AAJ KA SAWAL) Red Bull Aur Cola Peene Ka Hukm

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.659 ⭕

Red bull ek drink hai jis se energy aur taaqat hasil hoti hai ba'az log kehte hai ke is me alcohol milaya jata hai isliye us ka istea'mal halaal nahin kya yeh baat sahih hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat mufti jafar sahab milli rahmani damat barkatuhum likhte hain ke is silsile me thodi tafseel hai aur woh yeh ke agar us me milaya janewala alcohol angoor aur khajoor se banaya jata hai to uska istea'mal durust nahin aur agar angoor aur khajoor ke alawah kisi dusree cheez se banaya jata hai aur itni kam miqdar me milaya jata hai jis se nasha nahin aata to us ke istea'mal ki gunjaish hai

AHAM MASAIL JILD 6 SAFA 299
BA HAWALA

SHAMI 10/ 40,TAKMILAH E FATHUL MULHIM 3/608 FATAWA BINORIAA FATAWA NO.12994
baqi dalail  aur hawale kal ke sms me aayengen insha allah

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

http://www.aajkasawal.page.tl

Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Massage's paane Ke liye DDIM Group  Ke websit ko sarch Kare..

Islamimessagesddim.blogspot.com

22/04/2016

⭕AAJ KA SAWAL NO.660 ⭕

Red bull ke baare me ba'az  hazraat ka kehna hai Ke us me bel(bull,saandh,paada) ki mani(sperm) daali jati hai woh naapaak hota hai is ki ek pic (image) bhi social media par kaafi time se ghum rahi hai lihaza redbull ka hukm Is ki tahqeeq kar ke wazeh karne ki guzarish

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Red bull ke drinks me taurine naam ka ek substance use hota hai

Ye substance synthetically lab me banta hai chemical processes ke zariye

Ab taurine yeh latin greek zaban ke taurus se liya gaya he jiska maana bull ke aate hai

Yeh galat fahmi ke Taurine  bull ke maadde se liya gaya hoga
Is tarah paida hua ke pehli martaba yeh maadda scientist's ne bull ke liver se liya agar che ye maadda machchli (fish) aur insaan aur janwar ke tissues me bhi hota hai

Isliye iska naam Taurine rakha

Is mushaabahat ki wajah se ye galat fahmee huyi hai.
Rahi baat pic ki to jo What's app fecebook par chal rahi jis me bel ki sharmgah se mani nikali jaa rahi hai aisa bataya gaya hai woh fake-galat hai agar kisi ka sahih hone ka da'awa hai to yeh bataye ye kis shakhs ne, kahan, aur kis waqt banai thi aur aisa dekhnewale kitne hai taake pic (image) ki sachchai wazih ho.

NOT:JITNE BHI SOFT DRINKS AUR ENERGY DRINK AATE HAI WOH SIHHAT KO NUQSAN HI KARTE HAIN LIHAZA US SE BACHE AGAR WOH COCACOLA COMPANI KA HAIN TO IN YAHOODEE COMPANY KI KOI BHI CHEEZ KHAREEDNA IMANI GAIRAT KE KHILAF HAI LIHAZA US SE BHI BACHNA CHAHIYE HAM HARAM NAHI KAHENGE LEKEEN US SE BACHNA TAQWAA AUR SAWAB HAI

و اللہ اعلم

✏MUFTI ABDUL QAYYUM RASHEED AHMAD AJMERI HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE SUFI BAG RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zarur dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hamara websit Khole
Islamimessagesddim.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai