Sunday, 11 June 2017

AETIKAF KAHAN ZAROOREE

*(Daily Deeni Islamic Messages:)*

*AETIKAF KAHAN ZAROOREE?*

🔴AAJ KA SAWAL NO.1039🔴

aitikaf ka kiya hukm hai?

Kiya aitikaf zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate Muakaddah alal kifaya he,

⇨ agar basti-mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar-laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega,

★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama’at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye, agar jumaa na hota ho to bhi bethna chahiye aese muatakif ko Juma parhne jana jaiz hai aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama’at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he,

★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid  me aitkaaf me bethne ka sawab milega,

📘Aapke Masail aur Un ka Hal,3/320

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📲 *Click kare is link ko aur joine kare (DDIM) Telegram Channel 👇*

📡 https://telegram.me/rddim

Deeniyat Images

https://t.co/Z3dbGk1skx

Twitter

WOH UZR JIS KI WAJAH SE ROZAH TOD DENA JAIZ

*Daily Deeni Islamic Messages:*

*WOH UZR JIS KI WAJAH SE ROZAH TOD DENA JAIZ*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1038⭕

Woh kon kon se uzr-majburi hai ke jiski wajah se rozah tod dena jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1.Achanak aisa bimar ho jaaye ke agar rozah na todega to jaan khatre me ho jayegi ya bimari badh jayegi

2.Khana pakane ki wajah se be had piyas lagi aur itni betabi ho gayi ke ab jaan ka khauf hai.

3.Hamilah aurat ko koi aisi baat paish aayi ke jisse apni jaan ya bachche ki jaan ka dar hai

to in tamaam suraton me rozah tod dalna behtar hai.
Lekin jaan-bujh kar kisi ne aisa kaam kiya jisse rozah todne jaisi haalat ho jaye to woh khud gunehgar hoga.

📘MASAILE ROZA SAFA 177 BAHAWALA

📕BAHISHTI ZEWAR 3/17

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

वह उज़्र  जिस  की वजह  से रोज़ा  तोड़  देना  जाइज़

*Daily Deeni Islamic Messages:*

*वह उज़्र  जिस  की वजह  से रोज़ा  तोड़  देना  जाइज़*

🔴आज  का  सवाल  नम्बर.१०३८🔴

वह  कोण  कोण  से उज़्र-मजबूरी  है के  जिस  की वजह  से  रोज़ा  तोड़  देना जाइज़ है?

🔵जवाब🔵

१. अचानक ऐसा  बीमार  हो  जाये के  अगर रोज़ा  न  तोड़ेगा  तो  तो जान  खतरे  में  हो  जाएगी  या  बीमारी बढ़  जाएगी

२. खाना  पकने  की वजह  से  बे  हद प्यास लगी  और  इतनी  बेताब हो  गई के  अब  जान  का  खौफ  है.

३. हामिला  औरत को कोई ऐसी बात पेश  आयी के जिस  से  अपनी जान  या बच्चे  की जान  का  दर है

तो  इन  तमाम  सूरतों  में  रोज़ा  तोर  डालना  बेहतर है. लेकिन  जानबूझकर  किसी  ने  ऐसा  काम  किया जिस से  रोज़ा  तोड़ने  जैसी  हालत हो  जाये  तो  तो  खुद  गुनेहगार  होगा.

📘मसाइल  रोज़ा  साफा  १७७  बहवला

📕बहिश्ती ज़ेवर ३/१७

واللہ اعلم

✏मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन हनफ़ी गुफिर लहू

🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा सूरत गुजरात इंडिया

Saturday, 10 June 2017

Hadith of the Day

*Daily Deeni Islamic Messages:*

🌷▫ *Hadith of the Day* ▫🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hadith: 'Ubadah ibne-Samit Radiyallahu 'anhu narrates: I heard Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam saying: Five times Salat has been made mandatory by Allah 'Azza wa Jall. He who performs his Wudu well, and offers Salat at their appointed time, performing complete Ruku', and with fear and devotion, for such there is a covenant from Allah, that He will forgive him; and the one who does not do so, no covenant for him is with Allah. If He wills, He may forgive him and if He wills, He may punish him. (Abu Dawud: 425)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
📲 Rozana Deeni Msg ke leya joine kare (DDIM) telegram chann neche ke link se https://telegram.me/rddim

Aaj ki Hadees

Daily Deeni Islamic Messages:

🌷  ▫ Aaj Ki Hadees ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 إِيَّاكُمْ وَالْكِذْبَ

                                          ✺ Iyyaakum walkiz

✺ Tarjama: Jhoot se bacho.

✺ (Abu Dawud: 4989)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