Independence Day. post | 2

     
   ✧-----------------﷽-----------------✧
     🇮🇳  Independence Day  🇮🇳
                Special Post
            🇮🇳  Post No-02 🇮🇳
   ✧------------------------------------------✧

╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══
🔵 S A W A A L
      ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥

15 August Aur 26 January  Ko Jhandaa (Flag) Buland Kiya Jaata Hai Is Mauqe Par Shirkat Karnewale Bhi Haath Uthaakr Usko Salaami Paish Karte Hain Aur Jhande Ke Aage Jhukte Hain Uska Sharaee Hukm Kya Hai?

🔵 J A W A A B
  ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Jhandaa Lehrana Aur Salami Dena  Durust Hai, Ek Siyasi Aur Faujee Amal Hai, Aur Ahle Ilm Ne Usko Jaaiz Qaraar Diya Hai, Albatta Us Mauqe Se Aisa Koi Amal Karna Jis Se Jhande Ki Gair Ma'Amuli [Extra Ordinary] Ta'Azim [Respect] Zaahir Hoti Ho Jaise Dono Haath Jodna Ya Jhuknaa Jaaiz Nahi Hai, Islami Point Of View Se Kisi Bhi Makhluq Ke Saath Is Tarah Ki Ta'Azim Ka Sulook Saheeh Nahin Hai.

 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

Hazrat Mufti Kifayatullah Sahab Rahmatullahi Alayhi Farmate Hain "Jhande Ko Salaami De Sakte Hain, Islami Hukoomaton Me Bhi Hota Hai,

 Us Me Taazeem Ka Shubah Ho To Us Me Islaah Ho Sakti Hai. *(Is Tarah Ke Sar Buland Kar Ke Seena Taan Kar Salami Dee Jaye)* Lihaza Is Ko Mutlaqan-Bilkul Mushrikanah Amal Qaraar Dena Saheeh Nahi.

📓➻fatawa Raheemiyah 10/180 
        📚➻Kitabul Fatawa 1/281.
╚══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai