18/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
❄ AAJ KE AADAB ❄
0⃣1⃣0⃣2⃣
Gam wa pareshaani door
karne ki dua
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
"Ya hayyu yaa qayyoom
birhamatika astageesu"
Tarjama: Aye hamesha zinda
rehne waale, sab ko thaamne
waale ! Main teri rahmat ki
ummeed ke saath tujh se
faryaad karta hoon.
(Tirmizi:3524)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
19/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
❄ AAJ KE AADAB ❄
0⃣1⃣0⃣3⃣
Sageera gunaahon se
maafi ki dua
[Rozaana 100 martaba padhein]
سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ
"Subhaanallaahi wa
bihamdihi"
Tarjama : Allah ki zaat
tamaam uyoonbon se paak
hai aur ta'areef usi ke liye hai.
Fazeelat: Rasoolullah ﷺ ne
irshaad farmaaya Jis ne rozaana
100 martaba yeh dua padhi us
ke tamaam (sageera) gunaah
maaf kar diye jaayeinge, agar
che woh kasrat mein samandar
ke jhaag ke baraabar hon.
(Bukhaari:6405)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
20/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
❄ AAJ KE AADAB ❄
0⃣1⃣0⃣4⃣
Nuqsaan se bachne ki dua
Subah wa shaam
3 martaba padhein.
بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ
شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي
السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
"Bismillaahillazee laa
yazurru ma'asmihee shaiun
fil arzi walaa fissamaai wa
huwas sameeul aleem"
Tarjama : Allah ke naam ke
saath main ne subha ki jis ke
naam ki barkat se koi cheez
nuqsaan nahin pohnchaati,
zameen men aur na aasamaan
mein aur wahi khoob sunne
waala, bada jaanne waala hai.
Fazeelat: Rasoolullah ﷺ ne
farmaaya Jo shakhs subah
wa shaam 3 martaba yeh dua
padh liya kare, use koi cheez
nuqsaan nahin pochncha sakti.
(Tirmizi: 3388)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
21/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
❄ AAJ KE AADAB ❄
0⃣1⃣0⃣5⃣
Badan ki salaamati ki dua
Subah wa shaam
3 martaba padhein.
اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ
عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ
عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَإِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
"Allaahumma aafinee fee badani,
Allaahumma aafinee fee sam'ee,
Allaahumma aafinee fee basari,
Laa ilaaha illa anta."
Tarjama: Aye Allah! Mere
badan ko durust rakhiye, Aye
Allah! Mere kaan aafiyat se
rakhiye, Aye Allah! Meri aankhein
aafiyat se rakhiye, aap ke siwa
koi ibaadat ke laaiq nahin.
Fazeelat : Rasoolullah ﷺ
rozaana subah wa shaam ke waqt
yeh dua 3, 3 baar padha karte the.
(Abu dawood:5090)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
22/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
0⃣1⃣0⃣6⃣
Guftagu ke Aadaab
Pehle Aadab yeh hai ke guftagu
hamesha narmi se karne ki
koshish karni chaahiye, kyun ke
narm mizaaji aksar achchhaiyon
aur bhaalaiyon ki jad aur bunyaad
hai, isi wajah se Huzoor ﷺ ne
farmaaya: Jo aadmi narmi se
mahroom kar diya gaya woh
saari bhalaaiyon se mahroom
kar diya gaya [Muslim:6765]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
23/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
0⃣1⃣0⃣7⃣
Guftagu ke Aadaab
Doosra adab yeh hai ke jab koi
baat kisi ko samjhaani ho, to
guftagu thhaher thhaher kar
karni chaahiye, taake baat sunne
waale ko achchhi tarah samajh
mein aa sake, Hazrat Aaisha
Radi Allahu anha farmaati hain
ke Huzoor ﷺ ki baat juda juda
hoti thi, jis ko har sunne waala
samajh leta tha.
[Abu Dawood:4839]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
24/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
0⃣1⃣0⃣8⃣
Guftagu ke Aadaab
Teesra adab yeh hai ke guftagu
umoomon aahistagi aur
munaasib aawaaz ke saath
karni chaahiye, be mauqa cheekh
cheekh kar baatein karna,
himaaqat wa jahaalat ki nishaani
hai, Allah ta'ala ne Qur'aan mein
hazrat Luqmaan alaihissalam ki
zabaani guftagu aur bolchaal
ka tareeqa is tarah sikhaaya hai:
"Aur apni aawaaz zara past
rakh, sab aawaaz se buri
aawaaz gadhon ki hoti hai"
[Sura-e-Luqmaan:19]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
25/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
0⃣1⃣0⃣9⃣
Guftagu ke Aadaab
Chautha adab yeh hai ke guftagu
mukhtasar aur baamaqsad honi
chaahiye, kyun ke mukhaatab
lambi baat sunne se ukta jaata
hai, ek dafa ek shakhs ne taweel
khutba diya, Hazrat Amr bin Aas
Radi Allahu Anhu ne suna, to
farmaaya: Agar yeh shakhs
mukhtasar baat karta, to is ke
liye behtar hota, kyun ke main ne
huzoor ﷺ ne suna hai ke aap ﷺ
ne farmaaya: Mujhe hukm diya
gaya hai ke main guftagu mein
ikhtesaar ikhtiyaar karoon, kyun
ke ikhtesaar behtar hai.
[Abu dawood: 5008]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
26/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
0⃣1⃣1⃣0⃣
Guftagu ke Aadaab
Paanchwaan adab yeh hai ke
guftagu hamesha dil aazaari,
la'an ta'an, geebat wa bohtaan
aur tanz wagaira se paak honi
chaahiye, kyun ke ahaadees
mein in cheezon se bachne
ki sakht taakeed aai hai aur
aisi baaton ko ikhtiyaar karne
waalon ke haq mein sakht
waeed bayaan hui hai.
Note: Ab tak ki ye post
Idara E Deeniyat ki books
se likhi gye hai..
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
27/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣1⃣--
Gaali galoch se bachna
Islaam ne zabaan ki hifaazat
karne aur us ko galat istemaal
se bachaane ka hukm diya hai,
Ek sachche pakke momin ki
shaan yeh hai ke woh narm
mizaaj aur sheereen kalaam
karne waala hota hai, us ki
zabaan se gandi baatein, gaali
galoch aur akhlaaq se gire huwe
alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko
taana nahin deta aur na woh
kisi par laanat karta hai.
Hazrat Abdullah bin Mas'ood
Radi Allahu anhu se riwaayat
hai ke Rasoolullah ﷺ ne
irshaad farmaaya: Momin taana
dene waala, laanat karne waala,
gandi baatein karne waala aur
behaya nahin hota.
[Tirmizi:1977]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
28/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣2⃣--
Waalidain ko na sataana
◽Part: 1◽
Jis tarah maa baap ki
farmaanbardaari karna, un ke
saath achchha sulook karna,
un ki khidmat karna aur unhein
hamesha raahat wa aaraam
pahonchaana bahot badi neki
aur sawaab ka kaam hai, isi
tarah un ki naafarmaani karna,
un ke sath bura sulook karna,
un ko takleef pahochaana ya
kisi aur tarah un ko sataana,
bahot bada gunaah hai.
Chunaanche ek riwaayat mein
Rasoolullah ﷺ ne shirk ke baad
sab se bada gunaah waalidain
ko satane aur un ki naafarmaani
karne ko qaraar diya hai.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
29/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣3⃣--
Waalidain ko na sataana
◽Part: 2◽
Jo shakhs apne maan baap ko
sataata hai, ya kisi bhi tarah se
un ka dil dukhaata hai, un ki
baatein nahin maanta aur un
ki naafarmaani karta hai, to
Allah Ta'ala aur Huzoor ﷺ us
se sakht naaraaz hote hain aur
Allah Ta'ala use duniya mein
bhi saza dete hain aur aakhirat
mein bhi us ko bahot sakht saza
deinge. Ek hadees mein Aap ﷺ
ne farmaaya: Tamaam gunaahon
mein se Allah Ta'ala jitna chaahte
hain maaf farma dete hain, lekin
maan baap ko sataane ka gunaah
aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah
ke karne waale ko maut se pehle
duniya hi ki zindagi mein saza
de dete hain.
[Sho'abul Imaan:7890]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
30/04/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣4⃣--
Waalidain ko na sataana
◽Part: 3◽
Ek doosri hadees mein
Huzoor ﷺ ne farmaaya:
Waalidain ki naafarmaani karne
se bacho, kyun ke jannat ki
khushbu ek hazaar saal ki doori
se mahsoos hoti hai. Allah ki
qasam! Waalidain ka naa-
farmaan us ki khushbu bhi
nahin soongh paayega.
[Tabraani Ausat:5664]
Lihaaza ham logon ko bhi apne
waalidain ki naafarmaani karne
aur unhein kisi bhi tarah ki takleef
pahonchaane se bachna chaahiye,
agar ham apne waalidain ko
takleef pahonchaaeinge, to Allah
Ta'ala ham se naaraaz ho jaaeinge
aur duniya wa aakhirat mein
bahot sakht saza deinge.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
01/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣5⃣--
Masjid ka ehteraam
◽Part: 1◽
Islaam mein masjid ki badi
ahmiyat hai, masjid ka adab
wa ehteraam karna zaroori hai
aur us ke aadaab ka lihaaz
rakhna parhezgaari ki nishaani
hai. Masjid ke aadaab mein se
yeh hai ke masjid mein daakhil
hote waqt salaam karein,
bashart yeh ke masjid mein
baithhe huwe log dars ya zikr
mein mashgool na hon aur agar
masjid mein koi shakhs na ho,
to is tarah salaam karein
"Assalaamu 'alaina wa 'ala
'ibaadillaahis saaliheen".
[Sho'abul Imaan: 8836]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
02/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣6⃣--
Masjid ka ehteraam
◽Part: 2◽
Masjid mein jaakar sab se pehle
do rakat Tahiyyatul Masjid ada
karein, kasrat se Allah ka zikr
karte rahein, masjid mein
dunyaawi guftagu, khareed
-o-farokht aur gumshuda cheez
ka elaan na karein, Allah ke zikr
ke alaawa kisi aur cheez mein
aawaaz buland na karein, logon
ki gardanon ko phalaang kar
aage badhne ki koshish na
karein, jagah ke liye kisi namaazi
se jhagda na karein, saf mein
kisi par jagah tang na karein,
namaazi ke samne se na guzrein,
masjid mein na thookein, na
ungliyan chatkhaayein, masjid
ko gandagi se paak saaf rakhein
aur na samajh bachchon aur
paagalon ko masjid mein na
aane dein.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
03/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣7⃣--
Masjid ka ehteraam
◽Part: 3◽
Rasoolullah ﷺ ne irshaad
farmaaya: Tum apni masjidon
se chhote bachchon aur
paagalon ko door rakho (un ko
masjid mein na aane do) aur
khareed-o-farokht, ladaai
jhagde aur shor hangaame
(masjid mein) na kiya karo.
[Ibne Maajah: 750]
Ek doosri hadees mein Aap ﷺ
ne farmaaya: Ek zamaana aisa
aayega ke masjidon mein
dunyawi baatein hongi, tumhein
chaahiye ke un logon ke pass
bhi na baithho, Allah ko un
logon se koi sarokaar nahin.
[Sho'abul Imaan:2962]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
04/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣8⃣--
Waalidain ka
Adab-o-Ehteraam
◽Part: 1◽
Islaam ne maan baap ke saath
achchha sulook karne aur un
ka adab-o-ehteraam karne ki
taaleem di hai, kyun ke maan
baap hamaari parwarish karte
hain, hamaari har zaroorat ka
khayaal rakhte hain, hamaari
khaatir apna aaraam qurbaan kar
dete hain, un ka ham par bada
ehsaan hai, isi liye Allah Ta'ala
ne apni ibaadat ke baad maan
baap ke saath achchha bartaao
aur un ka adab-o-ehteraam
karne ka hukm diya hai.
Qur'aan-e-Kareem mein hai:
"Tumhaare rab ne saaf saaf
hukm diya hai ke tum us ke
alaawa kisi ki ibaadat na karo
aur apne maan baap ke saath
achchha bartao karo. Agar woh
tumhaare paas hon aur un mein
se ek ya donon budhaape ko
pahonch jaayein, to unhein
"uff" tak na kaho, na unhein
jhidko, un se khoob adab se
baat karo". [Sura-e-Asra: 23]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
05/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣1⃣9⃣--
Waalidain ka
Adab-o-Ehteraam
◽Part: 2◽
Maan baap ki khidmat karne
aur un ko raazi rakhne mein
hamaare liye bahot faaide hain,
duniya mein aur aakhirat mein
bhi. Ek martaba ek sahaabi
Radhi allahu anhu ne huzoor ﷺ
se poochha: Ya Rasoolallah!
Aulaad par maan baap ka kitna
haq hai? Aap ﷺ ne farmaaya:
Woh donon tumhaari Jannat
aur dozakh hain.
[Ibne Maaja: 3662]
Yaani jo shakhs maan baap
ki khidmat karega, un ka kehna
maanega, un ko raazi rakhega
aur un ki izzat karega, to use
jannat milegi aur jo shakhs un
ko takleef pahonchaaega, un
ko naaraaz karega, un ka dil
dukhaaega aur un ka kehna
nahin maanega, to Allah Ta'ala
use dozakh mein daal dega.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
06/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣2⃣0⃣--
Waalidain ka
Adab-o-Ehteraam
◽Part: 3◽
Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ
ne farmaaya Jo farmaanbardaar
aulaad apne maan baap ko
muhabbat ki nazar se dekhe, to
use har nigaah par ek maqbool
haj ka sawaab milega. Logon
ko bada taajjub huwa, unhon
ne poochha: Agar woh din mein
sau martaba dekhe (to har
martaba maqbool haj ka sawaab
milega?). Aap ﷺ ne farmaaya:
Haan! [Sho'abul Imaan:7856]
Is liye hamein chaahiye ke ham
apne maan baap se muhabbat
karein, un ki izzat karein, hamesha
un ko aaraam pahonchaaein,
kabhi bhi un ko zarra baraabar
takleef na pahonchne dein, har
haal mein un se narmi aur adab
se baat karein aur hamesha un
ke liye dua karte rahein. Agar
ham un ko raazi rakheinge to
Allah Ta'ala bhi ham se raazi
raheinge aur agar ham un ko
naaraaz kar deinge, to Allah Ta'ala
bhi ham se naaraaz ho jaaeinge.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
07/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣2⃣1⃣--
Raaste se takleefdeh
cheez ko hataana
◽Part: 1◽
Hamaara Deen Islaam bahot
hi achchha mazhab hai, yeh
hamein achchhe kaamon ka
hukm deta hai aur chhoti chhoti
baaton ke baare mein bhi
hamaari rehnumaai karta hai.
Islaam mein raaston ko saaf
suthra rakhna aur khaas taur
par raaste se takleef dene waali
cheez ko hata dena sawaab
ka kaam hai.
Hazrat Abu barza Aslami Radi
Allahu anhu ne huzoor ﷺ se
arz kiya: Ya Rasoolallah! Mujhe
koi aisi cheez sikha deejiye, Jis
se main faaida uthhaaun.
Aap ﷺ ne irshaad farmaaya:
Musalmaanon ke raaste se
takleefdeh cheez ko hata diya
karo. [Muslim: 6839]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
08/05/2016
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣2⃣2⃣--
Raaste se takleefdeh
cheez ko hataana
◽Part: 2◽
Ek hadees mein Huzoor ﷺ ne
farmaaya: "Aadmi ka raaste
se takleefdeh cheez ko hata
dena sadqa hai".
[Abu Dawood:1285]
Jo log raaste ki safaai
suthraai ka khayaal rakhte hain
aur aisi cheezon ko hata dete
hain, jis se guzarne waalon ko
takleef pahonchti ho, to Allah
Ta'ala un se bahot khush hote
hain aur unhein bahot ziyaada
sawaab ata karte hain.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
No comments:
Post a Comment