Friday, 14 August 2020

🇮🇳 Independence Day 🇮🇳 post | 3

     
   ✧-----------------﷽-----------------✧
     🇮🇳  Independence Day 🇮🇳
                Special Post
            🇮🇳  Post No-03 🇮🇳
   ✧------------------------------------------✧

╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══
🔵 S A W A A L
      ≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥

Vande Maataram Kehna Kaisa Hai ?
Agar Na-Jaiz Hai To Kyun ?
Kya Watan Se Muhabbat Nahin Karni Chahiye ?

🔵 J A W A A B
  ☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Musalmano Ko Is Mulk Se Badi Muhabbat Hai, Us Ne Is Mulk Ko Aazad Karane Ke Liye Aazadi Ki Jung Hinduon Se Pehle 1772 Me Shah Abdul Azeez Muhaddis E Dehalvi R.A. Ke Angrez Ke Khilaf Jihad Ke Fatwe Ke Baad Shuru Kar Di Thi, Usi Din Se Musalmono Ne Apne Khoon Se Hindustan Ki Dharti Ko Sincha Hai, Aur Watan Se Itni Ziyadah  Muhabbat Hai Ke Marne Ke Ba'Ad Naha Kar Isi Me Dafan Hota Hai,

Lekin Musalman Ke Liye Ye Baat Mumkin Nahi  Ke Woh Kisi Cheez Ko Allah Aur Uske Rasool Se Ziyadah Chahe, Aur Usse Mohabbat Kare, Ya Uska Woh Ehteram Kiya Jaaye Jo Khuda Ke Liye Khaas Hai,

Kyun Ke  Pooja Aur Bandagi Ke Laayak Sirf Aur Sirf *Allah Paak* Ki Zaat Hai, Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Jaiz Nahi, Na Farishto Ki, Na Rasoolo Ki, Na Kisi Wali Ki, Aur Na Hi Kisi Aur Cheez Ki. Aur Insan Sirf Allah Ka Banda Hai, Kisi Dariya, Pahaad, Suraj, Sitare Aur Kisi Makhluq Ka Nahin, Isee Liye Watan Se Woh Muhabbat Jisse Bandagi Laazim Aaye Kisi Haal Me Jaiz Nahin, Yahi Hamara Imaan Aur Aqeedah (Manyata) Hai Ke Allah Ke Siwa Kisi Ki Bandagi Karna Kisi Haal Me Jaiz Nahi, Aur Watan Ko Ma'Bud Ka Darajah Diya Jaaye To Yeh Allah Ke Saath Shirk (Partner) Maanna Hai, Aur Shirk To Kisi Haal Me Maaf Nahi,

Isee Back Ground Me Is Geet Ko Dekhna Chahiye Jo Vande Maatram Ke Naam Se Mash'Hur Hai.

Yeh Geet (Vande Maataram) Bankim Chandra Chetarji Ne Likha He, Aur Taarikh Shaahid (Gavaah) Hai Ke *Yeh Angrezo Ki Khushamad Me Kahaa Gaya Hai, Isee Liye Mulk Ke Bade Leaders Pandit Jawahar Laal Nehru, Subhash Chandra Bose, Dr. Lohiya Wagerah* Ne Bhi Is Nizaee (Ladai Peda Karne Wale) Taraane Ko *Na-Pasand Kiya Hai* Aur Geet Ke Baare Me Musalmano Ke Ikhtilaf Ko Sahih Aur Haquiqi Aur Unki Dharmik Bhawna Ko Thokar Pahonchane Wala Maan Liya Hai

Is Geet Ki Shuruaat Is Misra'A (Pankti) Se Hoti Hai. :-
     "Mai Tere Samne Jhukta Hun Aey Meri Maa (Zameen)"

Fir Aage Yun Hai...
     "Tu Hi Meri Duniya  Hai, Tu Hi Mera Dharam Hai"...

Fir Geet Ke End Me Is Tarah Hai:-
   "Me Gulam Hun, Gulam Ka Gulam Hun,
Gulam Ke Gulam Ka Gulam Hun,
Achchhe Paani, Achchhe Phalo Wali Maa !, Me Tera Banda Hun.."

       Isee Geet Me Ek Jagah Hindustan Ko Durga Maata Ka Darajah De Kar Kahaa Gaya Hai:-
   "Tu Hi Hai Durga, Das Hathyar Band Haatho Wali"

     Yeh Hai Woh Nazam Jisme Shaayar Ne Watan Ko Khuda Se Badhaa Kar Ma'Abud (Ibadat Ke Laayak) Ka Darajah Diya Hai,

Ab Musalmano Se Iska Chahat Karna Ke Is Khayal Ko Qubul Kar Le, Aur Apne Zameer Ko Bech Kar Aur Apne Aqeede Ko Tod Kar Dusron Ki Rawa Rawi Me Yeh Shirkiya Taraana Padhe, Mazhabi Sakhti Aur Jabadasti Ke Siwa Kya Hai ??

Yeh To Aqeede Ki Baat Hui, 
Sikke Ka Ek Aur Rukh Bhi Hai, Woh Yeh Ke Vande Maatram Asal Me Bangali Novel "Aanand Muth" Ka Hissah Hai, Jisme Hinduon Ko Musalmano Ke Khilaf Bhadkaya Aur Uksaya Gayaa Hai, Nafrat Ke Sho'Ale Bhadkane Ki Koshish Ki Gayi Hai, Aur Angrezo Ka Welcome Kiya Gayaa Hai,  Kya Koi Sachcha Vatan Se Muhabbat Rakhne Wala Jiska Dil Sahih Mayno Me
"Dil Hai Hindustani" Ki Tasvir Ho, Aise Angrezo Ke Pitthu Aur Nafrat Felane Wale Ash'Aar (Geet) Ko Pasand Kar Sakta Hai ?

Usko Accha Samajh Sakta Hai ??
Never For Ever.

Lihaza Hazaaro Mira Kumari Aur Digar Bin Secular Firqa Parast Log Naaraz Hote Rahe, Hum Imaan Wale Aise Lagv, Bekar Aur Aqeeda Aur Imaan Ke Khilaf Tarane Ko Kabhi Qubul Nahi Kar Sakte, Balke Me To Kahunga Sachche Vatan Parast Aur Seculer Log Kabhi Is Taraane Ko Nahi Gayenge, Isiliye Jawahar Laal Nehru, Subhash Ch.Bose Aur Dr. Lohya Jaise Kai Bade Gair Muslim Log Bhi Isko Nahin Maante The.

     📓Ma'Khuz Az Raahe Amal)
         ✍Mufti Imran Sahab D.b


╚══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╝
〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️

No comments:

Post a Comment