✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣2⃣4⃣--
Safaai Suthraai ka
ehtemaam karna
◽Part: 1◽
Har insaan fitri taur par safaai
suthraai ko pasand karta hai
aur hamesha saaf suthra rehne
ki koshish karta hai, Deen-e-
Islaam ne deegar akhkaam ke
saath safaai ko bhi khaas
ahmiyat di hai, Huzoor ﷺ ne
irshaad farmaaya: Paaki aadha
Imaan hai. [Muslim: 556]
Safaai suthraai Allah ko bahot
pasand hai aur Allah Ta'ala saaf
suthra rehne waalon ko pasand
karte hain aur log bhi un ko
achchhi nigaah se dekhte hain.
Huzoor ﷺ ne apne gharon, apne
kapdon aur apne badan ko saaf
suthra rakhne ki hidaayat di hai.
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
✨✨✨✨ ﷽ ✨✨✨✨
AAJ KE AADAB
--1⃣2⃣5⃣--
Safaai Suthraai ka
ehtemaam karna
◽Part: 2◽
Aap ﷺ ka irshaad hai: "Allah
Ta'ala paak hain, paaki ko
pasand karte hain, woh saaf
suthre hain aur safaai suthraai
ko pasand karte hain, woh karam
karne waale hain aur karam ko
pasand karte hain, woh nihaayat
hi sakhi hain aur sakhaawat
ko pasand karte hain, tum apne
sehnon ko saaf suthra rakho
aur yahoodiyon ki mushaabahat
ikhtiyaar na karo."
[Tirmizi: 2799]
Ref: Deeniyat Cousre book
[Idara-E-Deeniyat]
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
No comments:
Post a Comment