Qur'an Aur Hadees

18/04/2016
  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala khoob paak rehne waalon ko pasand farmate hain. (At-Tauba 9: 108) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

 
19/04/20016
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rasool Allah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) se khitaab hai (Tarjama): Allah Ta'ala ne aap par kitaab aur ilm ki baatein nazil farmayi aur aap ko woh baatein sikhai jo aap na jaante the aur aap par Allah Ta'ala ka bada fazal hai. (An-Nisa 4: 113) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
https://Www.islamimessagesddim.blogspot.com

20/04/2016
  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rasool Allah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) se khitaab hai (Tarjama): Aur Aap ye dua kijiye ke Aye mere Rabb mera Ilm bada dijiye. (Ta Ha 20: 1 14) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rozana Deeni Msg Hasil kare Is link se islamimessagesddim.blogspot.com

21/04/2016
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur bilashubah humne Dawud aur Sulaiman ko ilm ataa farmaaya aur us par un dono Nabiyon ne kaha ke sab tareefein us Allah Ta'ala ke liye hain jinho ne hamein apne bahut se Imaan waale bandon par fazilat di. (An-Nam 27: 15)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM) Whatsapp Group
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
22/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Hum ye misaalein logon ke liye bayaan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hain. (Al-'Ankabut 29: 43)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni islamic Messages (DDIM) Whatsapp Group

23/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain. (Fatir 35: 28)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM Whatsapp Group

24/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rasool Allah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) se khitaab hai (Tarjama): Aap keh dijiye ke kya Ilm waale aur be-ilm barabar ho sakte hain? (Az-Zumar 39:9)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

25/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur sach mein jhoot ko na milao aur jaan-bujh kar haqq ko (yani shara'ee ehkaam ko) na chupao jab ke tum jaante ho. (Al-Baqarah 2: 42)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM) Whatsapp Group

26/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Hazrat Shoaib 'alaihissalam ne apni qaum se farmaaya (Tarjama): (Aur main jis tarha in baaton ki tum ko taleem karta hoon, khud bhi to is par amal karta hoon) aur main ye nahi chahta ke jis kaam se tumhein mana karoon mein khud use karoon. (Hud 11: 88)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

27/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Aap keh dijiye ke agar tum Allah Ta'ala se mohabbat karte ho to tum meri farmabardaari karo aur Allah Ta'ala tum se mohabbat kareingey aur tumhare sab gunah bakhsh deingey aur Allah Ta'ala bahut bakhshne waale meharbaan hain. (Al-Imran 3: 31)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM) Group
http://islamimessagesddim.blogspot.com

◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
30/04/2016

      ﷽   
    (0281)  

22 - Rajab - 1437
30 -  April  - 2016

     MAAL   
  KHARCH 
     KARO  

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Maal kharch karo aur maal ko zakhirah na karo !
Warna Allah T'aala tum se rizq ko rok lega.

BUKHARI -2591

DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 
(148)

01/05/2016

Bismillahirrahmanirrahim
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Jinhe ALLAH Subhanahu Apne saaye mein panaah dega

Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye.

- Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 7, 6479)
- Eng Ref: (Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, 486)
●════════════════════●
     Plz Share to others also
●════════════════════●
                         ❁ ❁ ❁

02/05/2016

      ﷽   
    (0283)  

24 - Rajab - 1437
02 -  May  - 2016

   MOMIN  
       KA     
HATHIYAAR

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Duaa momin ka hathiyaar he,
Deen ka sutun he,
Aur zameen w aasmaan ka noor he.

MUSTDRAK HAAKIM
-1/492

DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH

(MA/429)

03/05/2016

      ﷽   
    (0285)  

26 - Rajab - 1437
04 -  May  - 2016

HIDAYAT 
      KE       
CHIRAGH

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫

Hazrat S'aad bin Abi Waqqas (rd.) uun logon me se hai Jin ko Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne duniya hi me Jannat ki khush khabri de di thi,
Aap ka naam S'aad bin Maalik Qureishi tha,
Hazrat S'aad bin Abi Waqqas (rd.) ne 17 saal ki umr me Islam qubul kiya,
Aap Islam laaney walon me saatvey (7th) shakhs hai,
Lekin Allah ke raastey me teer chalaaney waley pehley shakhs hai.
Aap mustajaabut da'awaat the.
Ghazwa e Badr aur Ohad ke sath tamaam ghazwaat me Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ke sath sharik rahey hai.
Allah ke raastey me badi taklifein uthaai hai,
Hazrat S'aad (rd.) khud bayaan farmatey hai ke ham aisee be'sar o samaani (बे'सरो सामानि) ki haalat me Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ka sath deitey the ke hamaarey paas khaaney ke liey Babul (बबूल) ke darakht ke phal aur uus ke patton ke siwa kuchh bhi na hota tha.

