Saturday, 29 August 2020
Thursday, 27 August 2020
Muharram-08《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-08🌐
《Doosro Ki Majalis Mein Shirkat Mat Karo》
⚀•➻┐
Shia Hazraat Is Mahine Jo Kuch Karte Hai Wo Apne Maslak Ke Mutabiq Karte Hai; Lekin Bahut Se Ahle Sunnat Hazraat Bhi Aisi Majliso Mein, Tazyo Mein, Aur In Kamo Mein Sharik Ho Jate Hai, Jo Bidat Aur Munkar (Yaani Burai) Ki Tarif Mein Aa Jaate Hai.
⚀•➻┐
Quraan Ne To Saaf Hukam De Diya, Ke In Mahino Mein Apni Jano Par Zulm Mat Karo Balke In Awqat Ko Allah Taala Ki Ibadat, Zikr O Tilawat Mein, Roza Rakhne Mein, Aur Allah Ki Taraf Ruju Karne Mein Aur Us Se Duae Karne Mein Sarf (Yani Kharch) Karo, Aur In Fuzuliyat Se Apne Aapko (Aur Apne Ghar Walo Ko) Bachao.
⚀•➻┐
Allah Apne Fazl Aur Karam Se Is Mahine Ki Hurmat, Aur Aashura Ki Hurmat Aur Azmat Se Faaida Uthane Ki Taufiq Ataa Farmaye. Aameen.
✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖
╟❥ Alhamdulillah…
Ye Post
Muqammal Hua….,
✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖✧❖
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Tuesday, 25 August 2020
Muharram-07 ( Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein )
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-07🌐
📚Sawaal-O-Jawaab
🌀((Aashoora Ke Rozon Ki Fazeelat Ahadees Ki Raushni Mein))🌀
♦Sawaal : 9,10 Muharram Ka Roza Ka Matlb
1000 Haj
1000 Shaheedo
1000 Umra
1saal K Guna Maff Aur 2 Saal Ki Ibadat Ka Sawab
Dusro Ko Batane Par 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab!
☝Kya Ye Mo'Tabar (Sahi) Hai?
🅰Jawaab : Daswein Muharram Ke Roze Ki Fazeelat Ke Silsile Mein Kutub-E-Ahadees Dekhi To Ek Fazeelat To Ye Mili Ke Iss Din Ka Roza Rakhna, Ye Guzishta Ek Saal Ke Gunaahon Ka Kaffara Hai. [📓Saheeh Muslim]
Isi Tarah Dusri Riwaayat Mein Ye Hai Ke Rozon Ke Silsile Mein Do Qism Ke Ayyam Ko Fazeelat Hai, Ek Ramazaan Aur Dusra Youm-E-Aashura, Lekin Inn Dono Ke Alaawa Fazeelat,,, Ke Hazaar Hajj Aur Hazaar Shaheed Aur Hazaar Umre Ke Barabar Sawaab Ho Aur Dusron Ko Bataane Par 80 Saal Ki Ibaadat Ka Sawaab Ho Wagerah, Ye Kisi Bhi Riwaayat Mein Nahi Mila Aur Aisi Be-Sanad Baatein Dusron Ko Share Bhi Nahi Karni Chaahiye.
🌀((Daswein Muharram Ko Ghar Waalon Par Faraakhi-O-Wusat Ko Wajib Ka Darja Qaraar Dena Ye Bilkul Durust Nahi))
♦Sawaal : Hazrat Please Iski Wazaahat Kare... Ahl-O-Ayaal Ayal Pe Khane Peene Mein Wusat Karna Ya Dastarkhwan Wasee Karne Ke Baare Mein. Iska Matlab Kya Hai... Kuch Log Yeh Sochte Hain Ashura Iske Bagair Nahi, Alag Tarah Tarah Ke Pakwan Banaye Jaaye Aur Meetha Banna Zaroori Hai..Iski Kya Haqeeqat hai??.
