INJECTION, PIPE SE PESHAB.. SE WUZU TOOTNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.671⭕
INJECTION SE BLOOD SUGAR TEST KARNE SE, MAIDE ME PIPE PAHONCHANE SE, PIPE SE PESHAB KARNE SE WUZU BAAQI RAHEGA YA NAHIN ?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
1. INJECTION SE WUZU TUTNE KA MAS'ALA:
Sugar naapne ke liye jo khun nikala jaata hai us se wuzu nahi tut'ta, is liye ke voh bahot kam mikdaar me hotaa hai, agar injection ke zariye itnaa khun nikala ke khun beh padne ki miqdaar tak pahonch jaaye to wuzu tut jaayega.
(FATAWA MAHMUDIYA JADID 5/69)
baahar se gizaa ya dawaai lene ki surat me kisi chiz ka ander jaana wuzu todne wala nahi hai. injection par jism ka thoda khun lagaa rehta hai us miqdaar me khun baahar aana bhi wuzu todne wala nahi hai.
(JADID FIQAHI MASAIL 62)
2. ME'ADE TAK PIPE PAHOCHAANA:
Medical test ke liye agar pipe munh ke raste se me'ade tak pahonch jaaye, aur pipe najaasat ke hisse tak pahonch jaaye, aur najaasat ka asar lekar vaapas loute, to wuzu tut jaayega. agar pipe par najaasat naa lagi ho ya test ke liye gosht ka tukdaa nikalaa to us par najaasat ka asar naa ho to wuzu nahi tutega, kyun ke gosht ke tukde ka jism se alag honaa wuzu todne vala nahi.
(KITABUL FATAWA 2/41)
3. PIPE SE PESHAB KARNAA: Kisi shakhs ka operation kiyaa jaaye, aur peshab ke baahar nikaalne ke liye khaas tarah ki pipe lagaadi jaaye, jis se peshab aataa rahe, to us pipe se bhi peshab aane se wuzu tut jaayega, kyun ke najaasat mutayyann jagah se nikle ya kisi aur jagah se, voh har haal me wuzu todne vala hai. albatta agar lagaatar peshab ataa rahe, aur rokne ki quvvat khatam ho jaaye, to voh maazur ke hukam me hogaa, voh har namaz ke baad ek baar wuzu karne ke baad jab tak us ke alaava koi aur wuzu todne vaali dusree koi chiz pesh naa aa jaaye ya namaz ka vaqt na guzar jaaye vahi wuzu us ke liye kaafi hoga.
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
Join DDIM Group
+919658951292
Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
http://www.aajkasawal.page.tl
Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit Sarch Kare..
https://islamimessagesddim.blogspot.com
No comments:
Post a Comment