Kin aurton se nikah karna haraam hai ?
1) Maan, naani, par naani, daadi, par daadi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
2) Beti, poti, par poti, nawaasi, par nawaasi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
3) Sagi bahen, sauteli bahen (maan ya baap shareek bahen, bhateeji, bhaanji. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
4) Khaala, phoopi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
5) Bahu, Saas. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
6) Razaai Bahen (doodh shareek bahen ), Razaai Maan (Jis aurat ka doodh piya ho). (Shaami: 10/383, Baabur Rizaa)
Masla: Chacha zaad, khaala zaad, Phoopi zaad, aur Maamoon zaad behnon se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
Masla: 2 Behnon ko ek saath Nikah mein rakhna haraam hai, albatta agar biwi ki wafaat hogai ya use talaaq dedi ho aur iddat poori hochuki ho to ab saali se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
Masla: Agar kisi mard ne kisi aurat ko shehwat ke saath haath lagaaya ya zina kiya to us mard ke liye us aurat ki maan aur us ki betiyon se nikah karna haraam hogaya. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)
Masla: Haiz-o-Nifaas ki haalat mein hambistari karna haraam hai. Isi tarah aurat ki pichhli sharmgaah mein hambistari karna bhi haraam hai. (Shaami: 2/409, Baabul Haiz)
Apni bahu ki beti.se nikkah jaiz hai? Matlb woh dada ki sagi poti nahi.usky bete ki beti nahi hai. Uski biwi ke dusre shohar se woh beti hai. Kya jaiz hai yeh soteli poti se
ReplyDeleteapny bete ki bevi ki beti say nikah hram ha bhlay wo beti dosry shohar say hak lakin us ki maa ap ki bahu ha
ReplyDeletekya ek shouhar ke hote dusre se milna jayez hai
ReplyDeletekya mami sa nekah jaiz hai
ReplyDeleteKya bade Papa ke beti ke bete se nikah jayaj h
ReplyDeleteApne se 2 saal chote bache se nikah jayaz hai?
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAssalamualaikum,khala ke pothri se nikah karsakte hy ya nahi
ReplyDelete