Baqi kal insha Allah

DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH

(399)

04/05/2016

      ﷽   
    (0286)  

27 - Rajab - 1437
05 -  May  - 2016

HIDAYAT 
      KE       
CHIRAGH

Msg.No.-02

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫

Hazrat Umar Faruq (rd.) apney zamaana e khilaafat me Kisra ko fatah karney ke liye Hazrat S'aad bin Abi Waqqas ki imaarat me eik bada lashkar iran ki taraf rawaana farmaya,
Raastey me unhein dariya e Dajlah mila,
uus ko paar karney ke liey uun ke paas na koee kashti thi
Na koee dusra raasta
Aur dariya ka paani bhi kaafi chadha huwa tha.
Hazrat S'aad (rd.) ne logon ko dariya paar karney ki daawat di,
iss par eik jamaat taiyar ho gaee
Aur uusney apney ghodey dariya me daal diye
Phir Hazrat S'aad (rd.) ne tamaam logon ko dariya me kood jaaney ka hukm diya.
iss par tamaam log dariya e Dajlah me apney ghodey ke sath kood padey,
Ghodey dariya me iss tarah chal rahey the jaisey zameen par ho,
Aur wo log dariya paar kartey huey aapas me iss tarah baatein kar rahey the,
Jis tarah zameen par chaltey huey kiya kartey hai
Halanki dariya bahot josh me tha.
iraaniyon ne jab ye manzar dekha toa gabhra gaey
Aur apna saaz w saamaan chhod kar bhaag nikley aur musalmano ko Allah ne fatah ataa ki.
Hazrat S'aad (rd.) ki wafaat san hijri 55 me huee.

ISLAMI TARIKH

Aap Sallallahu alaihi w sallam ne Hazrat S'aad ke haq me duaa farmaai:
Aey Allah !
S'aad ki duaaein qubul farma.
(iss ka asar ye huwa ke Hazrat S'aad (rd.) jo duaa maangtey the wo qubul ho jati thi)
(Tirmizi-3751)

DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦Join DDIM Group
(401)         +919658951292

07/05/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Aap keh dijiye ke agar tum Allah Ta'ala se mohabbat karte ho to tum meri farmabardaari karo aur Allah Ta'ala tum se mohabbat kareingey aur tumhare sab gunah bakhsh deingey aur Allah Ta'ala bahut bakhshne waale meharbaan hain. (Al-Imran 3: 31)
http://islamimessagesddim.blogspot.com
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐

08/05/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Beshak jo log Imaan laye aur unho ne naik amal kiye Allah Ta'ala un keliye makhlooq ke dil mein mohabbat paida kareingey. (Maryam 19: 96)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rozana Deeni Messages Aur Bhi Bahot Kuch Pane ke leya (DDIM) Websit Sarch Kare...
https://islamimessagesddim.blogspot.com

09/05/2016

      ﷽   
    (0290)  

01-Shaban- 1437
09 -  May  - 2016

  SAJDON 
       ME     
     DUAA   

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Bandah namaz ke dowraan sajdah ki haalat me apney Rab ke sab se ziyadah qareeb hota he,
Lihaza (iss haalat me) khub duaaein kiya karo.

MUSLIM -1083

FAIDAH
Nafal namazon ke sajdon me khaas tor par duaaon ka ehtimaam karna chahiye. DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARIMA/259)

11/05/2016

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Roza rakhne me Sh'abaan

Hadith: Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma farmati hain k, Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko Roza rakhne me Sh'abaan ka Mahina sabse zyada Mehboob tha, Aap ye chahte the k Roza rakhte rakhte use Ramzan ke saath mila de'n.

- Urdu Ref: (Abu Dawud, 2431)
- Eng Ref: (Abu Dawud, Book 13, Hadith 2425)
●════════════════════●
    *Plz Share to others also*
●════════════════════●
                         ❁ ❁ ❁



✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
��Jo Kalaam me Narmi Rakhe��

��Hadith: Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate hain: Beshak Jannat me ESE baala Khane hain Jinka Zahiri hissa andar se aur Andruni hissa bahar se Nazar aata hain, Ek Arabi Khade hue aur Sawal kiya, Ya Rasulallah ! Wo kiske liye hain? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, Uske liye Jo Kalaam me Narmi rakhe, Khana khilaye, Pe dar Pe Roze rakhe aur Raat ko Namaz padhe Jabki log so rahe ho..

- �� Urdu Ref: (Tirmizi, 1984)
- �� Eng Ref: (Tirmizi, Vol. 4, Book 1, Hadith 1984)
●════════════════════●
  ��  *Plz Share to others also* ��
●════════════════════●
                         ❁ ❁ ❁

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai