Tak Paida Hone Wali Aulaad Se Jo “Ahad E Alast”(Me Tamam Insaan Ka Rab-Khuda Hun) Liya Tha, Wo Bhi Dahnaa Maqaam Par Liya Tha.

6.Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Paak Noor Hz. Aadam [As. ] Ke Saath Hindustaan Me Roshan Huwa.

〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai