Wednesday, 16 November 2016

AAJ KA SAWAL NO 843

QABZAH KIN CHEEZON ME ZARURI HAI ? AUR
QABZAH AUR PAISE  KI ADAAYGI SE PEHLE FLAT BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 843⭕

*A*

Qabzah kise kehte hain aur kin cheezon me zaruri hai aur kin cheezon me zaruri nahin?

*B*

Kisi ne flet ya makaan 20 lakh ka kharida sauda (deal) ho gaya lekin abhi qabzah mila nahin hai paise bhi adaa nahin kiye hain aur koi graahak (kharidar) ke paas 21 lakh ka aa gaya to yeh bechna aur uska nafa jaiz hai?

��AAJ KA JAWAB��

*A*

Qabzah haqeeqat me kehte hai bechnewale ki milkiyat (proprietary) me se ya'ani us ke paas se maal utha kar ya hatakar apni milkiyat me le lena aur qabze ke liye takhliya ya'ani ikhtiyar de dena bhi kaafi hai ya'ani bechne wala kharidne wale ko cheez is taur par de de ke woh jab chahe aakar utha sakta hai us ko woh maal wahaan se uthane me koi rukawat na ho.

Masalan biki (sold) huyi cheez us ke samne rakh dee. Ya gaadi ya box ki chabi de dee.

Jo cheez apni jagah se uth sakti hai is me qabzah zaruri hai us ko qabze se pehle bechna jaiz nahin hai
Aur cheez apni jagah se hat nahin sakti masalan makaan, zameen usme qabzah zaruri nahin qabze se pehle bechna jaiz hai.

��NOTE
YE MASLAH HANFIYAH KE NAZDEEK HAI.

��JADEED MASAIL KE SHAREE AHKAM 2/99 SE MAKHOOZ

*B*

Han is tariqah se aage bechna aur uska nafa bhi jaiz hai ye soda udhar samjha jayega.

��BAHISHTI ZEWAR 5/368
AUR KANZUD DAQAIQ SAFA 24 SE MAKHOOZ

�� *SURAT JILLE KA IJTIMAA*��

*18,19,20 JUM'AH KI ASAR SE ITWAR KI ZAWAL TAK*
HOGA TAMAAM HAZRAAT SE IS KI DAWAT CHALANE AUR PAHONCHNE KI GUZRARISH

http://www.aajkasawal.page.tl
http://www.islamimessagesddim.blogspot

No comments:

Post a Comment