Saturday, 30 April 2016

AAJ KA SAWAL) Ulti Hone Se Wuzu Tootne Ke Masail

ULTI HONE SE WUZU TOOTNE KE MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.667⭕

Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ?

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

1.Agar kai (ulti) huyi aur usme khana ya paani ya pitt gire to, agar munh bhar kar kai-ulti huyi ho to wuzu tut gaya, aur munh bhar kai nahi huyi to wuzu nahi tuta. aur munh bhare hone ka matlab hai ke mushkil se munh me ruke aur agar kai me sirf balgam gire to wuzu nahi gaya chhahe jitna ho. muh bhar ho ya na ho, sabka ek hi hukam he, aur agar kai(vomit) me khun gire to agar patla aur behta huva ho to wuzu tut jayega. chahe kam chahe ziyadah muh bhar kar ho ya na ho.

2. THODI THODI (zaraa zaraa) vomit KAEE BAAR HONA:
Agar thodi thodi karke kaee baar kai-vomit huyi, lekin sab milakar itni hai ke agar ek baar girti to muh bhar ho jati, to har  baar ek hi matli [yaane becheni-ghabrahat] baraabar baaki rahi aur thodi thodi kai-vomit hoti rahi to wuzu tut gaya, aur agar ek hi matli-becheni-ghabrahat baraabar baaki nahi rahi balke pehli baar ki matli-becheni-ghabrahat jaati rahi thi,  aur jee achchha ho gaya tha fir dusri baar matli-becheni-ghabrahat shuru huyi aur thodi kai ho gayi fir jab ye matli-becheni-ghabrahat jaati rahi, aur tisri baar fir matli shuru ho kar kai huyi to wuzu nahi tutta.

3. FOURAN ULTI HUYI TO WUZU NAHI TUTEGA:
Khana pet me pahochne ke pahele hi ulti ho jaye aur wih khorak ki naali me se hi nikal jaye to usse wuzu nahi tutta.

��DURRE MUKHTAAR ZAKARIYAH 1/280  

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye (DDIM) Websit Sarch Kare...
https://islamimessagesddim.blogspot.com

No comments:

Post a Comment