AAJ KA SAWAL) Pepsi Company Ki Banai Hui Cheez Ka Len Den

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.665⭕

Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai?
��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech  ke bare me tafseel he wo ye ke,

agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he.

Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le  Bech bhi na jaiz he.

albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga.

Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya gaya he to bhi in cheezon ke istemal aur le bech ki gunjaish he.

Albatta agar koi ehtiyat per amal karte hue usse parhez kare to ye bahut achcha he.

��(khane pine ki Halal o haraam cheezon se liya hua hai)

✏MUFTI BAHADOOR
Darul ifta binnoria karachi.fatawa no.10824

✒ROMAN WRITER MAULANA USAMA HAKEEM SAHAB

و اللہ اعلم

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hama ra (DDIM) Websit Sacrch  Kare.. ����
https://islamimessagesddim.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai