AAJ KA SAWAL) Ladkiwalon Ki Taraf Se Nikah Ki Peshkash

LADKIWALON KI TARAF SE NIKAH KI PESHKASH

⭕AAJ KA SAWAL NO.661⭕

Hamari beti ka koi rishta kafi waqt se aa nahi raha hai to kya hum ladki walen saamne chal kar baat daal sakte hai?

��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Aaj kal hamare muaashare me ladki walon ki taraf se rishte ki peshkash ko bahut ma'yoob khilafe gairat aur aar-sharm ki baat samjha jata hai,
haalaan ke shara'an is ki koi asal nahi,
khud hazrat umar Radeeallahu anhum ne apni beti hazrat hafsah Radeeallahu anhaa ka rishtah saiyyadana usman aur saiyyadana abu bakr siddeeq Radeeallahu anhumaa ke samne pesh farmaya tha,
lihaza is baat me koi Haraj nahi ke aadmi apni beti ya bahan ka rishtah khud kisi salih wa muttaqee mard ke samne pesh kare.

��AHAM MASAIL 5/192
BAHAWALA SAHEEH BUKHARI HADEES NO. 5122

و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit us Kare.. ����

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai