Muharram-02 | Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮
🌐Muharram-02🌐

《Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi.》

Is Tahqiq Mein Padne Ki Zaroorat Nahi Ki Kis Waja Se Allah Taala Is Din Ko Fazilat Bakhshi? Balki Ye Sab Allah Taala Ke Banaye Hue Din Hai,Wo Kis Din Ko Chahte Hai Apni Rahmato Aur Barkato Ke Liye Pasand Kar Lete Hai, Wo Hee Iski Hikmat Aur Maslihat Ko Jante Hai, Hamari Aur Aapki Aqal Se Bahar Ki Baat Hai Is Liye Is Bahas Mein Padne Ki Zaroorat Nahi. 

《Is Din Sunnat Wale Kaam Kare.》

Itni Baat Zaroor Hai Ki Jab Allah Taala Ne Is Din Ko Apni Rehmat Aur Barkat Ke Liye Pasand Kar Liya To Iska Ahtiram Ye Hai Ki Is Din Ko Us Kaam Mein Istemaal Kiya Jaye, Jo Kaam Nabie Karim ﷺ Ki Sunnat Se Saabit Ho, Sunnat Ke Taur Par Iska Ek Hukam Hai Ke Is Din Roza Rakha Jaye, Chunanche Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Din Mein Roza Rakhna Guzishta Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega. Bas Ek Hukam Sunnat Hai Iski Koshish Karni Chahiye, Allah Taala Iski Taufiq Ataa Farmaye, Aameen. 

╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

Comments

Popular posts from this blog

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai