Posts

Showing posts from April, 2016

AAJ KA SAWAL) Ulti Hone Se Wuzu Tootne Ke Masail

ULTI HONE SE WUZU TOOTNE KE MASAIL ⭕AAJ KA SAWAL NO.667⭕ Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما 1.Agar kai (ulti) huyi aur usme khana ya paani ya pitt gire to, agar munh bhar kar kai-ulti huyi ho to wuzu tut gaya, aur munh bhar kai nahi huyi to wuzu nahi tuta. aur munh bhare hone ka matlab hai ke mushkil se munh me ruke aur agar kai me sirf balgam gire to wuzu nahi gaya chhahe jitna ho. muh bhar ho ya na ho, sabka ek hi hukam he, aur agar kai(vomit) me khun gire to agar patla aur behta huva ho to wuzu tut jayega. chahe kam chahe ziyadah muh bhar kar ho ya na ho. 2. THODI THODI (zaraa zaraa) vomit KAEE BAAR HONA: Agar thodi thodi karke kaee baar kai-vomit huyi, lekin sab milakar itni hai ke agar ek baar girti to muh bhar ho jati, to har  baar ek hi matli [yaane becheni-ghabrahat] baraabar baaki rahi aur thodi thodi kai-vomit hoti rahi to wuzu tut gaya, aur agar ek hi matli-becheni-ghabrahat baraabar baak

AAJ KA SAWAL) Aurat Ka Ilaj Mard Se

AURAT KA ILAJ MARD SE ⭕AAJ KA SAWAL NO.666⭕ Aurat Ka ilaj mard doctor se karwa sakte hai Ya nahin ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Tabeeb (Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz hai, Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri hai, Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka  khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bataa de, khud ilaaj na kare, Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Marizah Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim hai ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye, Bachcha Janaa'i-delivery  ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar muamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta hai. ✏Mufti Yusuf ludhyanvi shaheed  Rahmatullahi alayhi. 📗Aapke Masail aur u

AAJ KA SAWAL) Alcoholic Denat(denatured alcohol) hala ? hai ya haram

⭕AAJ KA SAWAL NO. 665⭕ Alcoholic Denat(denatured alcohol) halal hai ya haram ?? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Denat umuman un chizon me daala jaata hai jo khane peene Ki na ho, jaise cream wageirah. Fir agar denat alcohol angoor aur khajoor ke alawah dusri ashya masalan gandum, jau , gandhak, deter, ambeli, Chemical aur dusre phoolon aur sabziyon(vegetables) se kasheeda hote ho to aise alcohol ka istemal mukhtalaf feeh hai, is liye is qism k alcohol mili ashya ke istemal ki gunjaesh hai lekin aisi ashya ke istemal se bhi ea'taraz (ijtinab) bahtar hai. Ta ham agar tehkik se ye ma'alum ho jaye ke alcohol angoor aur khajoor se banai gai hai ya aur kisi kimiyai tariqah se us ki mahiyat ko bhi tabdeel nahin kiya gaya hai to aisi ashya bila shuba Naapaak hain aur us ka dakhli ,kharji iste'amal shar'an jaiz aur durust nahin hoga. 📘Hawala- takmile fathul mulhim Jild 3 page 308 Fatwa no - 14839 DARUL IFTA JAMIA ISLAMIYA BINORIYA KARACHI ROMAN WRITER MUFTI ZAKIR Q

Qur'an Aur Hadees/Urdu-Hindi

19/04/2016           कौन सा माल बेहतर है   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  हदस: रसूलुलाह ﷺ ने फमाया: “जब सूरज िनकलता है, तो उसके दोन जािनब दो फरते रोज़ाना एलान करते ह: ऐ लोगो ! अपने रब क तरफ मुतवजेह हो जाओ जो माल थोड़ा हो और वह काफ हो जाए, वह बेहतर है, उस ज़यादा माल से जो अलाह तआला के अलावा दूसर चीज़ म मशग़ुल करदे ।” (मुनदे अहमद: 21214) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 20/04/2016 अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  ♡ हदस: हज़रत अबू उमामा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क रसूलुलाह (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया: जस शस ने अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत क और उसी के िलए दुमनी क और (जसको दया) अलाह तआला ह के िलए दया और (जसको नहं दया) अलाह तआला ह के िलए नहं दया तो उसने ईमान क तकमील कर ली । (अबूदाऊद) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 21/04/2016   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ पूरे-पूरे नूर क ख़ुशख़बर हदस: हज़रत बुरैदा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत ह क नबी करम (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : जो लोग अंधेर म य़ादा-से

AAJ KA SAWAL) Pepsi Company Ki Banai Hui Cheez Ka Len Den

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN ⭕AAJ KA SAWAL NO.665⭕ Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech  ke bare me tafseel he wo ye ke, agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he. Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le  Bech bhi na jaiz he. albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga. Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya

AAJ KA SAWAL) Makan Dukan Me Qurani Aayat Latkana

MAKAN DUKAN ME QURANI AAYAT LATKANA ⭕AAJ KA SAWAL NO.664  ⭕ Makan ya dukan Me kisi takhte Wagairah par quran ki aayat likhkar latkaana kaisa hai? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Jahan T.V. chalaya Jata ho Ya Jandar ki tasweeren ho wahan ayat wala takhta latkane me quraan majeed ki behurmati -be adabi hai, isliye jaiz nahi, agar Ye khurafat na ho aur tazeem-adab malhooz rakha jaye, gardo gubar -dhul mitti se saaf rakha jaye to jaiz hai, deewar aur darwaze par ayat likhna makroohe tanzihi yani munasib nahi. 📗AHSANUL FATAWA 23/8 HAHAWALA SHAMI 1/120 و اللہ اعلم ✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO. 🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA. 💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hamare (DDIM) Group ke websit ko sacrch kare. 👇🏿                   islamimessagesddim.blogspot.com

AAJ KA SAWAL) Bulandi Par Rakhe Qur'an Ki Janib (PAIR(LEG'S

BULANDI PAR RAKHE QUR'AN KI JANIB PAIR(LEG'S) ⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕ Almari-cupboard me uparwale khane(droar) me Qur'an rakha huwa ho to us ki jaanib pair  failane ya pithh karna Jaiz hai ya nahin? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Puchhi huyi surat me pair Qur'an ki jaanib nahin shumar honge kyun ke Qur'an us simt(sight) me to hai lekin upar ki jaanib hai lihaza jaiz hai. 📗AHSANUL FARAWA 8/22SE MAKHOOZ 📕BA HAWALA ALAMGIRI-FATAWA HINDIYAH 5/322. و اللہ اعلم ✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO. 🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA. 📲Roman urdu me masail ke liye zarur dekhey 📲💻 http://www.aajkasawal.page.tl

AAJ KA SAWAL) Ladkiwalon Ki Taraf Se Nikah Ki Peshkash

LADKIWALON KI TARAF SE NIKAH KI PESHKASH ⭕AAJ KA SAWAL NO.661⭕ Hamari beti ka koi rishta kafi waqt se aa nahi raha hai to kya hum ladki walen saamne chal kar baat daal sakte hai? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Aaj kal hamare muaashare me ladki walon ki taraf se rishte ki peshkash ko bahut ma'yoob khilafe gairat aur aar-sharm ki baat samjha jata hai, haalaan ke shara'an is ki koi asal nahi, khud hazrat umar Radeeallahu anhum ne apni beti hazrat hafsah Radeeallahu anhaa ka rishtah saiyyadana usman aur saiyyadana abu bakr siddeeq Radeeallahu anhumaa ke samne pesh farmaya tha, lihaza is baat me koi Haraj nahi ke aadmi apni beti ya bahan ka rishtah khud kisi salih wa muttaqee mard ke samne pesh kare. 📘AHAM MASAIL 5/192 BAHAWALA SAHEEH BUKHARI HADEES NO. 5122 و اللہ اعلم ✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO. 🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA. 📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe 📲💻 http://www.aajkasawal.page.tl 💻Hamre Sabhi Saw

AAJ KA SAWAL) Red Bull Aur Cola Peene Ka Hukm

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM ⭕AAJ KA SAWAL NO.659 ⭕ Red bull ek drink hai jis se energy aur taaqat hasil hoti hai ba'az log kehte hai ke is me alcohol milaya jata hai isliye us ka istea'mal halaal nahin kya yeh baat sahih hai? JAWAB حامدا و مصلیا و مسلما Hazrat mufti jafar sahab milli rahmani damat barkatuhum likhte hain ke is silsile me thodi tafseel hai aur woh yeh ke agar us me milaya janewala alcohol angoor aur khajoor se banaya jata hai to uska istea'mal durust nahin aur agar angoor aur khajoor ke alawah kisi dusree cheez se banaya jata hai aur itni kam miqdar me milaya jata hai jis se nasha nahin aata to us ke istea'mal ki gunjaish hai AHAM MASAIL JILD 6 SAFA 299 BA HAWALA SHAMI 10/ 40,TAKMILAH E FATHUL MULHIM 3/608 FATAWA BINORIAA FATAWA NO.12994 baqi dalail  aur hawale kal ke sms me aayengen insha allah و اللہ اعلم ✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO. USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA. Roman urdu me masail ke liye z

AJJ KA SAWAL) Bageir Topi Namaz

🎩BAGEIR TOPI KE NAMAZ ⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕ Bageir topi ke namaz padhna kaisa hai? Aaj kal navjawano topi ke bageir namaz padhte hai uska kya hukm hai ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Mukarrir Hazrat maulana mufti Saeed ahmed sahab palanpuri damat barkatuhum,shaikhul hadish or sadar-ul-mudarrisine Darul Uloom Deoband farmaten hai. “Dekho mere bhaiyo ! Deen woh hai jo Duniya ke tamam muslnano me hai. Kyun ke deen ka madaar Qur'an or hadees par hai jo sari duniya me ek hee he, Lihaza sari duniya me jo tareeqah chal raha he wahi deen he aur agar kisi ilaqe me ek tareeqa he jisko dusre ilaaqe wale nahi jante to yeh tariqah deen me se nahi he baad me badha hai,agar Qur'an aur hadees me yeh tariqah hota to sari duniya me hota, Kuch logo ka khayal hai ke Nange sar  namaz padhna sunnat hai, me 45 saal se hadees parha raha hun Magar humne aaj tak koi hadees nahi padhi jisme yeh ho ke Nabi-e-Paak ﷺ ke paas topi ya amamah maujood tha or Aap ne ek farz namaz nange sar padhi h

