Posts

Showing posts from 2016

Achchi Baat

🍂🌿🍂🌿  ﷽  🌿🍂🌿🍂       ⚜ *Aaj Ki Achchi Baat* ⚜          °•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°           🌟  *[17-11-2016]*  🌟   🌿 Apni mayusi ka jimmedar            logo ko mat thehrao,    🍁 Balka unse itni ummide       wabasta karne ke jimmedar                    tum khud ho.. 🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

Qur'an Aur Hadees,

🔶      ﷽      🔶 💐    (0452)     💐 💌💌💌💌💌 16  -  Safar  -  1438 17-November-2016 💌💌💌💌💌 ♨   QARZ  ♨ 🌿   ADAA  🌿 🍂    KAR   🍂 ☀     DO    ☀ 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs kisi se qarz ley, Aur dil me ye pakka iradah kar rakhey Ke qarz pura pura nahi loutaega Toa wo Allah T'aala se eik chor ki haalat me mulaqat karega. 🔹🔹🔹🔹🔹 IBNEY MAAJAH -2410 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (712)

JARURE BAAT

Image
🍂🌿🍂🌿  ﷽  🌿🍂🌿🍂       ⚜ *Aaj Ki Achchi Baat* ⚜          °•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°           🌟  *[16-11-2016]*  🌟 🌿 Aaj kisi se 500 & 1000 ke   khulle mango to Koi nhi deraha    Na dost na hi rishtedar sabko            khud ki fikar lagi hai,, 🍁 Isi tarha Qayamat ke din log       ek ek neki ko tarsege magar         koi madad nhi karega Na            dost na hi rishtedar.. 🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

ISLAMIC IMAGES

Image

AAJ KA SAWAL NO 843

QABZAH KIN CHEEZON ME ZARURI HAI ? AUR QABZAH AUR PAISE  KI ADAAYGI SE PEHLE FLAT BECHNA ⭕AAJ KA SAWAL NO. 843⭕ *A* Qabzah kise kehte hain aur kin cheezon me zaruri hai aur kin cheezon me zaruri nahin? *B* Kisi ne flet ya makaan 20 lakh ka kharida sauda (deal) ho gaya lekin abhi qabzah mila nahin hai paise bhi adaa nahin kiye hain aur koi graahak (kharidar) ke paas 21 lakh ka aa gaya to yeh bechna aur uska nafa jaiz hai? 🔴AAJ KA JAWAB🔴 *A* Qabzah haqeeqat me kehte hai bechnewale ki milkiyat (proprietary) me se ya'ani us ke paas se maal utha kar ya hatakar apni milkiyat me le lena aur qabze ke liye takhliya ya'ani ikhtiyar de dena bhi kaafi hai ya'ani bechne wala kharidne wale ko cheez is taur par de de ke woh jab chahe aakar utha sakta hai us ko woh maal wahaan se uthane me koi rukawat na ho. Masalan biki (sold) huyi cheez us ke samne rakh dee. Ya gaadi ya box ki chabi de dee. Jo cheez apni jagah se uth sakti hai is me qabzah zaruri hai us ko qabze se pehle be

Deeni Images

Image

AAJ KA SAWAL) Zakat K Hkmat

ZAKAT K HKMAT ⭕AAJ KA SAWAL NO.678⭕ Zakat ki hikmat kya hai? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما hikmat aur Fawa’id ke lihaaz se zakaat me 3 pehlu he ● 1- Apna kamaya hua maal Allah ta’ala ke hukm ke mutabik Allah ta’ala ke Bando’n per kharch karta hai to goya Allah ta’ala ke huzoor maali Nazrana pesh karke apni Aazizi va inksaari ka izhaar karta he k ” ye maal dar haqeeqat aapka atiya tha Jo mene aapko Razi karne ke liye kharch kiya, ” ● 2- Zakaat ke zariye gareeb va mohtaaj Bando’n ki khidmat va i’aanat hoti he, is tarah unki khoob Duae’n hasil hoti he, Zakaat ka ma’ani paaki he, Jis tarah meyla kapda dhone se paak ho jata hai, Meyla jism nahaane se paak saaf ho jata hai, Isi tarah zakaat nikaalne se wo maal paak saaf ho jata hai aur khud zakaat dene wale ko bhi paaki haasil hoti he, Uske andar se maal ki hirs, muhabbat, Bukhl vagera andruni bimariyo’n ka ilaaj hota he, ★ خُذْ مِنْ أَمْوَالِهِمْ صَدَقَةً تُطَهِّرُهُمْ وَتُزَكِّيهِم بِهَا.ٌ ” Ey Nabi ! Aap musalmano ke amwa

AJJ KA SAWAL) ZAKAT KON SI QEEMAT PAR NIKALE

ZAKAT KON SI QEEMAT PAR NIKALE ⭕AAJ KA SAWAL NO.454⭕ Har cheez ki zakat kon see qeemat par nikalni hai..? Khareed [buying] qeemat par ya bikree [selling] bechne ki qeemat par? AAJ KA JAWAB حامدا و مصلیا و مسلما Har cheez ki zakat bikree qeemat [selling] par nikalni hai na ke khareed qeemat par, chahe qeemat zayada ho gai ho ya kam ho gai ho. Kiyun ke bechte hi woh maal paise ki shakal me badal sakta hai. (fatawa usmani jild 2 safa 50 ba hawala burhan sharhe mawahibur rahman 1/507 BADAIYUS SANAAIA 2/22 KITABUL MASAIL 2/150 و اللہ اعلم ✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit Sarch Kare.. https://ISLAMIMESSAGESDDIM.BLOGSPOT.COM

AJJ KE AADAB (2)

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨     AAJ KE AADAB    --1⃣2⃣4⃣--              Safaai Suthraai ka               ehtemaam karna                  ◽Part: 1◽    Har insaan fitri taur par safaai     suthraai ko pasand karta hai   aur hamesha saaf suthra rehne      ki koshish karta hai, Deen-e-    Islaam ne deegar akhkaam ke       saath safaai ko bhi khaas     ahmiyat di hai, Huzoor ﷺ ne    irshaad farmaaya: Paaki aadha       Imaan hai.  [Muslim: 556]    Safaai suthraai Allah ko bahot pasand hai aur Allah Ta'ala saaf   suthra rehne waalon ko pasand      karte hain aur log bhi un ko   achchhi nigaah se dekhte hain. Huzoor ﷺ ne apne gharon, apne   kapdon aur apne badan ko saaf   suthra rakhne ki hidaayat di hai. Ref: Deeniyat Cousre book                [Idara-E-Deeniyat] ✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨ ✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨ 💫    🔹AAJ KE AADAB🔹    💫 📨📨📨--1⃣2⃣5⃣--📨📨📨              Safaai Suthraai ka               ehtemaam karna                  ◽Part: 2◽      Aap ﷺ ka irshaad hai: "Allah       

AAJ KA SAWAL) Darhi Munde Ki Imamat Wa Taraweeh

DARHI MUNDE KI IMAMAT WA TARAWEEH ⭕AAJ KA SAWAL NO.676⭕ Ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi? Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare? 🔴JAWAB🔴 حامدا و مصلیا و مسلما Faqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai, 1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi?; 2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai is jahalat ke daur me darhi katane wale ki

AAJ KA SAWAL) Zakat Kis Par

ZAKAT KIS PAR? ⭕AAJ KA SAWAL NO.675⭕ Zakat Kis par wajib hai ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما jis ke paas saal ke shurooa aur saal ke akhir me [saade bavan tola]  612 gram 35 mg. gram chaandi ho ya [saade saat tola] 87 gram 479 mg. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai. ya saade bavan tola chandi ki qeemat aaj 10 may 2016 ke hisab se 24500 rs ki qeemat ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai. Masalan 1 tola sona hai aur 500 rs naqad hai aur qarza nahi hai ya hai to ada karne ke baad chandi ke nisab jitna bachta hai to uspar bhi zakat wajib hai Ya bechne ka kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur dono ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to us ka aetibar nahi. Sona, chandi, naqad, maal-e-tijarat in charon ko ya baaz ko milaya jaye to chaandi ke nisab k

AAJ KA SAWAL) ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI?

ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI? ⭕AAJ KA SAWAL NO.674⭕ Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega? Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi? JAWAB حامدا و مصلیا و مسلما sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan ka har woh maal jo saal bhar rakhne se kharab nahi hota. Kiraye amdani,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya in tamam cheezon par zakatvfarz hai us ki qeemat lagai jayegi. Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle) mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade, imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah aur dukan,karkhane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaro

AAJ KA SAWAL) Roze Ke Makroohaat

ROZE KE MAKROOHAAT ⭕AAJ KA SAWAL NO.673⭕ ROZA KIN KIN CHEEZON SE MAKROOH HOTA HAI? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما 1.BILA UZAR KISI CHEEZ KA CHABANA. ALBATTA KISI AURAT KA SHOHAR BAD MIJAZ HO AUR KHANA KHARAB HONE PAR USKE GUSSE HONE KA ANDESHA HO TO  USE NAMAK ZABAN KI NOK PAR RAKH KAR CHAKHANE KI IJAZAT HE. ISI TARAH AGAR CHHOTE BACHCHE KO ROTI CHABA KAR KHILANE KI ZARURAT HO AUR ROZEDAR AURAT KE ALAVA VAHAN US ZARURAT KA PURA KARNEVALA KOI NA HO TO VAH USE CHABA KAR DE SAKTI HE.LEKIN YE EHTIYAT HONA CHAHIYE KE AESA KARNE ME NAMAK YA ROTI KA KOI HISSA HALAQ KE NICHE NA UTARNE PAYE.VARNA ROZA JATA RAHE GA. 2.ROZE KI HALAT ME TUTHPEST ISTIMAL KARNA.KOILA YA KOI MANJAN DANTO ME MALNA. 3.AURAT KA IS TARAH HONT PAR SURKHI LIPSTIC LAGANA KE USKE PET ME CHALE JANEKA ANDESHA HO. 4.ROZE KI HALAT ME BIVI SE DIL LAGI KARNA BHI MAKRUH HE.JABKE JIMAA-SOHBAT YA INZAL-MANI NIKALNE KA KHOF  HO. 5.ROZE ME HAR AESA KAAM KARNA MAKRUH HE JIS SE IS QADAR KAMZORI KA ANDESHA HO KE ROZA TORHNA PA

AAJ KA SAWAL) Pipe aur bottle se dawa chadhane se wuzu

Pipe aur bottle se dawa chadhane se wuzu ⭕AAJ KA SAWAL NO.672⭕ Pipe ke zariye jis me ke andar dawa pahonchane se aur glucose ka bottle chadhane se wuzu toot jata hai ? JAWAB Har koi shakhs bavasir (pakhane ki jagah par masse ho jaana) ka mariz ho aur pipe ke zariye jism ke ander ke hisse me dawaa pahochayi jaaye to us se bhi wuzu tut jaayega JADID FIQAHI MASAIL 95 SE 62-63 Aur Glucose ki bottle chadhate vaqt uski pipe ya suyi [niddle] ke hisse me khun aa jaaye to wuzu tut jaayega, aur agar khun ragh se upar bilkul naa aaye balke sirf glucose ka paani ander jaata rahe to us se wuzu nahi tutega ALAMGIRI 1/11   و اللہ اعلم ✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO. USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA. Join DDIM +919658951292 Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe http://www.aajkasawal.page.tl Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Group websit Sarch Kare.. https://islamimessagesddim.blogspot.com

AAJ KA SAWAL) INJECTION, PIPE SE PESHAB.. SE WUZU TOOTNA

INJECTION, PIPE SE PESHAB.. SE WUZU TOOTNA ⭕AAJ KA SAWAL NO.671⭕ INJECTION SE BLOOD SUGAR TEST KARNE SE,  MAIDE ME PIPE PAHONCHANE SE, PIPE SE PESHAB KARNE SE WUZU BAAQI RAHEGA YA NAHIN ? JAWAB حامدا و مصلیا و مسلما 1. INJECTION SE WUZU TUTNE KA MAS'ALA: Sugar naapne ke liye jo khun nikala jaata hai  us se wuzu nahi tut'ta, is liye ke voh bahot kam mikdaar me hotaa hai, agar injection ke zariye itnaa khun nikala ke khun beh padne ki miqdaar tak pahonch jaaye to wuzu tut jaayega. (FATAWA MAHMUDIYA JADID 5/69) baahar se gizaa ya dawaai lene ki surat me kisi chiz ka ander jaana wuzu todne wala nahi hai. injection par jism ka thoda khun lagaa rehta  hai us miqdaar me khun baahar aana bhi wuzu  todne wala nahi hai. (JADID FIQAHI MASAIL 62) 2. ME'ADE TAK PIPE PAHOCHAANA: Medical test ke liye agar pipe munh ke raste se me'ade tak pahonch jaaye, aur pipe najaasat ke hisse tak pahonch jaaye, aur najaasat ka asar lekar vaapas loute, to wuzu tut jaayega. agar pipe par n

AAJ KA SAWAL) Me'Raaj Ka Roza

ME'RAAJ KA ROZA ⭕AAJ KA SAWAL NO.669⭕ Kal mearaaj ke badey din ke roze rakhne ka kya hukm hai? 🔵JAWAB🔵 shabe miaraaj ki tareekh aur maheene ki riwayat me bahut ikhtilaaf hai, is tareekh mahfooz nahi, kyun ke hazrate sahaba radeeAllahu anhum ne is raat ke manane ka aehtimam nahi kiya, baad ke log jab is ka aehtimam karte the, rajab ka roza rakhte the, to Hazrat umar RadeeAllahu anhumaa roza tudwa dete the. is se maloom huwa Ke kal ke Roze ka khaas aehtimam bidat karna bidat hai.jis ki jumiaraat ke roze ki aadat hai us ke liye rakhna jaiz hai. Kharsah ibne hur se riwayat hai ke mene umare farooq RadeeAllahu anhumaa ko dekha logon ke kandhon Par hath marte the, rajab ke roze ki wajha se aur un ko khunche-lagan Par bithate the aur Kehte the ke khana khawo,  rajab rajab kiya hai ! Ye woh maheena hai Jis ki tazeem ahle jahiliyat karte the. ab islam Aa gaya is ki woh tazeem chhod di gai. 📗(Riwayat kiya is ko tabrani mavzae awsat me 16/427 hadees no.7851) Aur 📘Musanafe ibne a

AAJ KA SAWAL) Tv..., Gali...Dudh Pilane..Se Wuzu Tootne Ka Hukm

TV.. , GALI.. DUDH PILANE.. SE WUZU TOOTNE KA HUKM ⭕AAJ KA SAWAL NO.669⭕ A. T. V. Dekhne, gali bolne, aurat ko hath lagane se,maa ka bachche Ko dudh pilane se garmi ke dane-fodi futne se wuzu tootne Ka Kya hukm hai? B. mujhe peshab Ke qatre girte rehne ki shikayat hai sharmgah Ke surakh me Rio rakhta hun to mera wuzu Kab tootega? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما 1. T.V. DEKHNA, GALI BOLNA, AURAT KO HAATH LAGANA: Tv. dekhne se, gaali bolne se, kisi aurat ko haath lagane se wuzu nahi tut'ta, albatta ye chiz gunaah he, gunaah ke baad wuzu kar lena mustahab he. 2. BACHHE KO DUDH PILAANA: Bachhe ko dudh pilaane se wuzu nahi tut'ta. 3. SHARMGAAH ME RUYI RAKHNA: kisi shakhs ne peshab ke katron ke khouf se sharmgaah ke suraakh me ruyi rakhi aur peshaab ke katre masanah (pittashay) se nikal kar ruyi tak pahoch gaye lekin tari [bhigapan] ka asar ander hi rahaa baahar zahir nahi huva, to wuzu nahi tutega, aur tari ka asar baahar zahir ho gayaa ya bhigi ruyi baahar nikal jaaye

AAJ KA SAWAL) Sone Se Wuzu Tootne Na Tootne Ki Surten

SONE SE WUZU TOOTNE NA TOOTNE KI SURTEN ⭕AAJ KA SAWAL NO.669⭕ Sone Se kab wuzu tootta hai aur kab nahi tootta hai? JAWAB حامدا و مصلیا و مسلما 1. LET KAR YA TEK LAGAKAR SONA: lete lete ankh lag gayi, ya kisi chiz se tek laga kar baithe-baithe so gaya, aur aisi gaflat ho gayi ke agar vo tek na hoti to gir padta, to wuzu jaata raha. aur agar namaz me baithe baithe ya khade khade so jaaye to wuzu nahi gaya. aur agar sajdah me kohniya zamin par bichhakar so jaaye to wuzu tut jayega. 2. BETHKAR SONAA: Agar namaz se baahar baithe-baithe so jaaye aur apna chhutad (surin-pichhe ki shamgah) edi se daba le aur divar vagerah kisi se tek bhi na lagaye to wuzu nahi tutta. 3. SOTE SOTE GIRNAA YA ZHUMNAA: Baithe-Baithe nind ka ek aisa zhonka aaya ke gir pada, to agar gir ke fauran hi ankh khul gayi to wuzu nahi gaya. aur jo girne ke zara baad ankh khuli ho to wuzu jaata raha. aur agar baitha baitha zhumta raha, gira nahi tab bhi wuzu nahi gaya. 4. DONO HATHO PAR TEK LAGA KAR SONA: Kisi di

AAJ KA SAWAL) Shabe Miaraaj Ki Haqeeqat

SHABE MIARAAJ KI HAQEEQAT ⭕AAJ KA SAWAL NO.668⭕ 27 Rajab Ko Kya huzoor  صل اللہ علیہ وسلم ko me'araaj hui thi aur Is Raat Me ibadat Aur Dusre Din roza rakhna chahiye? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما PART2⃣ SHAB-E-MERAJ KI FAZEELAT SABIT NAHI        ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄ MASLAN 27 Rajab ki shab ke bare me ye Mashhoor hogaya hai ke ye SHAB-E-MERA hai aur is Shab ko bhi usi tarah guzarna chahye jis tarah Shab e Qadr guzari jati hai aur jo Fazeelat Shab e Qadr ki hai , kam o besh Shab e Meraj ki wahi Fazeelat samjhi jati hai, balke Maine to ek jagah ye likha hua dekha ke “        ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄ SHAB E MERAJ KI FAZEELAT SHAB E QADE SE BHI ZIADA HAI”,        ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄ aur phir us raat me logo ka Namazon ke bhi Khaas khaas tareekhe Mashhoor kardiye ke us raat me itni Rakaten padhi jayen aur har Rakaat me Fulaan Fulaan khaas Soorten padhi jayen. Khuda jane kya kya Tafseelaat is namaz ke bare me Logon me Mashhoor hogaya. Khoob samajh lijye , ye Sab be asal ba

AAJ KA SAWAL) Ulti Hone Se Wuzu Tootne Ke Masail

ULTI HONE SE WUZU TOOTNE KE MASAIL ⭕AAJ KA SAWAL NO.667⭕ Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما 1.Agar kai (ulti) huyi aur usme khana ya paani ya pitt gire to, agar munh bhar kar kai-ulti huyi ho to wuzu tut gaya, aur munh bhar kai nahi huyi to wuzu nahi tuta. aur munh bhare hone ka matlab hai ke mushkil se munh me ruke aur agar kai me sirf balgam gire to wuzu nahi gaya chhahe jitna ho. muh bhar ho ya na ho, sabka ek hi hukam he, aur agar kai(vomit) me khun gire to agar patla aur behta huva ho to wuzu tut jayega. chahe kam chahe ziyadah muh bhar kar ho ya na ho. 2. THODI THODI (zaraa zaraa) vomit KAEE BAAR HONA: Agar thodi thodi karke kaee baar kai-vomit huyi, lekin sab milakar itni hai ke agar ek baar girti to muh bhar ho jati, to har  baar ek hi matli [yaane becheni-ghabrahat] baraabar baaki rahi aur thodi thodi kai-vomit hoti rahi to wuzu tut gaya, aur agar ek hi matli-becheni-ghabrahat baraabar baak

