Showing posts with label Hadees. Show all posts
Showing posts with label Hadees. Show all posts

Sunday, 6 August 2017

Hajj aur Umrah


*آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:*

*’’ حج اور عمرہ کو  ایک ساتھ کیا کرو، اس لیے کہ یہ دونوں فقر اور گناہوں کو اس طرح ختم کر دیتے ہیں ،  جیسے بھٹی لوہے اور سونےچاندی کے میل کو ختم کر دیتی ہے ، اور حج مبرور (مقبول) کا بدلہ تو صرف جنت ہی ہے۔‘‘*(ترمذی:۸۱۰)

*Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya:*

*“ Hajj aur Umrah ko ek saath kiya karo, is liye ke yeh donon faqr aur gunaahon ko is tarah khatam kar dete hain, jaise bhatti lohe aur sone chaandi ke mail ko khatam kar deti hai,  Aur hajj-e-Mabroor (maqbool) ka badlah to sirf Jannat hi hai.”*[TIRMIZI: 810]

Thursday, 11 May 2017

🍁 Nawaaqiz-e-Wazu 🍁

         🌷 ▫  بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم  ▫ 🌷

🍁 Nawaaqiz-e-Wazu 🍁

Aathh cheezon se wuzu toot jaata hai, inhein "Nawaaqiz-e-Wuzu" kehte hain.

1) Paakhaana peshaab karna ya in donon raaston se kisi aur cheez ka nikalna.

✺ (Shaami: 1/365, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

2) Reeh yaani hawa ka peechhe se nikalna.

✺ (Shaami: 1/365, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

3) Badan ke kisi maqaam se khoon ya peep ka nikal kar beh jaana.

✺ (Badaaye Ussanaaye: 1/24, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

4) Munh bhar ke qaye karna.

✺ (Shaami: 1/376, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

5) Let kar ya sahaara laga kar so jaana.

✺ (Shaami: 1/386, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

6) Beemari ya kisi aur wajah se behosh ho jaana.

✺ (Shaami: 1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

7) Paagal ho jaana.

✺ (Shaami: 1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

8) Namaaz mein qehqaha maar kar hansna.

✺ (Shaami:1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

Wednesday, 10 May 2017

*Gusl ka Sunnat Tareeqa*

▫  بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم  ▫

*Gusl ka Sunnat Tareeqa*

✺ Sab se pehle paak hone ki niyyat kare, phir donon haath gatton tak dhoye, phir sharmgaah ko dhoye, phir badan par kahein naapaaki wagaira lagi ho to us ko dhoye, phir mukammal wuzu kare, phir sar par paani daale, phir daaein kandhe par paani daale, phir baaein kandhe par paani daale, phir baaqi badan par paani daale, isi tarah teen martaba poore badan par paani daale, saath saath badan ko male, saabun wagaira lagale. Is ka khaas khayaal rakhe ke agar nahaate waqt satar khula huwa ho to qible ki taraf rukh na karein. (Shaami: 1/443, Kitabuttaharat Sunanul Gusl)

Joine Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

*Gusl kin cheezon se farz hota hai*

�� ▫  بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم  ▫ ��

�� *Gusl kin cheezon se farz hota hai*

*1) Ehtelaam ka ho jaana. Neend mein mani ka nikalna, khwaah us ne khwaab dekha ho ya na dekha ho.*

✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

*2) Bedaari mein shehwat ke saath mani nikalna.*

✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

*3) Hambistari karna, chaahe mani na nikle.*

✺ (Shaami: 1/458, Kitaabut Tahaarah)

*4) Haiz ke khoon ka band hojaana.*

✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

*5) Nifaas ke khoon ka band hojaana.*

✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

✺ *Peshaab ke raaste se peshaab ke alaawa teen cheezein aur nikalti hain:*

*1) Wadi:* Woh chikna paani jo peshaab ke baad kabhi kabhi nikalta hai.

*2) Mazi:* Woh patla aur chikna paani jo shahwaani khayaalaat ya miyaan biwi ke bos wa kinaar ke waqt nikalta hai, us ke nikalne se josh aur khwaahish khatm nahin hoti.

*3) Mani:* Woh gaadhha aur chikna paani jo hambistari ya shahwat ke galbe par nikalta hai, us ke nikalne ke baad shahwat aur josh khatm ho jaata hai.

✺ *Note:* Mani ke nikalne se gusl waajib ho jaata hai. Mazi, Wadi aur usi tarah aurat ko safed paani aane se wuzu toot'ta hai, gusl waajib nahin hota. (Shaami: 1/472, Sunanul Gusl)

✺ *Mas'ala:* Jis shakhs par gusl waajib ho us ke liye Quran-e-Kareem ki tilaawat karna aur Masjid mein daakhil hona haraam hai. Albatta zikr wa tasbeeh aur masnoon duaaein padhna durust hai. (Shaami: 1/493, Sunanul Gusl)

�� Joine Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

*Gusl ke faraaiz*

�� ▫  بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم  ▫ ��

�� *Gusl ke faraaiz* ��

*Gusl mein teen farz hain:*

*1) Munh bhar kar kulli karna.*

✺ (Shaami: 1/423, Matlab fi Abhaasil Gusl)

*2) Naak mein paani daalna.*

✺ (Shaami: 1/423, Matlab fi Abhaasil Gusl)

*3) Poore badan par is tarah paani bahaana ke ek baal baraabar bhi koi jagah sookhi na rahe.*

✺ (Shaami: 1/427, Matlab fi Abhaasil Gusl)

�� Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)