MAKAN DUKAN ME QURANI AAYAT LATKANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.664 ⭕
Makan ya dukan Me kisi takhte Wagairah par quran ki aayat likhkar latkaana kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Jahan T.V. chalaya Jata ho Ya Jandar ki tasweeren ho wahan ayat wala takhta latkane me quraan majeed ki behurmati -be adabi hai, isliye jaiz nahi,
agar Ye khurafat na ho aur tazeem-adab malhooz rakha jaye, gardo gubar -dhul mitti se saaf rakha jaye to jaiz hai, deewar aur darwaze par ayat likhna makroohe tanzihi yani munasib nahi.
AHSANUL FATAWA 23/8 HAHAWALA SHAMI 1/120
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hamare (DDIM) Group ke websit ko sacrch kare. islamimessagesddim.blogspot.com
No comments:
Post a Comment