▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
*Gusl kin cheezon se farz hota hai*
*1) Ehtelaam ka ho jaana. Neend mein mani ka nikalna, khwaah us ne khwaab dekha ho ya na dekha ho.*
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)
*2) Bedaari mein shehwat ke saath mani nikalna.*
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)
*3) Hambistari karna, chaahe mani na nikle.*
✺ (Shaami: 1/458, Kitaabut Tahaarah)
*4) Haiz ke khoon ka band hojaana.*
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)
*5) Nifaas ke khoon ka band hojaana.*
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)
✺ *Peshaab ke raaste se peshaab ke alaawa teen cheezein aur nikalti hain:*
*1) Wadi:* Woh chikna paani jo peshaab ke baad kabhi kabhi nikalta hai.
*2) Mazi:* Woh patla aur chikna paani jo shahwaani khayaalaat ya miyaan biwi ke bos wa kinaar ke waqt nikalta hai, us ke nikalne se josh aur khwaahish khatm nahin hoti.
*3) Mani:* Woh gaadhha aur chikna paani jo hambistari ya shahwat ke galbe par nikalta hai, us ke nikalne ke baad shahwat aur josh khatm ho jaata hai.
✺ *Note:* Mani ke nikalne se gusl waajib ho jaata hai. Mazi, Wadi aur usi tarah aurat ko safed paani aane se wuzu toot'ta hai, gusl waajib nahin hota. (Shaami: 1/472, Sunanul Gusl)
✺ *Mas'ala:* Jis shakhs par gusl waajib ho us ke liye Quran-e-Kareem ki tilaawat karna aur Masjid mein daakhil hona haraam hai. Albatta zikr wa tasbeeh aur masnoon duaaein padhna durust hai. (Shaami: 1/493, Sunanul Gusl)
Joine Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)
Wednesday, 10 May 2017
*Gusl kin cheezon se farz hota hai*
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment