18/04/2016
Seerat un Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(part-1)
Ab se koi chauda sau saal pehle ki baath hai, dunya ka bahot bura haal tha. Har taraf loot maar, chori, jhoot, dhoka, fareb, juva, sharaab, be sharmi aur be hayaai phaili thi. Poori duniya mein kufr aur shirk ka andhera chhaaya huwa tha. Allah ki marzi bataane waala koi Rasool na tha, Rasool sab ja chuke the, duniya waale gumraah ho gaye the, Allah ke baagi ban gaye the, Rasoolon ki ta'aleem bhula bhethhe the, Allah ka raasta chhod chuke the, apni man maani karte, ya apne jaise aadmiyon ka hukm maante, ya khaandaan aur biraadari ke rasm-o-riwaaj par chalte, Allah ki kitaabein bigaad di theen, un mein apni apni baatein mila rakhi theen, Log patthar ke but bana kar poojte, devi devtaaon ko poojte the , un ke naam par jaanwar zabah karte, mannat maante, chadhaawe chadhaate, ped, Pahaad, nadi, naale, jaandaar aur be jaan sab un ke ma'abood the. Garz jitne aadmi the utne hi raaste ho gaye the.
Allah ka deen chhodne ka yahi nateeja hota hai. Jab duniya waale bahot ziyaada bigad gaye, bilkul hi gumrah hogaye, to Allah ko un par raham aaya aur un ki hidaayat ke liye donon jahaan ke sardaar Hazrat Muhammed ﷺ ko bheja.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Daily Deeni Islamic Msg (DDIM) Whatsapp Group
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
19/04/2016
Seerat un Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part-2)
Pyaare Rasool ﷺ Rabeeul Awwal ke maheene mein mutaabiq 571 Iswi do shamba (peer) ke roz paida huwe.Yeh taareekh-e-insaaniyath ka sabse mubarak din tha. Aap ﷺ shaher Makka mein paida Huwe..
Makka Arab desh ka ek mash'hoor Shaher hai Allah ka paak ghar Ka'aba isi shaher mein hai. Arab hamaare yahaan se door
door samandar paar ek mulk hai, yeh mulk hamaare yahaan
pachchhim (West) ki taraf hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)
https://Www.islamimessagesddim.blogspot.com/19/04/2016.html
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
20/04/2016
Seerat un Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 3)
Hamaare Nabi ﷺ ka Nasab Shareef
Nabi-e-Kareem ﷺ ka nasab mutahhar tamaam duniya se ziyaada shareef aur paak hai aur yeh woh baat hai ke tamaam Kuffar-e-Makkah aur Aap ﷺ ke dushman bhi is se inkaar na karsake . Abu Sufyaan (Raziyallahu Anhu) ne bahaalat-e-kufr Shaah-e-Room ke saamne is ka iqraar kiya haanlaake woh us waqt chaahte the ke agar koi gunjaaish mile to Aap par aib lagaaein.
Aap ka nasab shareef waalid maajid ki taraf se yeh hai : Muhammed bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim bin Abd-e-Munaaf bin Qusai bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luwai bin Gaalib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kanana bin Khuzaima bin Mudraka bin Ilyaas bin Muzir bin Nazaar bin Ma'ad bin Adnan.
Yahan tak silsila-e-nasab ba ijmaaye ummat saabit hai aur yahaan se Hazrat Aadam (Alaihisalaam) tak ikhtelaaf hai. Is liye usko tark kiya jaata hai.
Aur waalida maajida ki taraf Aap ka nasab yeh hai Muhammed bin Aamina binte Wahab bin Abd-e-Munaaf bin Zohra bin Kilaab. Is se maaloom huwa ke kilaab bin Murrah mein aap ke waalidaihn ka nasab jama ho ho jaata hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
For previous parts of this messages, vist/ islamimessagesddim.blogspot.com
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
21/04/2016
Seerat un Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 4)
Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan
Us mulk mein bahot se qabeele the , Quraish ka qabeela un mein sab se ziyaada izzat wala qabeela tha. Usi qabeele ke log Ka'aba ki khidmat karte the, saara Arab Quraish ki izzat karta tha, Pyaare Rasool ﷺ usi qabeele se the.
Aap ﷺ ke qabeele mein baaz bahot mash'hoor aadmi guzre hain, un mein ek Qusai the. Qusai apne qabeele ke sardaar the, Haj ke mauqe par saare haajiyon ko apna mehmaan banaate, teen din tak unhein muft mein khaana khilaate. Qusai ki aulaad mein Haashim bahot mash'hoor hain. Qabeele ke tamaam logon mein un ki badi izzat thi, Haashim bahot bahaadur aur sakhi the. Ek baar qahat pada, Haashim ne apne paison se bahot ziyaada galla khareeda aur logon mein muft taqseem karaaya. Haashim ke kai bete the, un mein sab se mash'hoor Abdul Muttalib the, yeh bhi apne qabeele ke sardaar the.
Arab mein paani bahot kam hai, Makkah waalon ke liye “Zam Zam ka kunwa” Allah Ta'ala ki bahot badi nemat hai, magar ek arse se woh mitti se bhar kar zameen ke baraabar ho gaya tha. Kisi ko yeh khabar na thi ke woh kahaan hai, Abdul Muttalib ne koshish kar ke pata lagaaya. Badi mehnat se use saaf karaaya. Makkah waalon ko paani ki aasaani ho gai, is ehsaan ki wajah se Makkah ke log un ki badi qadr karte the.
Abdul Muttalib ke kai bete the. Un mein sab se chhote aur chaheete Abdullah the. Yahi Abdullah pyaare Rasool ﷺ ke abbu miyaan the. Abdullah ki shaadi Bibi Aamina se hui thi. Bibi Aamina Pyaare Rasool ﷺ ke ammi jaan theen.
Abdullah pyare Rasool ﷺ ki paidaaish ke kuchh din pehle hi inteqaal farma chuke then. Daada miyaan Abdul Muttalib zinda the, unhon ne hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish ki khabar suni, to bahot kush huwe, ghar aaye, pote ko god mein liya, pyaar kiya, Ka'aba mein le gaye, wahaan dua maangi, Muhammad naam rakha, saatwein din aqeeqa kiya, sab ki da'awat ki, logon ne poochha yeh naam kyun rakha, bole main chaahta hoon ke mere bete ki saari duniya ta'areef kare, Allah ne un ki aarzu poori ki. Darood ho pyare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Rozana Deeni Msg Images Aur bhe bahut kuch pane ke leya aap aapne browser pe hamare websit search kare islamimessagesddim.blogspot.com
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
22/04/2016
Seerat-un-Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 5)
Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan
Makkah ka riwaaj tha ke log bachchon ko dehaat bhej dete. Waheen un ki parwarish hoti. Aap ﷺ ki ammi jaan ne bhi Aap ﷺ ko dehaat bhej diya. Hazrat Haleema (Raziyallahu Anha) ne Aap ki parwarish ki. Hazrat Haleema ( Raziyallahu Anha) ke qabeele ka naam “Bani Sa'ad” tha is liye un ko Haleema Sa'adiya kehthe hain. Woh bahot nek Bibi theen . Aap ﷺ ne un ka doodh piya. Khuli hawa mein pale badhe, khoob tandrust huwe. Saaf suthri boli seekhi, do saal baad Makkah aaye, ammi jaan ne dekha, bahot kush huween, Makkah mein beemari phaili thi, ammi jaan ne Hazrat Haleema (Raziyallahu Anha) ke saath Aap ﷺ ko phir bhej diya.
Jo Aap ﷺ ki bholi soorat dekhta Aap ﷺ ko pyaar karta, Aap ﷺ ki meethhi baatein sunta, khush hota. Aap ﷺ Bibi Haleema (Raziyallahu Anha) ke bachchon se muhabbat karte the, woh bhi Aap ﷺ se muhabbat karte, apne saath khel mein shareek karte, bakriyaan charaane jaate to Aap ﷺ ko apne saath le jaate.
Chaar saal ke huwe to ammi jaan ke paas wapas aagaye. Ammi Aap ﷺ ko dekh kar bahot khush huween, muhabbat se paalne lageen. Chhe saal ke huwe to Aap ﷺ ko le kar maike gayeen, raaste mein beemaar ho kar chal baseen. Maan baap donon ka saaya sar se uthh gaya. Umme Aiman Aap ﷺ ko daada miyaan ke paas laayeein, daada miyaan ko bahot dukh huwa. Kya karte marna jeena Allah ke ikhtiyaar mein hai, aai hui ghadi ko kaun taal sakta hai.
Bade ho kar pyaare Rasool ﷺ ek baar maqaam-e-“Abwa” se guzre, ammi jaan ki qabr dekh kar Aap ﷺ ka dil bhar aaya. Aap ﷺ ki aankhon mein aansu dekh kar sahaaba bhi rone lage.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Seerat un Nabi Ke Aur v part pane ke leya aap hamare websit ko khole seerat un Nabi Ke sat sat aap ko aur v bohut kuch mile ge inshaalla Hamara websit he
islamimessagesddim.blogspot.com
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
23/04/2016
Seerat-e-Nabi ﷺ
(Part 6)
Hamaare Nabi ﷺ ki parwarish
Daada miyaan Aap ﷺ ko bahot pyaar karte, daada miyaan ne Aap ﷺ ki parwarish ki. Bahot muhabbat se paala, aathh saal daada miyaan bhi chal base. Marte waqt daada miyaan ne Aap ﷺ ko Abu Taalib ke hawaale kiya. Abu Taalib Aap ﷺ ke chacha jaan the,
Aap ﷺ ke kai chacha the
Abu Taalib un sab mein achchhe the, Aap ﷺ se muhabbat karte hamesha saath liye phirte pyaar karte, kisi tarah ki takleef na hone dete, safar mein bhi app ﷺ ko saath rakhte.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)
24/04/2016
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
Seerat-un-Nabi ﷺ
(Part-7)
Hamaare Nabi ﷺ ki Jawaani
Pyaare Rasool ﷺ chacha jaan ke saaye mein pale badhe, rafta rafta jawaan huwe , jawaani mein Aap ﷺ sab se achche the. Arab ke jawaan aapas mein ladte bhidte, Aap ﷺ ladaai se hamesha door rehte Aksar log sharaab peete, khelte, bure bure kaam karte, Aap ﷺ un cheezon ko bura samajhte, gareebon ko khaana mazdooron ki mada kamzoron ka saath dete.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
25/04/2016
Seerat-un-Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 8)
Hamaare Nabi Muhammad ﷺ Ki tijaarat
Chacha jaan tijaarat karte the, Aap ﷺ bhi tijaarat karne lage, tijaarat ko Aap bahot Achhha samajte the. Aap ﷺ bahot achchhe taajir the. Hamesha sach bolte, jhoot ke paas na jaate, sab Aap ﷺ ko “Saadiq” Kehte Aap ﷺ Muaamla saf Rakhte. baoht Amaanatdaar the. Sab Aap ﷺ ko 'Ameen' kehte, sab Aap ﷺ ki izzat karte, sab Aap ﷺ par bharosa karte, ghar ghar Aap ﷺ ki amaanatdaari Aur sachchaai ka charcha tha.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Join:-) Daily Deeni Islamic Group (DDIM)
+91-9658951292
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
26/04/2016
Seerat-un-Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 9)
Makkah mein ek maaldaar khaatoon theen, un ka naam “Khadeeja” tha. Bibi Khadeeja (Raziyallahu anha) bewa theen, un ke shohar marchuke the. Un ka bada kaarobaar tha, tijaarat ke liye logon ko rupya deteen aur unhein nafe mein shareek kar leteen. Pyaare Rasool ﷺ ki amaanat-daari aur sachchaai ka charcha suna, to Bibi Khadeeja ne khwaahish ki ke Aap un ka maal-e-tijaarat le kar safar par jaayein. Aap ﷺ ne manzoor farma liya aur Bibi Khadeeja ke gulaam Maisara ko le kar Shaam (Syria) ke safar par rawaana huwe. Aap ne badi mehnat, aqalmandi aur sachchaai se kaam kiya.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM) Group
27/04/2016
Seerat-un-Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 10)
Hamaare Nabi ﷺ ka Nikaah
Hamaare Nabi ﷺ bahot sa Nafa kama kar Shaam ke safar se laute, paayi paayi ka hisaab diya. Bibi Khadeeja (Raziyallahu anha) nek theen Aap ﷺ ki achchhaaiyaan dekh kar bahot khush hueen. Phir Maisara gulaam ne bhi Aap ﷺ ki Imaandaari, neki, logon ke saath hamdardi aur muhabbat ka aankhon dekha haal bayaan kiya. Bibi khadeeja (Raziyallahu Anha) bahot mutassir huween, Khud nikaah ka paigaam diya, Aap ﷺ tayyaar ho gaye. Chacha jaan aur Quraish ke kuchh aur logon ko saath le kar Bibi Khadeeja (Raziyallahu Anha) ke makaan par pahonche aur nikaah ho gaye. Us waqt Aap (ﷺ) pachchees saal ke the, Bibi Khadeeja (Raziyallahu Anha) ki umr chaalees saal thi.
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic messages (DDIM) Group
28/04/2016
Seerat-un-Nabi ﷺ
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
(Part 11)
Amn ki koshish aur Hajr -e- Aswad ka faisla
Ek Dafa zikar hai ka'ba ki marammat ho rahi thi, puraani deewaarein tod kar banaai ja rahi thi ek deewaar mein Hajr-e-Aswad laga huwa tha, yeh ek kaala pathar tha , yeh patthar Hazrat ibrahim ﻪﯿﻠﻋ مﻼﺴﻟا ki yaadgaar tha, sab us ko mutabarrak samajhte the. Jab deewaar mein us patthar ko chunne ka waqt aaya, to aapas mein jhagda hone laga. Har shakhs yeh chaahta tha ke yeh mutabarrak patthar main lagaaoon. Qareeb tha ke khoon kharaaba ho jaaye, aakhir taye huwa ke jo shakhs kal subah sab se pehle ka'ba mein aaye, usi ka faisla maan liya jaaye. Allah ka karam aisa ke doosre din sabse pehle Pyaare Rasool ﷺ hi Ka'ba mein tashreef laaye. Sab ko Aap ﷺ par bharosa tha, sab ne Aap ﷺ ko faisal maan liya. Aap ﷺ ne bada achchha faisla kiya. Ek chaadar li, us mein Hajr-e-Aswad ko rakha, har qabeele ke sardaar ko ek ek kinaara pakadne ko kaha, sab ne mil jul kar uthhaaya , jab patthar wahaan tak le aaye jahaan use rakhna tha. Aap ﷺ ne use uthha kar deewaar mein laga diya. Is tarah har qabeele ko is kaam mein shareek hone ka mauqa mil gaya
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Hamare Sabhi Sawal jawab aur v bohut kuch msg pane ke leya sarch kare hamare (DDIM) Websit
Islamimessagesddim.blogspot.com
No comments:
Post a Comment