🅰Jawaab : Ghar Mein Khaane Peene Aur Rishte Daaron Ko Aur Ghareebon Ko Khilaane Ki Hadd Tak Achche Pakwaan Banaane Mein Harj Nahi Hai, Aur Isi Tarah Khaane Peene Ke Alawaa Dusri Zaruriyat Ke Liye Bhi Kharch Kar Sakte Hain. Lekin Jo Khana Marhumeen Ko Isaal-E-Sawab Ki Niyyat Se Pakaya Jaata Hai, Ya Hazrat Husain Razi Allahu Anhu Ki Rooh Ke Isaal-E-Sawab Ke Liye Pakaya Jaata Hai, Usmai Bohat Si Qaba'Hatein Hain Jinka Mufassal Tazkira Abhi Batana mushkil hai Aap kisi Sahi Aalim se Rabta kare aur, Inn Qabahaton Ki Wajah Se Wo Khana Jaiz Nahi Hai, Albatta Ye Apne Ghar Walo Par Wus'At Wa Farakhi Wali Baat, Ye Sirf Ek Istehbaabi Hukm Hai (Yaani Mustahab Hai), Lehaza Ise Wajib Ka Darja Qarar Dena Ya Uske Baghair Daswein Muharram Ka Tassawwur Hee Na Hona, Ye Sab Ghalat Batein Hain.
🌀((Dua-E-Ashoora Aur Uski Fazeelat Kisi Hadees Se Sabit Nahi Hai))🌀
♦Sawaal : Duaa-E-Aashura Padhna Kaisa Hai. Iski Fazeelat Likhi Hui Hoti Hai Ke Ek Saal Zindagi Ka Beema Hota Hai, Matlab Ek Saal Tak Zinda Rahenge Aur Jis Saal Maut Aani Hogi Us Saal Ittefakan Is Dua Ko Nahi Padh Payenge.
🅰Jawaab : Dua-E-Aashura Mein Jitne Alfaaz Likhe Hue Hain Wo Bagor Me Ne Padhe, In Mein Koi Shirkiya Alfaaz Nahi Hain, Lekin Jahaan Tak Iski Iss Fazeelat Ka Ta'Alluq Hai Ke Saal Bhar Tak Mot Nahi Aayegi, Ye Fazeelat Kisi Bhi Hadees Se Saabit Nahi Hai, Aur Fazeelat Ke Baare Mein Itna Jaan Lijiye Ke Jo Baat Ahadees Se Saabit Hogi, Fazeelat Usi Ko Kahenge Aur Jo Baat Hadees Se Saabit Na Ho Balke Kisi Buzurg Ka Apna Tajurba Ho, Use Fazeelat Nahi Keh Sakte, Balke Wo Tajurbaat-E-Sauliheen Mein Shumaar Hain. Ab Iss Dua Mein Imam Zain-Ul-Aabideen Ka Naam Likha Hai Lekin Kisi Kitaab Ka Hawaala Bhi Nahi Hai,
Iss Dua Ka Youm-E-Aashura Se Hadees Ki Roshni Mein Koi Ta'Alluq Nahi Hai Aur Mumkin Hai Ke Kisi Buzurg Ke Mujarribaat Mein Hon. Wallahu Aalam.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-06《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-06🌐
《Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.》
Quraan Ne Jaha Hurmat Wale Mahino Ka Zikr Farmaya Hai, Us Jaga Ek Ajib Jumla Irshad Farmaya.
(Suarh Taubah/36)
Yani Tum In Hurmat Wale Mahino Mein Apni Jaano Par Zulm Na Karo Zulm Na Karne Se Murad Ye Hai Ki In Mahino Mein Gunaho Se Bacho, Bidat, Aur Bure Kamo Se Bacho, Chuke Allah Taala To Gaib Ke Janne Wale Hai, Jaante The, Ke In Hurmat Wale Mahino Mein Log Apni Jaano Par Zulm Karenge, Aur Apni Taraf Se Ibadat Ke Tariqe Ghad (Invent) Kar Ke Un Par Amal Karna Shuru Kar Denge Is Liye Farmaya: Ki Apni Jaano Par Zulm Mat Karo.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-05《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-05🌐
《Aashura Ke Din Doosre Aamal Saabit Nahi.》
Aashura Ke Din Logo Ne Jo Aur Aamal Ikhtiyar Kar Rakhe Hai, Unki Quraan O Sunnat Mein Koi Bunyaad Nahi, Masalan Aashura Ke Din (Khichda Pakna) Zaroori Hai, Agar Khichda Nahi Pakaya To Aashura Ki Fazilat Hasil Nahi Hogi. Is Qism Ki Koi Baat Na To Nabie Karimﷺ Na Sahaba [Rd] Ne, Na Taabien Ne Bayan Farmai, Aur Na Buzurgane Deen Ne Is Par Amal Kiya “Sadiyo” Tak Iska Kahi Wujood Nahi Milta.
《Aashura Ke Din Ghar Walo Par Vusat Karna.》
Haan ! Ek Zaeef Hadees Hai, Jisme Nabie Karimﷺ Ka Irshad Manqool Hai, Jo Shakhs Aashura Ke Din Apne Ghar Walo Par Aur Jo Uske Ayaal Mein Se Hai, Masalan Uske Biwi Bachhe Wagerah Unko Aam Dino Ke Muqable Mein Umda Aur Achha Khana Khilaye, Aur Khane Mein Vusat Kare, To Allah Taala Uski Rozi Mein Barkat Ataa Farmaenge. Ye Hadees Agarche Sanad Ke Atebar Se Mazboot Nahi Hai Lekin Agar Koi Shakhs Is Par Amal Kare To Koi Haraj Nahi Balke Allah Taala Ki Rahmat Se Umeed Hai, Ki Is Amal Par Jo Fazilat Bayan Ki Gayi Hai Wo Insha Allah Hasil Hogi.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-04《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-04🌐
《Mushabahat Ikhtiyar Karne Wala Unhi Mein Se Hai.》
Jab Nabie Karimﷺ Ne Ibadat, Aur Neki Ke Kaam Mein Mushabahat Pasand Nahi Farmai, To Doosre Kaamo Mein Agar Musalman Unki Mushabahat Ikhtiyar Kare, To Ye Kitni Buri Baat Hogi! Agar Ye Mushabahat Jan Bujh Kar Is Maqsad Se Ki Jaye, Taake Mein Un Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai.
Nabie Karimﷺ Ne Irshad Farmaya: Jo Shakhs Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtiyar Kare, Wo Usi Qaum Mein Dakhil Hai.
📓Abu Dawood.
Masalan Agar Koi Shakhs Angrezo Ka Tariqa Is Liye Ikhtiyar Kare, Taake Mein Dekhne Mein Angrezo Jaisa Nazar Aau, To Ye Gunahe Kabeera Hai. Lekin Agar Dil Mein Ye Niyat Nahi Hai, Ke Mein Unke Jaisa Nazar Aau, Balke Vaise Hee Mushabahat Ikhtiyar Karli, To Ye Makrooh Zaroor Hai.
Note➻ Isliye Muharram Ka 2 Roza Har Mard Aur Har Ladies Rakhne Ka Ahtemam Kare
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Muharram-03《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-03🌐
《Ibadat Mein Bhi Mushabahat (Comparison) Na Kare》
Aap ﷺ Ke Is Irshad Mein Hame Ek Aur Sabaq Milta Hai Wo Ye Ke Gairo Ke Saath Thodi Si Bhi Mushabahat Aap ﷺ Ne Pasand Nahi Farmaya, Halake Wo Mushabahat Kisi Bure Aur Na Jayaz Kaam Mein Nahi Thi; Balke Ek Ibadat Mein Mushabahat Thi, Ke Is Din Wo Jo Ibadat Kar Rahe Hai, Ham Bhi Is Din Wahi Ibadat Kar Rahe Hai;
Lekin Aap ﷺ Ne Isko Bhi Pasand Nahi Farmaya. Q ? Is Liye Ke Allah Taala Ne Musalmano Ko Jo Deen Diya Hai Wo Doosre Deeno Se Alag Hai, Aur Unsab Par Fazilat Rakhta Hai;
Lihaza Ek Musalman Ka Zahir Aur Batin Bhi Gairo Se Alag Hona Chahiye;
Chunanche Hadees Mein Jagah Jagah Ye Irshad Milega Jisme Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Ke Ghairo Se Alag Tariqa Ikhtiyar Karo Masalan Irshad Farmaya: Mushrikin Jo Allah Taala Ke Saath Doosro Ko Shareek Therate Hai, Unse Apna Zahir Va Batin Alag Rakho.
📓 Bukhari
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Monday, 24 August 2020
Muharram-02 | Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-02🌐
《Fazilat Ki Waja Talash Karne Ki Zaroorat Nahi.》
Is Tahqiq Mein Padne Ki Zaroorat Nahi Ki Kis Waja Se Allah Taala Is Din Ko Fazilat Bakhshi? Balki Ye Sab Allah Taala Ke Banaye Hue Din Hai,Wo Kis Din Ko Chahte Hai Apni Rahmato Aur Barkato Ke Liye Pasand Kar Lete Hai, Wo Hee Iski Hikmat Aur Maslihat Ko Jante Hai, Hamari Aur Aapki Aqal Se Bahar Ki Baat Hai Is Liye Is Bahas Mein Padne Ki Zaroorat Nahi.
《Is Din Sunnat Wale Kaam Kare.》
Itni Baat Zaroor Hai Ki Jab Allah Taala Ne Is Din Ko Apni Rehmat Aur Barkat Ke Liye Pasand Kar Liya To Iska Ahtiram Ye Hai Ki Is Din Ko Us Kaam Mein Istemaal Kiya Jaye, Jo Kaam Nabie Karim ﷺ Ki Sunnat Se Saabit Ho, Sunnat Ke Taur Par Iska Ek Hukam Hai Ke Is Din Roza Rakha Jaye, Chunanche Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Din Mein Roza Rakhna Guzishta Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega. Bas Ek Hukam Sunnat Hai Iski Koshish Karni Chahiye, Allah Taala Iski Taufiq Ataa Farmaye, Aameen.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Sunday, 23 August 2020
Muharram-01《Aashura Ka Roza》
╭┅• ͜✯͜͡ ͜͡ ͜͡ 「﷽」 ͜͡ ✯͜ •┅╮
🌐Muharram-01🌐
《Aashura Ka Roza》
Khas Taur Par Muharram Ki 10vi Tarikh, Jisko Aam Taur Par Yavme Aashura Kaha Jata Hai, Jiske Maana Hai Dasva Din Ye Allah Taala Ki Khususi Rahmat Va Barkat Ka Din Hai. Jab Tak Ramzan Ke Roze Farz Nahi Hue The, Us Waqt Tak Aashura Ka Roza Rakhna Musalmano Par Farz Qarar Diya Gaya Tha, Baad Mein Jab Ramzan Ke Roze Farz Ho Gaye, To Aashura Ke Roze Ka Farz Hona Khatam Hogaya.
Lekin Nabie Karim ﷺ Ne Aashura Ke Din Roza Rakhne Ko Sunnat Aur Mustahab Qarar Diya Hai. Ek Hadees Mein Nabie Karim ﷺ Ne Ye Irshad Farmaya Ke Mujhe Allah Taala Ki Rahmat Se Ummid Hai Ki Jo Shakhs Aashura Ka Roza Rakhega, To Uske Pichhle Ek Saal Ke Gunaho Ka Kaffara Ho Jayega.
╰┅┈•✿ ͜✯🌹 ͜͡ ͜͡ 🌹✯͜ ✿•┄┅╯
Wednesday, 19 August 2020
Saaleheen ke khwābon ka bayān:
📚
Saaleheen ke khwābon ka bayān:
Book of Interpretation of Dreams:
Narrated Anas bin Malik:
Rasool Allah (ﷺ) ne farmāya, "Kisi nek aadmi ka accha khwāb Nabuwwat ka 46 wa hissa hai."
(Sahih Bukhari, Book 91, Hadith 2)
💎 💎 💎
Friday, 14 August 2020
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳 Post No | 4
★
✧-----------------﷽-----------------✧
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
Special Post
🇮🇳 Post No-04 🇮🇳
✧------------------------------------------✧
╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
🔵 S A W A A L
≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥
✧⇝❥15 August Ya 26 January Ke Mauqe Par Apne Desh Se Muhabbato-Aqaeedat Ka Izahaar Ke Liye "Jan Gaṇa Man" Ya Is Jaise Dusre Raaṣhtriya Taraane (National Rythem) Ya Geet Paḍhnaa Kaisa Hai ?
🔵 J A W A A B
☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
★➻Har Aisi Nazam (Kavita) Taraanaa Ya Geet Jisme Kufro-Shirk Wale Alfaaz Ho, Aise Taraanon, Geet Ya Nazam Ka Paḍhna Jaiz Nahin Hai, Fir Jis Kavita Ya Shero-Shaayri Me Kisi Ki Burayi Bayaan Ki Jaye, Ya Khamakhaa Ki Taarif Ki Jaaye To Woh Geet Ya Taraane Chaahe Rashtriya Ho Ya Gair Raashtriya, Unka Paḍhna Bhi Sahih Nahin Hai.
Haan Vaise Jis Geet Ya Taraane Me Kufariyyah Shirakiyyah Alfaaz Na Ho, Aise Hee Usme Jhooṭh, Kisee Ki Buraai Ya Jhooṭee Taarif Na Ho To Uska Paḍhnaa Jaiz Hai.
Aur "Jana Gaṇa Man " Taraane Me Aise Alfaaz Nahi Hai Jinhen Shirk Kahaa Jaye, Lihaza Ise Paḍhana Durst Hai.
📚Shaamee 2/433.
📓Soorah-Shuaraa 224) Tafaseer Nasafee 2/588.
📓Aap Ke Masaail Aur Un Ka Hal 8/488.
➻post Alhumdulillah Muqammal Hua
Dua me yaad rakhna.
✍Mufti Imran Sahab D.b
╚══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╝
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳 post | 3
★
✧-----------------﷽-----------------✧
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
Special Post
🇮🇳 Post No-03 🇮🇳
✧------------------------------------------✧
╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
🔵 S A W A A L
≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥
Vande Maataram Kehna Kaisa Hai ?
Agar Na-Jaiz Hai To Kyun ?
Kya Watan Se Muhabbat Nahin Karni Chahiye ?
🔵 J A W A A B
☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Musalmano Ko Is Mulk Se Badi Muhabbat Hai, Us Ne Is Mulk Ko Aazad Karane Ke Liye Aazadi Ki Jung Hinduon Se Pehle 1772 Me Shah Abdul Azeez Muhaddis E Dehalvi R.A. Ke Angrez Ke Khilaf Jihad Ke Fatwe Ke Baad Shuru Kar Di Thi, Usi Din Se Musalmono Ne Apne Khoon Se Hindustan Ki Dharti Ko Sincha Hai, Aur Watan Se Itni Ziyadah Muhabbat Hai Ke Marne Ke Ba'Ad Naha Kar Isi Me Dafan Hota Hai,
Lekin Musalman Ke Liye Ye Baat Mumkin Nahi Ke Woh Kisi Cheez Ko Allah Aur Uske Rasool Se Ziyadah Chahe, Aur Usse Mohabbat Kare, Ya Uska Woh Ehteram Kiya Jaaye Jo Khuda Ke Liye Khaas Hai,
Kyun Ke Pooja Aur Bandagi Ke Laayak Sirf Aur Sirf *Allah Paak* Ki Zaat Hai, Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Jaiz Nahi, Na Farishto Ki, Na Rasoolo Ki, Na Kisi Wali Ki, Aur Na Hi Kisi Aur Cheez Ki. Aur Insan Sirf Allah Ka Banda Hai, Kisi Dariya, Pahaad, Suraj, Sitare Aur Kisi Makhluq Ka Nahin, Isee Liye Watan Se Woh Muhabbat Jisse Bandagi Laazim Aaye Kisi Haal Me Jaiz Nahin, Yahi Hamara Imaan Aur Aqeedah (Manyata) Hai Ke Allah Ke Siwa Kisi Ki Bandagi Karna Kisi Haal Me Jaiz Nahi, Aur Watan Ko Ma'Bud Ka Darajah Diya Jaaye To Yeh Allah Ke Saath Shirk (Partner) Maanna Hai, Aur Shirk To Kisi Haal Me Maaf Nahi,
Isee Back Ground Me Is Geet Ko Dekhna Chahiye Jo Vande Maatram Ke Naam Se Mash'Hur Hai.
Yeh Geet (Vande Maataram) Bankim Chandra Chetarji Ne Likha He, Aur Taarikh Shaahid (Gavaah) Hai Ke *Yeh Angrezo Ki Khushamad Me Kahaa Gaya Hai, Isee Liye Mulk Ke Bade Leaders Pandit Jawahar Laal Nehru, Subhash Chandra Bose, Dr. Lohiya Wagerah* Ne Bhi Is Nizaee (Ladai Peda Karne Wale) Taraane Ko *Na-Pasand Kiya Hai* Aur Geet Ke Baare Me Musalmano Ke Ikhtilaf Ko Sahih Aur Haquiqi Aur Unki Dharmik Bhawna Ko Thokar Pahonchane Wala Maan Liya Hai
Is Geet Ki Shuruaat Is Misra'A (Pankti) Se Hoti Hai. :-
"Mai Tere Samne Jhukta Hun Aey Meri Maa (Zameen)"
Fir Aage Yun Hai...
"Tu Hi Meri Duniya Hai, Tu Hi Mera Dharam Hai"...
Fir Geet Ke End Me Is Tarah Hai:-
"Me Gulam Hun, Gulam Ka Gulam Hun,
Gulam Ke Gulam Ka Gulam Hun,
Achchhe Paani, Achchhe Phalo Wali Maa !, Me Tera Banda Hun.."
Isee Geet Me Ek Jagah Hindustan Ko Durga Maata Ka Darajah De Kar Kahaa Gaya Hai:-
"Tu Hi Hai Durga, Das Hathyar Band Haatho Wali"
Yeh Hai Woh Nazam Jisme Shaayar Ne Watan Ko Khuda Se Badhaa Kar Ma'Abud (Ibadat Ke Laayak) Ka Darajah Diya Hai,
Ab Musalmano Se Iska Chahat Karna Ke Is Khayal Ko Qubul Kar Le, Aur Apne Zameer Ko Bech Kar Aur Apne Aqeede Ko Tod Kar Dusron Ki Rawa Rawi Me Yeh Shirkiya Taraana Padhe, Mazhabi Sakhti Aur Jabadasti Ke Siwa Kya Hai ??
Yeh To Aqeede Ki Baat Hui,
Sikke Ka Ek Aur Rukh Bhi Hai, Woh Yeh Ke Vande Maatram Asal Me Bangali Novel "Aanand Muth" Ka Hissah Hai, Jisme Hinduon Ko Musalmano Ke Khilaf Bhadkaya Aur Uksaya Gayaa Hai, Nafrat Ke Sho'Ale Bhadkane Ki Koshish Ki Gayi Hai, Aur Angrezo Ka Welcome Kiya Gayaa Hai, Kya Koi Sachcha Vatan Se Muhabbat Rakhne Wala Jiska Dil Sahih Mayno Me
"Dil Hai Hindustani" Ki Tasvir Ho, Aise Angrezo Ke Pitthu Aur Nafrat Felane Wale Ash'Aar (Geet) Ko Pasand Kar Sakta Hai ?
Usko Accha Samajh Sakta Hai ??
Never For Ever.
Lihaza Hazaaro Mira Kumari Aur Digar Bin Secular Firqa Parast Log Naaraz Hote Rahe, Hum Imaan Wale Aise Lagv, Bekar Aur Aqeeda Aur Imaan Ke Khilaf Tarane Ko Kabhi Qubul Nahi Kar Sakte, Balke Me To Kahunga Sachche Vatan Parast Aur Seculer Log Kabhi Is Taraane Ko Nahi Gayenge, Isiliye Jawahar Laal Nehru, Subhash Ch.Bose Aur Dr. Lohya Jaise Kai Bade Gair Muslim Log Bhi Isko Nahin Maante The.
📓Ma'Khuz Az Raahe Amal)
✍Mufti Imran Sahab D.b
╚══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╝
〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️
Independence Day. post | 2
★
✧-----------------﷽-----------------✧
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
Special Post
🇮🇳 Post No-02 🇮🇳
✧------------------------------------------✧
╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
🔵 S A W A A L
≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥
15 August Aur 26 January Ko Jhandaa (Flag) Buland Kiya Jaata Hai Is Mauqe Par Shirkat Karnewale Bhi Haath Uthaakr Usko Salaami Paish Karte Hain Aur Jhande Ke Aage Jhukte Hain Uska Sharaee Hukm Kya Hai?
🔵 J A W A A B
☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Jhandaa Lehrana Aur Salami Dena Durust Hai, Ek Siyasi Aur Faujee Amal Hai, Aur Ahle Ilm Ne Usko Jaaiz Qaraar Diya Hai, Albatta Us Mauqe Se Aisa Koi Amal Karna Jis Se Jhande Ki Gair Ma'Amuli [Extra Ordinary] Ta'Azim [Respect] Zaahir Hoti Ho Jaise Dono Haath Jodna Ya Jhuknaa Jaaiz Nahi Hai, Islami Point Of View Se Kisi Bhi Makhluq Ke Saath Is Tarah Ki Ta'Azim Ka Sulook Saheeh Nahin Hai.
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
Hazrat Mufti Kifayatullah Sahab Rahmatullahi Alayhi Farmate Hain "Jhande Ko Salaami De Sakte Hain, Islami Hukoomaton Me Bhi Hota Hai,
Us Me Taazeem Ka Shubah Ho To Us Me Islaah Ho Sakti Hai. *(Is Tarah Ke Sar Buland Kar Ke Seena Taan Kar Salami Dee Jaye)* Lihaza Is Ko Mutlaqan-Bilkul Mushrikanah Amal Qaraar Dena Saheeh Nahi.
📓➻fatawa Raheemiyah 10/180
📚➻Kitabul Fatawa 1/281.
╚══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Thursday, 13 August 2020
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
★
✧-----------------﷽-----------------✧
🇮🇳 Independence Day 🇮🇳
Special Post
🇮🇳 Post No-01 🇮🇳
✧------------------------------------------✧
╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
🔵 S A W A A L
≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥
✧⇝❥Hindustan Se Islam Aur Musalmano Ka Kya Ta'Alluq Raha Hai Aur Muslaman Is Sar Zameen Se Kyun Muhabbat Karte Hai ?
✧⇝❥Musalman Hindustan Ko Unke Baap dada Ka Desh Kyun Kehte Hai ?
🔵 J A W A A B
☆≅☆≅☆≅☆≅☆≅☆
Hindustan Se Hame Muhabbat Honi Chahiye Aur Yeh Hamaare Baap-Dada Ki Sar Zameen Hai Is Ki Kai Wujuhaat (wajah) Hai.
Hindustan Musalmano Ke Liye Paraaya Mulk Ya Ajnabi Zameen Nahin Hai, Yahaan Unke Paygambar [As.] Se Lekar Baap Daada Dafan Hue Hain.
Puri Duniya Ke Musalmano Ka Yeh Aqeeda [Shradhdha] Hai Ke Insaan Ki Zaat Ke Paida Hone Ki Ibteda [Shuruaat] Hazrat Aadam [As.] Se Hui Hai, Duniya Me Jitne Insaan Guzar Gaye Aur Jo Haal Me [Abhi] Hai, Usme Gorey Ho Ya Kale, Hindustani Ho Ya Afriqi, America Europe Ke Rehne Wale, Arab Ho Ya Angrez, Ye Tamaam Insaan Hazrat Aadam [As.] Ki Aulaad Me Se Hai, Islaam Mazhab Ka Ye Aqeeda Hai, Aur Christian Aur Yahudi Ka Bhi Yahi Aqeeda Hai, Musalmaan Hazrat Aadam [As.] Ko Unke Dada Maante Hai, Isliye Unke Dada Ka Jo Watan Tha Wo Hee Watan Muslamano Ka Aslee Watan Hai, Hindustaan Jaise Bade Mulk Me Allah Ta'ala Ne Apne Kisi Khaas Paygambar Ko Zarur Bheja Hoga,
Aaiye, Hum Aisi Kuchh Chizon Par Gour Kare Jisse Ye Pataa Chalta Hai Ke Hindustan Ki Puratan Kaal [Ibtedai Zamane] Se Chali Aa Rahi Jaaho Jalaali Kaisi Thi.
1. Allama Ibnne Kaseer Ne Apni Tafseer Me Likha Hai Ke Suddee Rahmatullahi Alayhi Farmate Hai Hz. Aadam [علیہ السلام ] Jannat Me Se Hindustan Ki Zameen Par Utre, Wahan Aap Ke Sath ‘’Hajre Aswad’’ Aur Jannat Ke Darakht Ke Kuchh Patte The.Un Patton Ko Adam علیہ السلام Ne Jannat Me Se Nikaale Jane Ki Wajha Se Afsos Karte Huwe Dabaya To Us Me Se Khushbu Paida Hui Aur Us Patte Ko Hindustan Me Fela Diye Usee Se Khushbu Dar Darakht Paida Huwe (Ood Ki Khushbu Ki Asal Yahi Hai).
📓Tafseere Ibne Kaseer Jild 1 Safa 102)
2. Hazrat Aayesha Siddiqa [Rd.] Unki Riwayat Me Bayan Kar Ke Farmati Hai Ke: Hz. Aadam [As.] ‘’Sinhaldeep” Yani “Lanka” Ke Pahaad Par Utre Aur Maa Hawwa [As.] “Jiddah” Me Utri The, Hz. Aadam [As.] Bahot Lambe Arse Tak Maa Hawwa [As.] Ki Talaash Karte Rahe, “Muzdalifa” Jagah Par Dono Ka Milaap Huwa, Uske Baad Allah Ke Hukm Se Hz. Aadam [As.] Ne Khana E Kaaba Ki Taameer Ki, Aur Hindustan Me Aakar Rehne Lage
Hz. Aadam [As.] Ki Aulaaad Me Hz.Shees [As .] Bhi The, Aap Ki Mazaar Mubarak “Ayodhya” Faizabaad Me Hone Ka Bataya Jata Hai,
Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke, Hz. Aadam [As .] Ne Hindustan Se 40 Haj Paidal Kiye The.
Tareekhee Riwayaton Ye Niche Likhi Gayi Chizen Saabit Hoti Hai,
1. Hindustan Allah Ke Sab Se Pehle Paygambar Hz. Aadam [As. ] Ne Jahaan Qadam Rakha Wo Zameen Hai.
2. Hz. Aadam [As. ] Nabi The, Is Liye Sab Se Pehle Nubuwwat Ka Suraj Hindustan Me TuluA Huwa.
3. Duniya Me Sab Se Pehle “Ruhul Quddus” Hz. Jibraeel [As.] Sab Se Pehle Hindustan Me Naazil Huwe The.Yani Sab Se Pahli Wahee-Allah Taala Ka Farman Hindustan Me Utra,
4. Ibne Asaakir [Rh.] Ne Hz. Sa’Ad (Rz. ) Ke Hawale Se Likha Hai Ke, Allah Ta’Ala Ne Hz. Aadam [As.] Ke Liye ‘’Dahnaa’’ Ki Mitti Li Thi, Research Karne Walon Ka Bayaan Hai Ke ‘’Dahnaa” Hindustan Ka Hi Koi Maqaam Hai.
(Taarikhe Dimashq 7/437)
5. Hz. Ibne Abbas [As] Se Riwayat Hai Ke Allah Ta’Ala Ne Aadam {As.} Ki Qayamat Tak Paida Hone Wali Aulaad Se Jo “Ahad E Alast”(Me Tamam Insaan Ka Rab-Khuda Hun) Liya Tha, Wo Bhi Dahnaa Maqaam Par Liya Tha.
6.Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Paak Noor Hz. Aadam [As. ] Ke Saath Hindustaan Me Roshan Huwa.
〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️
Sunday, 9 August 2020
Khairat karein Ghareebon ke liye
▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
Make a Donation For The Poor (Sadqa Khairat karein Ghareebon ke liye )
Make a Donation to the poor via above QR Code Or UPI Address, InShaa Allah We Will Surely Reach Your Payment in the Hands Of the Poor.
Sadqa Khairat Karna Chahte Hain To Karsakte Hain Upar Diyegaye QR Code Ya UPI Address pe, Insha Allah zaroor Ham Aapke Maal Ko Gharibon Tak Pahoncha Deingey.
(Aage V Share Kare )
Jazakallah
Saturday, 8 August 2020
Thursday, 6 August 2020
Images Of The Day
📖
وَّ خَلَقۡنٰکُمۡ اَزۡوَاجًا
"Aur Hum ne tumhe joda joda paida kiya."
[An-Naba, 78:8]
💎 💎 💎
तुम उन मस्जिदो को आमले इबादत से आबाद करो जो मस्जिदे अल्लाह ने तूमाहरे कब्जे मे दे रखी है, फिर वो मस्जिदे अल्लाह तुम्हे दे देगा जो मस्जिदे गैरो ने कब्जे मे ले लिया है 🕊️
Tuesday, 4 August 2020
Virus, Infection, Flue ,aur dusri buri Beemariyo se bachne ki dua
Bismillahirrahmanirraheem
✦ Virus, Infection, Flue ,aur dusri buri Beemariyo se bachne ki dua
-----
اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.
(3 baar Subah aur 3 baar Shaam)
✦ Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi
Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan
------
بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
(3 baar Subah aur 3 baar Shaam)
✦ Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1647-Sahih
------
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
(3 baar Subah aur 3 baar Shaam)
Panah mangta hu main Allah ki,Pure kaimat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai
Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih
------
*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ*
✦ Allahumma inni Auzubika minal-barasi, Wa Al-jununi, Wal-judhami, wa min sayyiil-Asqam
✦ Eh ALLAH main tujhse panah chahta hu kodh ki beemari se, pagalpan se, Judham se (infection or virus se) aur tamam buri beemariyo se
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1541 -Sahih
.
.
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
.
ला हौल व ला क़ुव्वत इल्ला बिल्लाह्
⭕बराए मेहरबानी खुद भी पढें और सबको सेंड करें।
.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Request to all GROUP members to remember in your 🙏🏻🤲🏻DUA"s🤲🏻🙏🏻for UMMAH & for all Patients + for all Marhoomeens🤲🏻
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Apne Dosto Ko Bhi invite Karen
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Subscribe to:
Posts (Atom)