Saturday, 29 August 2020
Thursday, 27 August 2020
Muharram-08《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-08🌐
《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo》
⚀•➻┐
Shia Hazraat Is Mahine Jo Kuch Karte Hai Wo Apne Maslak Ke Mutabiq Karte Hai; Lekin Bahut Se Ahle Sunnat Hazraat Bhi Aisi Majliso Mein, Tazyo Mein, Aur In Kamo Mein Sharik Ho Jate Hai, Jo Bidat Aur Munkar (Yaani Burai) Ki Tarif Mein Aa Jaate Hai.
⚀•➻┐
Quraan Ne To Saaf Hukam De Diya, Ke In Mahino Mein Apni Jano Par Zulm Mat Karo Balke In Awqat Ko Allah Taala Ki Ibadat, Zikr O Tilawat Mein, Roza Rakhne Mein, Aur Allah Ki Taraf Ruju Karne Mein Aur Us Se Duae Karne Mein Sarf (Yani Kharch) Karo, Aur In Fuzuliyat Se Apne Aapko (Aur Apne Ghar Walo Ko) Bachao.
⚀•➻┐
Allah Apne Fazl Aur Karam Se Is Mahine Ki Hurmat, Aur Aashura Ki Hurmat Aur Azmat Se Faaida Uthane Ki Taufiq Ataa Farmaye. Aameen.
✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖
╟❥ Alhamdulillah…
Ye Post
Muqammal Hua….,
✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Tuesday, 25 August 2020
Muharram-07 ( Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein )
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-07🌐
📚Sawaal-O-Jawaab
🌀((Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein))🌀
♦Sawaal : 9,10 Muharram Ka Roza Ka Matlb
1000 Haj
1000 Shaheedo
1000 Umra
1saal K Guna Maff Aur 2 Saal Ki Ibadat Ka Sawab
Dusro Ko Batane Par 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab!
☝Kya Ye Mo'Tabar (Sahi) Hai?
🅰Jawaab : Daswein Muharram Ke Roze Ki Fazeelat Ke Silsile Mein Kutub-E-Ahadees Dekhi To Ek Fazeelat To Ye Mili Ke Iss Din Ka Roza Rakhna, Ye Guzishta Ek Saal Ke Gunaahon Ka Kaffara Hai. [📓Saheeh Muslim]
Isi Tarah Dusri Riwaayat Mein Ye Hai Ke Rozon Ke Silsile Mein Do Qism Ke Ayyam Ko Fazeelat Hai, Ek Ramazaan Aur Dusra Youm-E-Aashura, Lekin Inn Dono Ke Alaawa Fazeelat,,, Ke Hazaar Hajj Aur Hazaar Shaheed Aur Hazaar Umre Ke Barabar Sawaab Ho Aur Dusron Ko Bataane Par 80 Saal Ki Ibaadat Ka Sawaab Ho Wagerah, Ye Kisi Bhi Riwaayat Mein Nahi Mila Aur Aisi Be-Sanad Baatein Dusron Ko Share Bhi Nahi Karni Chaahiye.
🌀((Daswein Muharram Ko Ghar Waalon Par Faraakhi-O-Wusat Ko Wajib Ka Darja Qaraar Dena Ye Bilkul Durust Nahi))
♦Sawaal : Hazrat Please Iski Wazaahat Kare... Ahl-O-Ayaal Ayal Pe Khane Peene Mein Wusat Karna Ya Dastarkhwan Wasee Karne Ke Baare Mein. Iska Matlab Kya Hai... Kuch Log Yeh Sochte Hain Ashura Iske Bagair Nahi, Alag Tarah Tarah Ke Pakwan Banaye Jaaye Aur Meetha Banna Zaroori Hai..Iski Kya Haqeeqat hai??.
🅰Jawaab : Ghar Mein Khaane Peene Aur Rishte Daaron Ko Aur Ghareebon Ko Khilaane Ki Hadd Tak Achche Pakwaan Banaane Mein Harj Nahi Hai, Aur Isi Tarah Khaane Peene Ke Alawaa Dusri Zaruriyat Ke Liye Bhi Kharch Kar Sakte Hain. Lekin Jo Khana Marhumeen Ko Isaal-E-Sawab Ki Niyyat Se Pakaya Jaata Hai, Ya Hazrat Husain Razi Allahu Anhu Ki Rooh Ke Isaal-E-Sawab Ke Liye Pakaya Jaata Hai, Usmai Bohat Si Qaba'Hatein Hain Jinka Mufassal Tazkira Abhi Batana mushkil hai Aap kisi Sahi Aalim se Rabta kare aur, Inn Qabahaton Ki Wajah Se Wo Khana Jaiz Nahi Hai, Albatta Ye Apne Ghar Walo Par Wus'At Wa Farakhi Wali Baat, Ye Sirf Ek Istehbaabi Hukm Hai (Yaani Mustahab Hai), Lehaza Ise Wajib Ka Darja Qarar Dena Ya Uske Baghair Daswein Muharram Ka Tassawwur Hee Na Hona, Ye Sab Ghalat Batein Hain.
🌀((Dua-E-Ashoora Aur Uski Fazeelat Kisi Hadees Se Sabit Nahi Hai))🌀
♦Sawaal : Duaa-E-Aashura Padhna Kaisa Hai. Iski Fazeelat Likhi Hui Hoti Hai Ke Ek Saal Zindagi Ka Beema Hota Hai, Matlab Ek Saal Tak Zinda Rahenge Aur Jis Saal Maut Aani Hogi Us Saal Ittefakan Is Dua Ko Nahi Padh Payenge.
🅰Jawaab : Dua-E-Aashura Mein Jitne Alfaaz Likhe Hue Hain Wo Bagor Me Ne Padhe, In Mein Koi Shirkiya Alfaaz Nahi Hain, Lekin Jahaan Tak Iski Iss Fazeelat Ka Ta'Alluq Hai Ke Saal Bhar Tak Mot Nahi Aayegi, Ye Fazeelat Kisi Bhi Hadees Se Saabit Nahi Hai, Aur Fazeelat Ke Baare Mein Itna Jaan Lijiye Ke Jo Baat Ahadees Se Saabit Hogi, Fazeelat Usi Ko Kahenge Aur Jo Baat Hadees Se Saabit Na Ho Balke Kisi Buzurg Ka Apna Tajurba Ho, Use Fazeelat Nahi Keh Sakte, Balke Wo Tajurbaat-E-Sauliheen Mein Shumaar Hain. Ab Iss Dua Mein Imam Zain-Ul-Aabideen Ka Naam Likha Hai Lekin Kisi Kitaab Ka Hawaala Bhi Nahi Hai,
Iss Dua Ka Youm-E-Aashura Se Hadees Ki Roshni Mein Koi Ta'Alluq Nahi Hai Aur Mumkin Hai Ke Kisi Buzurg Ke Mujarribaat Mein Hon. Wallahu Aalam.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-06《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-06🌐
《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》
Quraan Ne Jaha Hurmat Wale Mahino Ka Zikr Farmaya Hai, Us Jaga Ek Ajib Jumla Irshad Farmaya.
(Suarh Taubah/36)
Yani Tum In Hurmat Wale Mahino Mein Apni Jaano Par Zulm Na Karo Zulm Na Karne Se Murad Ye Hai Ki In Mahino Mein Gunaho Se Bacho, Bidat, Aur Bure Kamo Se Bacho, Chuke Allah Taala To Gaib Ke Janne Wale Hai, Jaante The, Ke In Hurmat Wale Mahino Mein Log Apni Jaano Par Zulm Karenge, Aur Apni Taraf Se Ibadat Ke Tariqe Ghad (Invent) Kar Ke Un Par Amal Karna Shuru Kar Denge Is Liye Farmaya: Ki Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-05《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-05🌐
《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》
Aashura Ke Din Logo Ne Jo Aur Aamal Ikhtiyar Kar Rakhe Hai, Unki Quraan O Sunnat Mein Koi Bunyaad Nahi, Masalan Aashura Ke Din (Khichda Pakna) Zaroori Hai, Agar Khichda Nahi Pakaya To Aashura Ki Fazilat Hasil Nahi Hogi. Is Qism Ki Koi Baat Na To Nabie Karimﷺ Na Sahaba [Rd] Ne, Na Taabien Ne Bayan Farmai, Aur Na Buzurgane Deen Ne Is Par Amal Kiya “Sadiyo” Tak Iska Kahi Wujood Nahi Milta.
《Aashura Ke Din Ghar Walo Par Vusat Karna.》
Haan ! Ek Zaeef Hadees Hai, Jisme Nabie Karimﷺ Ka Irshad Manqool Hai, Jo Shakhs Aashura Ke Din Apne Ghar Walo Par Aur Jo Uske Ayaal Mein Se Hai, Masalan Uske Biwi Bachhe Wagerah Unko Aam Dino Ke Muqable Mein Umda Aur Achha Khana Khilaye, Aur Khane Mein Vusat Kare, To Allah Taala Uski Rozi Mein Barkat Ataa Farmaenge. Ye Hadees Agarche Sanad Ke Atebar Se Mazboot Nahi Hai Lekin Agar Koi Shakhs Is Par Amal Kare To Koi Haraj Nahi Balke Allah Taala Ki Rahmat Se Umeed Hai, Ki Is Amal Par Jo Fazilat Bayan Ki Gayi Hai Wo Insha Allah Hasil Hogi.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-04《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-04🌐
《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》
Jab Nabie Karimﷺ Ne Ibadat, Aur Neki Ke Kaam Mein Mushabahat Pasand Nahi Farmai, To Doosre Kaamo Mein Agar Musalman Unki Mushabahat Ikhtiyar Kare, To Ye Kitni Buri Baat Hogi! Agar Ye Mushabahat Jan Bujh Kar Is Maqsad Se Ki Jaye, Taake Mein Un Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai.
Nabie Karimﷺ Ne Irshad Farmaya: Jo Shakhs Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtiyar Kare, Wo Usi Qaum Mein Dakhil Hai.
📓Abu Dawood.
Masalan Agar Koi Shakhs Angrezo Ka Tariqa Is Liye Ikhtiyar Kare, Taake Mein Dekhne Mein Angrezo Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai. Lekin Agar Dil Mein Ye Niyat Nahi Hai, Ke Mein Unke Jaisa Nazar Aau, Balke Vaise Hee Mushabahat Ikhtiyar Karli, To Ye Makrooh Zaroor Hai.
Note➻ Isliye Muharram Ka 2 Roza Har Mard Aur Har Ladies Rakhne Ka Ahtemam Kare
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-03《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-03🌐
《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》
Aap ﷺ Ke Is Irshad Mein Hame Ek Aur Sabaq Milta Hai Wo Ye Ke Gairo Ke Saath Thodi Si Bhi Mushabahat Aap ﷺ Ne Pasand Nahi Farmaya, Halake Wo Mushabahat Kisi Bure Aur Na Jayaz Kaam Mein Nahi Thi; Balke Ek Ibadat Mein Mushabahat Thi, Ke Is Din Wo Jo Ibadat Kar Rahe Hai, Ham Bhi Is Din Wahi Ibadat Kar Rahe Hai;
Lekin Aap ﷺ Ne Isko Bhi Pasand Nahi Farmaya. Q ? Is Liye Ke Allah Taala Ne Musalmano Ko Jo Deen Diya Hai Wo Doosre Deeno Se Alag Hai, Aur Unsab Par Fazilat Rakhta Hai;
Lihaza Ek Musalman Ka Zahir Aur Batin Bhi Gairo Se Alag Hona Chahiye;
Chunanche Hadees Mein Jagah Jagah Ye Irshad Milega Jisme Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Ke Ghairo Se Alag Tariqa Ikhtiyar Karo Masalan Irshad Farmaya: Mushrikin Jo Allah Taala Ke Saath Doosro Ko Shareek Therate Hai, Unse Apna Zahir Va Batin Alag Rakho.
📓 Bukhari
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Subscribe to:
Posts (Atom)