AAJ KA SAWAL) E CODE WALI CHEEZEN KHANA

E CODE WALI CHEEZEN KHANA" E CODE WALI CHEEZEN KHANA ⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕ jis me haram janwar ki charbi milaai gai ho khane ka kyakhane pine kee cheezon me ''E''  ke sath khas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jate hai, us ke khane ka kya hukm hai? us kee tahqeeq ho to ho sake to usey bhi batane ki darkhast aaj ka jawab حامدا و مصلیا ومسلما shareeat ne jin cheezon ko haram qarar diya hai agar un kee haqeeqat aur mahiyyatu-asliyyat )us ka rang khushboo- zaiqah us kee aham siften-gun( kisi kimyawee -chemical dalne se badal jaye to unka pehla hukm )haram makrooh hone ka( baqee nahee rehta.kisee cheez kee woh khas aur bunyadee  siften-gun jin se us cheez kee pehchan hotee hai. wohee us cheez kee haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat hoti hai, islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khas jankaree rakhnewale ke zareeye jo tahqeeq samne aayee hai us ke mutabiq (agar woh code geletin ke hai to) geletin me un janwaron kee khalon aur haddi

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai

Kin aurton se nikah karna haraam hai ? 1) Maan, naani, par naani, daadi, par daadi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) 2) Beti, poti, par poti, nawaasi, par nawaasi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) 3) Sagi bahen, sauteli bahen (maan ya baap shareek bahen, bhateeji, bhaanji. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) 4) Khaala, phoopi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) 5) Bahu, Saas. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) 6) Razaai Bahen (doodh shareek bahen ), Razaai Maan (Jis aurat ka doodh piya ho). (Shaami: 10/383, Baabur Rizaa) Masla: Chacha zaad, khaala zaad, Phoopi zaad, aur Maamoon zaad behnon se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) Masla: 2 Behnon ko ek saath Nikah mein rakhna haraam hai, albatta agar biwi ki wafaat hogai ya use talaaq dedi ho aur iddat poori hochuki ho to ab saali se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat) Masla: Agar kisi mard ne kisi aurat ko shehwat ke saath haath lagaaya ya zina kiya to us ma

AAJ KA SAWAAL) Join Famely Me Parda Kaise?

19/04/2016 JOIN FAMELY ME PARDA KAISE? AAJ KA SAWAL NO.657 Aurten ghar me join famely me chehre ke parde me koi chhut hai ke nahi? har waqt chehre ka parda jeth,dewar se mushkil hai? JAWAB اﺪﻣﺎﺣ و ﺎﯿﻠﺼﻣ و ﺎﻤﻠﺴﻣ Han join famely me Rishtedar ho’n aur Aurat unke saamne Jane per majboor ho,Unse parda karne me chhut-kuchh sahoolat chaadar-bade dupatte kafee aur zarooree hai Hazrat Thanvi rahmatullahi alayhi ke risale ” Ta’alimul Taalib ” se naqal karta hun shar’an Rishtedar Jo hai,maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru (saamne ) aana aur Betakalluf-bila jhijhak baate karna hargiz nahi chahiye, Jo makaan ki tangi ya har waqt ki gair mahram ke aane jane ki Vajah se gehra-mukammal parda na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar-bade duppate se dhaank kar Sharm wa lihaaz se Ba-zarurat rubaru (saamne) aa jaye, Aur kalaai (wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam he, Isi tarah in l

DEENIYAT IMAGES

Image

GOLDEN WORDS IMAGES

Image

AAJ KE AADAB

18/04/2016 ✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨ ❄   AAJ KE AADAB   ❄ 0⃣1⃣0⃣2⃣        Gam wa pareshaani door                   karne ki dua       يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ ‏         "Ya hayyu yaa qayyoom          birhamatika astageesu" Tarjama: Aye hamesha zinda     rehne waale, sab ko thaamne       waale ! Main teri rahmat ki        ummeed ke saath tujh se              faryaad karta hoon.            (Tirmizi:3524) ✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨ 19/04/2016 ✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨ ❄   AAJ KE AADAB   ❄ 0⃣1⃣0⃣3⃣           Sageera gunaahon se                   maafi ki dua   [Rozaana 100 martaba padhein]                      سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ‏           "Subhaanallaahi wa                   bihamdihi" Tarjama : Allah ki zaat      tamaam uyoonbon se paak     hai aur ta'areef usi ke liye hai. Fazeelat: Rasoolullah ﷺ ne   irshaad farmaaya Jis ne rozaana    100 martaba yeh dua padhi us     ke tamaam (sageera) gunaah     maaf kar diye jaayeinge, agar    che