╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-07🌐
📚Sawaal-O-Jawaab
🌀((Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein))🌀
♦Sawaal : 9,10 Muharram Ka Roza Ka Matlb
1000 Haj
1000 Shaheedo
1000 Umra
1saal K Guna Maff Aur 2 Saal Ki Ibadat Ka Sawab
Dusro Ko Batane Par 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab!
☝Kya Ye Mo'Tabar (Sahi) Hai?
🅰Jawaab : Daswein Muharram Ke Roze Ki Fazeelat Ke Silsile Mein Kutub-E-Ahadees Dekhi To Ek Fazeelat To Ye Mili Ke Iss Din Ka Roza Rakhna, Ye Guzishta Ek Saal Ke Gunaahon Ka Kaffara Hai. [📓Saheeh Muslim]
Isi Tarah Dusri Riwaayat Mein Ye Hai Ke Rozon Ke Silsile Mein Do Qism Ke Ayyam Ko Fazeelat Hai, Ek Ramazaan Aur Dusra Youm-E-Aashura, Lekin Inn Dono Ke Alaawa Fazeelat,,, Ke Hazaar Hajj Aur Hazaar Shaheed Aur Hazaar Umre Ke Barabar Sawaab Ho Aur Dusron Ko Bataane Par 80 Saal Ki Ibaadat Ka Sawaab Ho Wagerah, Ye Kisi Bhi Riwaayat Mein Nahi Mila Aur Aisi Be-Sanad Baatein Dusron Ko Share Bhi Nahi Karni Chaahiye.
🌀((Daswein Muharram Ko Ghar Waalon Par Faraakhi-O-Wusat Ko Wajib Ka Darja Qaraar Dena Ye Bilkul Durust Nahi))
♦Sawaal : Hazrat Please Iski Wazaahat Kare... Ahl-O-Ayaal Ayal Pe Khane Peene Mein Wusat Karna Ya Dastarkhwan Wasee Karne Ke Baare Mein. Iska Matlab Kya Hai... Kuch Log Yeh Sochte Hain Ashura Iske Bagair Nahi, Alag Tarah Tarah Ke Pakwan Banaye Jaaye Aur Meetha Banna Zaroori Hai..Iski Kya Haqeeqat hai??.
🅰Jawaab : Ghar Mein Khaane Peene Aur Rishte Daaron Ko Aur Ghareebon Ko Khilaane Ki Hadd Tak Achche Pakwaan Banaane Mein Harj Nahi Hai, Aur Isi Tarah Khaane Peene Ke Alawaa Dusri Zaruriyat Ke Liye Bhi Kharch Kar Sakte Hain. Lekin Jo Khana Marhumeen Ko Isaal-E-Sawab Ki Niyyat Se Pakaya Jaata Hai, Ya Hazrat Husain Razi Allahu Anhu Ki Rooh Ke Isaal-E-Sawab Ke Liye Pakaya Jaata Hai, Usmai Bohat Si Qaba'Hatein Hain Jinka Mufassal Tazkira Abhi Batana mushkil hai Aap kisi Sahi Aalim se Rabta kare aur, Inn Qabahaton Ki Wajah Se Wo Khana Jaiz Nahi Hai, Albatta Ye Apne Ghar Walo Par Wus'At Wa Farakhi Wali Baat, Ye Sirf Ek Istehbaabi Hukm Hai (Yaani Mustahab Hai), Lehaza Ise Wajib Ka Darja Qarar Dena Ya Uske Baghair Daswein Muharram Ka Tassawwur Hee Na Hona, Ye Sab Ghalat Batein Hain.
🌀((Dua-E-Ashoora Aur Uski Fazeelat Kisi Hadees Se Sabit Nahi Hai))🌀
♦Sawaal : Duaa-E-Aashura Padhna Kaisa Hai. Iski Fazeelat Likhi Hui Hoti Hai Ke Ek Saal Zindagi Ka Beema Hota Hai, Matlab Ek Saal Tak Zinda Rahenge Aur Jis Saal Maut Aani Hogi Us Saal Ittefakan Is Dua Ko Nahi Padh Payenge.
🅰Jawaab : Dua-E-Aashura Mein Jitne Alfaaz Likhe Hue Hain Wo Bagor Me Ne Padhe, In Mein Koi Shirkiya Alfaaz Nahi Hain, Lekin Jahaan Tak Iski Iss Fazeelat Ka Ta'Alluq Hai Ke Saal Bhar Tak Mot Nahi Aayegi, Ye Fazeelat Kisi Bhi Hadees Se Saabit Nahi Hai, Aur Fazeelat Ke Baare Mein Itna Jaan Lijiye Ke Jo Baat Ahadees Se Saabit Hogi, Fazeelat Usi Ko Kahenge Aur Jo Baat Hadees Se Saabit Na Ho Balke Kisi Buzurg Ka Apna Tajurba Ho, Use Fazeelat Nahi Keh Sakte, Balke Wo Tajurbaat-E-Sauliheen Mein Shumaar Hain. Ab Iss Dua Mein Imam Zain-Ul-Aabideen Ka Naam Likha Hai Lekin Kisi Kitaab Ka Hawaala Bhi Nahi Hai,
Iss Dua Ka Youm-E-Aashura Se Hadees Ki Roshni Mein Koi Ta'Alluq Nahi Hai Aur Mumkin Hai Ke Kisi Buzurg Ke Mujarribaat Mein Hon. Wallahu Aalam.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
No comments:
Post a Comment