BAGEIR TOPI KE NAMAZ
⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕
Bageir topi ke namaz padhna kaisa hai?
Aaj kal navjawano topi ke bageir namaz padhte hai uska kya hukm hai ?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Mukarrir Hazrat maulana mufti Saeed ahmed sahab palanpuri damat barkatuhum,shaikhul hadish or sadar-ul-mudarrisine Darul Uloom Deoband farmaten hai.
“Dekho mere bhaiyo ! Deen woh hai jo Duniya ke tamam muslnano me hai.
Kyun ke deen ka madaar Qur'an or hadees par hai jo sari duniya me ek hee he, Lihaza sari duniya me jo tareeqah chal raha he wahi deen he aur agar kisi ilaqe me ek tareeqa he jisko dusre ilaaqe wale nahi jante to yeh tariqah deen me se nahi he baad me badha hai,agar Qur'an aur hadees me yeh tariqah hota to sari duniya me hota,
Kuch logo ka khayal hai ke Nange sar namaz padhna sunnat hai, me 45 saal se hadees parha raha hun
Magar humne aaj tak koi hadees nahi padhi jisme yeh ho ke Nabi-e-Paak ﷺ ke paas topi ya amamah maujood tha or Aap ne ek farz namaz nange sar padhi ho, puri zindagi me ek dafah bhi aisa kiya ho,aisi koi hadees hamne nahi padhi aur qayamat ki subha tak mohlat hai, lao aisi koi hadees, chahe zaeef hi kyun na ho.
In bhiyon se jab puchha jata hai to fauwran kehte he
"Topi ke bagair kya namaz nahi hoti?
ek martaba nahi,so martaba hoti he aur topi ke bagair hi nahi, kurte ke bagair bhi namaz hoti hai,
namaz me mard ke liye naaf se lekar ghutne tak hi badan dhankna zaruri hai, ghutne ke niche ka hissa or naaf se upar ka hissa agar sara khula ho tobhi namaz ho jaegi.
garz nange sar namaz hoti he ya nahi?
ye masla nahi hai,masla yeh hai ke namaz ke waqt Allah ta'ala ka kya hukm hai?
Allah ta'ala ka hukm yeh hai
(ae,Adam ki awlaad ! jab tum namaz padho,Shandar libas pahan kar namaz padho or islami tahzeeb me nange sar hona Shandar libas nahi,Yeh to Fashion hai, Gairo ka tariqah hai, islami tarika nahi,
واللہ اعلم
✏MAULANA SHAHID SURTI
Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
http://www.islamimessagesddim.blogspot.com
Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye join kare hamare telegram channel pe https://tellegram.me/nddim
Beshaq
ReplyDelete