Sunday, 23 August 2020

Muharram-01《Aashura Ka Roza》

╭┅• ͜✯͜͡ ۝͜͡ ͜͡  「﷽」  ۝͜͡  ✯͜ •┅​╮
🌐Muharram-01🌐

《Aashura Ka Roza》

Khas Taur Par Muharram Ki 10vi Tarikh, Jisko Aam Taur Par Yavme Aashura Kaha Jata Hai, Jiske Maana Hai Dasva Din Ye Allah Taala Ki Khususi Rahmat Va Barkat Ka Din Hai. Jab Tak Ramzan Ke Roze Farz Nahi Hue The, Us Waqt Tak Aashura Ka Roza Rakhna Musalmano Par Farz Qarar Diya Gaya Tha, Baad Mein Jab Ramzan Ke Roze Farz Ho Gaye, To Aashura Ke Roze Ka Farz Hona Khatam Hogaya.

Lekin Nabie Karim ﷺ  Ne Aashura Ke Din Roza Rakhne Ko Sunnat Aur Mustahab Qarar Diya Hai. Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Ye Irshad Farmaya Ke Mujhe Allah Taala Ki Rahmat Se Ummid Hai Ki Jo Shakhs Aashura Ka Roza Rakhega, To Uske Pichhle Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega. 

╰┅┈•✿ ͜✯🌹  ͜͡ ۝͜͡  🌹✯͜ ✿•┄┅​╯​​​

No comments:

Post a Comment