AAJ KA SAWAL) Aurat Ka Ilaj Mard Se

AURAT KA ILAJ MARD SE ⭕AAJ KA SAWAL NO.666⭕ Aurat Ka ilaj mard doctor se karwa sakte hai Ya nahin ? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Tabeeb (Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz hai, Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri hai, Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka  khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bataa de, khud ilaaj na kare, Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Marizah Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim hai ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye, Bachcha Janaa'i-delivery  ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar muamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta hai. ✏Mufti Yusuf ludhyanvi shaheed  Rahmatullahi alayhi. 📗Aapke Masail aur u

AAJ KA SAWAL) Alcoholic Denat(denatured alcohol) hala ? hai ya haram

⭕AAJ KA SAWAL NO. 665⭕ Alcoholic Denat(denatured alcohol) halal hai ya haram ?? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Denat umuman un chizon me daala jaata hai jo khane peene Ki na ho, jaise cream wageirah. Fir agar denat alcohol angoor aur khajoor ke alawah dusri ashya masalan gandum, jau , gandhak, deter, ambeli, Chemical aur dusre phoolon aur sabziyon(vegetables) se kasheeda hote ho to aise alcohol ka istemal mukhtalaf feeh hai, is liye is qism k alcohol mili ashya ke istemal ki gunjaesh hai lekin aisi ashya ke istemal se bhi ea'taraz (ijtinab) bahtar hai. Ta ham agar tehkik se ye ma'alum ho jaye ke alcohol angoor aur khajoor se banai gai hai ya aur kisi kimiyai tariqah se us ki mahiyat ko bhi tabdeel nahin kiya gaya hai to aisi ashya bila shuba Naapaak hain aur us ka dakhli ,kharji iste'amal shar'an jaiz aur durust nahin hoga. 📘Hawala- takmile fathul mulhim Jild 3 page 308 Fatwa no - 14839 DARUL IFTA JAMIA ISLAMIYA BINORIYA KARACHI ROMAN WRITER MUFTI ZAKIR Q

Qur'an Aur Hadees/Urdu-Hindi

19/04/2016           कौन सा माल बेहतर है   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  हदस: रसूलुलाह ﷺ ने फमाया: “जब सूरज िनकलता है, तो उसके दोन जािनब दो फरते रोज़ाना एलान करते ह: ऐ लोगो ! अपने रब क तरफ मुतवजेह हो जाओ जो माल थोड़ा हो और वह काफ हो जाए, वह बेहतर है, उस ज़यादा माल से जो अलाह तआला के अलावा दूसर चीज़ म मशग़ुल करदे ।” (मुनदे अहमद: 21214) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 20/04/2016 अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  ♡ हदस: हज़रत अबू उमामा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क रसूलुलाह (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया: जस शस ने अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत क और उसी के िलए दुमनी क और (जसको दया) अलाह तआला ह के िलए दया और (जसको नहं दया) अलाह तआला ह के िलए नहं दया तो उसने ईमान क तकमील कर ली । (अबूदाऊद) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 21/04/2016   ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫  ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ पूरे-पूरे नूर क ख़ुशख़बर हदस: हज़रत बुरैदा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत ह क नबी करम (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : जो लोग अंधेर म य़ादा-से

AAJ KA SAWAL) Pepsi Company Ki Banai Hui Cheez Ka Len Den

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN ⭕AAJ KA SAWAL NO.665⭕ Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai? 🔵JAWAB🔵 حامدا و مصلیا و مسلما Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech  ke bare me tafseel he wo ye ke, agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he. Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le  Bech bhi na jaiz he. albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga. Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya