Tuesday, 25 August 2020

Muharram-05《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮
🌐Muharram-05🌐

《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》

Aashura Ke Din Logo Ne Jo Aur Aamal Ikhtiyar Kar Rakhe Hai, Unki Quraan O Sunnat Mein Koi Bunyaad Nahi, Masalan Aashura Ke Din (Khichda Pakna) Zaroori Hai, Agar Khichda Nahi Pakaya To Aashura Ki Fazilat Hasil Nahi Hogi. Is Qism Ki Koi Baat Na To Nabie Karimﷺ Na Sahaba [Rd] Ne, Na Taabien Ne Bayan Farmai, Aur Na Buzurgane Deen Ne Is Par Amal Kiya “Sadiyo” Tak Iska Kahi Wujood Nahi Milta.  

《Aashura Ke Din Ghar Walo Par Vusat Karna.》

Haan ! Ek Zaeef Hadees Hai, Jisme Nabie Karimﷺ Ka Irshad Manqool Hai, Jo Shakhs Aashura Ke Din Apne Ghar Walo Par Aur Jo Uske Ayaal Mein Se Hai, Masalan Uske Biwi Bachhe Wagerah Unko Aam Dino Ke Muqable Mein Umda Aur Achha Khana Khilaye, Aur Khane Mein Vusat Kare, To Allah Taala Uski Rozi Mein Barkat Ataa Farmaenge. Ye Hadees Agarche Sanad Ke Atebar Se Mazboot Nahi Hai Lekin Agar Koi Shakhs Is Par Amal Kare To Koi Haraj Nahi Balke Allah Taala Ki Rahmat Se Umeed Hai, Ki Is Amal Par Jo Fazilat Bayan Ki Gayi Hai Wo Insha Allah Hasil Hogi. 

╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

No comments:

Post a Comment