Muharram-03《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮
🌐Muharram-03🌐

《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》

Aap ﷺ Ke Is Irshad Mein Hame Ek Aur Sabaq Milta Hai Wo Ye Ke Gairo Ke Saath Thodi Si Bhi Mushabahat Aap ﷺ Ne Pasand Nahi Farmaya, Halake Wo Mushabahat Kisi Bure Aur Na Jayaz Kaam Mein Nahi Thi; Balke Ek Ibadat Mein Mushabahat Thi, Ke Is Din Wo Jo Ibadat Kar Rahe Hai, Ham Bhi Is Din Wahi Ibadat Kar Rahe Hai; 

Lekin Aap ﷺ Ne Isko Bhi Pasand Nahi Farmaya. Q ? Is Liye Ke Allah Taala Ne Musalmano Ko Jo Deen Diya Hai Wo Doosre Deeno Se Alag Hai, Aur Unsab Par Fazilat Rakhta Hai; 

Lihaza Ek Musalman Ka Zahir Aur Batin Bhi Gairo Se Alag Hona Chahiye;

Chunanche Hadees Mein Jagah Jagah Ye Irshad Milega Jisme Nabi Karim ﷺ  Ne Farmaya Ke Ghairo Se Alag Tariqa Ikhtiyar Karo Masalan Irshad Farmaya: Mushrikin Jo Allah Taala Ke Saath Doosro Ko Shareek Therate Hai, Unse Apna Zahir Va Batin Alag Rakho. 

📓  Bukhari
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁

╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai