Saturday, 30 April 2016

AAJ KA SAWAL) Ulti Hone Se Wuzu Tootne Ke Masail

ULTI HONE SE WUZU TOOTNE KE MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.667⭕

Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ?

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

1.Agar kai (ulti) huyi aur usme khana ya paani ya pitt gire to, agar munh bhar kar kai-ulti huyi ho to wuzu tut gaya, aur munh bhar kai nahi huyi to wuzu nahi tuta. aur munh bhare hone ka matlab hai ke mushkil se munh me ruke aur agar kai me sirf balgam gire to wuzu nahi gaya chhahe jitna ho. muh bhar ho ya na ho, sabka ek hi hukam he, aur agar kai(vomit) me khun gire to agar patla aur behta huva ho to wuzu tut jayega. chahe kam chahe ziyadah muh bhar kar ho ya na ho.

2. THODI THODI (zaraa zaraa) vomit KAEE BAAR HONA:
Agar thodi thodi karke kaee baar kai-vomit huyi, lekin sab milakar itni hai ke agar ek baar girti to muh bhar ho jati, to har  baar ek hi matli [yaane becheni-ghabrahat] baraabar baaki rahi aur thodi thodi kai-vomit hoti rahi to wuzu tut gaya, aur agar ek hi matli-becheni-ghabrahat baraabar baaki nahi rahi balke pehli baar ki matli-becheni-ghabrahat jaati rahi thi,  aur jee achchha ho gaya tha fir dusri baar matli-becheni-ghabrahat shuru huyi aur thodi kai ho gayi fir jab ye matli-becheni-ghabrahat jaati rahi, aur tisri baar fir matli shuru ho kar kai huyi to wuzu nahi tutta.

3. FOURAN ULTI HUYI TO WUZU NAHI TUTEGA:
Khana pet me pahochne ke pahele hi ulti ho jaye aur wih khorak ki naali me se hi nikal jaye to usse wuzu nahi tutta.

��DURRE MUKHTAAR ZAKARIYAH 1/280  

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye (DDIM) Websit Sarch Kare...
https://islamimessagesddim.blogspot.com

Friday, 29 April 2016

AAJ KA SAWAL) Aurat Ka Ilaj Mard Se

AURAT KA ILAJ MARD SE

⭕AAJ KA SAWAL NO.666⭕

Aurat Ka ilaj mard doctor se karwa sakte hai Ya nahin ?

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Tabeeb (Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz hai,

Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri hai,

Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka  khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bataa de, khud ilaaj na kare,

Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Marizah Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim hai ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,

Bachcha Janaa'i-delivery  ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar muamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta hai.
✏Mufti Yusuf ludhyanvi shaheed  Rahmatullahi alayhi.

��Aapke Masail aur unka Hal, 8/54

و اللہ اعلم

(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit Sarch kare

Islamimessagesddim.blogspot.com

AAJ KA SAWAL) Alcoholic Denat(denatured alcohol) hala ? hai ya haram

⭕AAJ KA SAWAL NO. 665⭕

Alcoholic Denat(denatured alcohol) halal hai ya haram ??

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Denat umuman un chizon me daala jaata hai jo khane peene Ki na ho, jaise cream wageirah.

Fir agar denat alcohol angoor aur khajoor ke alawah dusri ashya masalan gandum, jau , gandhak, deter, ambeli,
Chemical aur dusre phoolon aur sabziyon(vegetables) se kasheeda hote ho to aise alcohol ka istemal mukhtalaf feeh hai, is liye is qism k alcohol mili ashya ke istemal ki gunjaesh hai lekin aisi ashya ke istemal se bhi ea'taraz (ijtinab) bahtar hai.
Ta ham agar tehkik se ye ma'alum ho jaye ke alcohol angoor aur khajoor se banai gai hai ya aur kisi kimiyai tariqah se us ki mahiyat ko bhi tabdeel nahin kiya gaya hai to aisi ashya bila shuba Naapaak hain aur us ka dakhli ,kharji iste'amal shar'an jaiz aur durust nahin hoga.

��Hawala- takmile fathul mulhim
Jild 3 page 308
Fatwa no - 14839
DARUL IFTA JAMIA ISLAMIYA BINORIYA KARACHI
ROMAN WRITER
MUFTI ZAKIR QASMI AURANGABAD
ا
و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

Tuesday, 26 April 2016

Qur'an Aur Hadees/Urdu-Hindi

19/04/2016          

कौन सा माल बेहतर है

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

हदस: रसूलुलाह ﷺ ने फमाया: “जब सूरज िनकलता है, तो उसके दोन जािनब दो फरते रोज़ाना एलान करते ह: ऐ लोगो ! अपने रब क तरफ मुतवजेह हो जाओ जो माल थोड़ा हो और वह काफ हो जाए, वह बेहतर है, उस ज़यादा माल से जो अलाह तआला के अलावा दूसर चीज़ म मशग़ुल करदे ।” (मुनदे अहमद: 21214)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
20/04/2016

अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

♡ हदस: हज़रत अबू उमामा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क रसूलुलाह (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया: जस शस ने अलाह तआला ह के िलए कसी से मुहबत क और उसी के िलए दुमनी क और (जसको दया) अलाह तआला ह के िलए दया और (जसको नहं दया) अलाह तआला ह के िलए नहं दया तो उसने ईमान क तकमील कर ली । (अबूदाऊद)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
21/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
पूरे-पूरे नूर क ख़ुशख़बर

हदस: हज़रत बुरैदा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत ह क नबी करम (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : जो लोग अंधेर म य़ादा-से-य़ादा मजद को जाते रहते ह, उनको क़यामत के दन पूरे-पूरे नूर क ख़ुशख़बर सुना दजए । (अबूदाऊद)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

22/04/2016
  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
इस तरह सलाम करते

हज़रत िमक़दाद (रज़ी यलाहु अहु) ज़ करते है के आप (सललाहु अलैह व सलम) रात को तशरफ लाते और इस तरह सलाम करते के जागने वाला तो सुन लेता और सोने वाला बेदार न होता । [मुलम]
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

23/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
जस शस ने सफ़ म ख़ाली जगह को पुर कया

हदस: हज़रत अबु जुहैफ़ा (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क नबी करम (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : जस शस ने सफ़ म ख़ाली जगह को पुर कया उसक मफ़रत कर द जाित है । (बज़ार: ममउज़वाइद)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

24/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
भलाई का इरादा

☆ हदस: हज़रत अदूलाह बन मसूद (रज़ी यलाहु अहु) क रसूलुलाह (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : जब अलाह तआला कसी बदे के साथ भलाई का इरादा फ़रमाते ह, तो उसे दन क समझ अता फ़रमाते ह और सह बात उसके दल म डालते ह | (ममउज़वाइद)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

25/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
जो शस नमाज़ पढ़ने को ज़र समझे

हदस: हज़रत उमान बन अफ़ान (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क रसूलुलाह ﷺ ने इशाद फ़रमाया : जो शस नमाज़ पढ़ने को ज़र समझे, वह जनत म दाख़ल होगा । (ममउज़वायद)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages

26/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
नमाज़ बेहयाई ओर बुरे काम से रोकती रहती हे

क़ुरआन म अलाह तआला फ़रमाता है (तजुमा): बेशक नमाज़ बेहयाई ओर बुरे काम से रोकती रहती हे । (अंकबूत: 45)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily Deeni Islamic Messages (DDIM) Rozana Deenni Msg whatsapp Group Join   +91-9658951292        islamimessagesddim.blogspot.com

27/04/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
उसी का काम है पैदा करना

क़ुरआन म अलाह तआला फ़रमाता है (तजुमा): उसी का काम है पैदा करना और उसी का हुम चलता है । (आराफ़: 54)
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
Daily deeni Islamic Messages (DDIM) Group

◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐

30/04/2016

      ﷽   

  दिने इस्लाम  

    (0029)  

♨     क़यामत    ♨
        का      
       मंझर     

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
अगर (आख़िरत के हॉलनाक अहवाल के मुताल्लिक़) तुम्हे वो सब मालूम हो जाए
जो मुजे मालुम हे
तो तुम्हारा हंसना कम हो जाए
और रोना बहोत बढ़ जाए.

बुखारी-6456

   गुज़ारिश   
दिन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(190)

01/05/2016

      ﷽   

दीन ए इस्लाम

    (0031)  

    अल्लाह    
       की      
      रहमत    

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
सुबह शाम मस्जिद जाना
अल्लाह तआला के रास्ते में जिहाद करने में दाखिल हे.

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Subah sham Masjid jana
Allah Ta'ala k raaste me jihad krne me dakhil hai

मजमुअज़्ज़वाईद -2/147

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(MA/288)

02/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0032)  

      हमारे      
      प्यारे      
       नबी      
(सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम)

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

हज़रत आइशा  फरमाती हे के रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम के वफ़ात पा जाने तक आप सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम के घरवालो ने जव की रोटी कभी भी दो दिन मुसलसल पेट भर कर नहीं खाईं

मुस्लीम -7445

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(MA/709)

Hindi Me Qu'ran Hadiees Ke leya (DDIM) Websit Sarch Kare https://islamimessagesddim.blogspot.com

03/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0033)  

      दीदार     
        ए        
      इलाही     

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
जन्नत में सबसे ज़ियादाह इज़्ज़त वाला वो शख्स होगा
जो सुबह व शाम अल्लाह तआला का दीदार करेगा.

तिरमिज़ी-2553

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦ (400)े

04/05/2016

  ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم   ▫ 

सबसे बेहतर शस वह है जो क़ुरआन शरफ़ सीखे और िसखाए   
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
हदस: हज़रत उमान बन अफ़ान (रज़ी यलाहु अहु) से रवायत है क रसूलुलाह (सललाहु अलैह व सलम) ने इशाद फ़रमाया : तुमम सबसे बेहतर शस वह है जो क़ुरआन शरफ़ सीखे और िसखाए । (ितिमज़ी: 2907)     
◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐
1⃣DDIM1⃣ facebook Group join kar ne ke leyi neche deya link ko click kare....

https://mobile.facebook.com/groups/209824062733417

05/05/2016

      ﷽   
दिन ए इस्लाम

    (0035)  

       दुआ     
       की       
♥     फ़ज़ीलत    ♥

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
अल्लाह तआला के नज़दीक दुआ से ज़ियादाह बुलंद मरतबा किसी चीज़ का नहीं.

तिरमिज़ी-3370

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(MA/429)

हिंदी भाषा में क़ुरआन और हदीस टेक्स्ट मैसज के लिये इस्लामिक ग्रुप एप्लीकेशन डाउनलोड करे ,प्लेस्टोर पर सर्च करे
"DDIM GROUP"
इन्शाअल्लाह बहुत फायदाः होगा

06/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0036)  

    नसीहत     
       ए        
     रसूल      
(सल्लल्लाहू अलैयही व सल्लम)

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
जब तुम में से कोई खाना खाए तो उसे अपनी उँगलियों को चाट लेना चाहिये
क्यूंकी उसे मालूम नहीं के उसकी कोनसी उंगली में बरकत हे.

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
jab tum mai se koi khana khaye to use apni ungliyo ko chat lenaa chahiye
kyuki use malum nhi ke uski konsi ungli me barkat hai

मुस्लीम-5307

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(330)

हिंदी भाषा में क़ुरआन और हदीस टेक्स्ट मैसज के लिये इस्लामिक ग्रुप एप्लीकेशन डाउनलोड करे ,प्लेस्टोर पर सर्च क (DDIM) http://bit.ly/1XalRD6
इन्शाअल्लाह बहुत फायदाः होगा

07/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0037)  

♨      गुनाह      ♨
        से       
☀       बचो       ☀

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
धोकेबाज़, बखील और एहसान जतलाने वाला जन्नत में दाखिल नहीं होगा.

तिरमिज़ी-1963

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(632)

Daily Deeni Islamic Messages (DDIM)

08/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0039)  

     आदाब     
        ए        
♥      जिंदगी     ♥

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
जिसने लोगों का शुक्र अदा ना कीया
उसने अल्लाह तआला का शुक्र अदा ना कीया.

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
jisne logo ka shukr adaa na kiya usne Allah T'aala ka shukr ada na kiya

तिरमिज़ी-1955

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(SAW/298)

09/05/2016

      ﷽   
दीन ए इस्लाम

    (0041)  

      गुनाहों    
        की      
♥      मुआफ़ी    ♥

रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
जो शख्स मुअज्ज़िन की आवाज़ (अज़ान) सुने और ये कलिमात कहे:

अशहदु अल'ला'इलाहा इल'लल्लाह,
व अशहदु अन्न मुहम्मदन अब्दुहू व रसूलुह,
रदीतू बिल्लाही रब्बव,
व'बी मुहम्मदीन रसुलव,
व'बील इस्लामी दीना.

तो उसके तमाम गुनाह मुआफ़ हो जाते है.

मुस्लीम-1197

   गुज़ारिश   
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
♦े
(SAW/123)

��      ﷽    �� ����������
�� दीन ए इस्लाम ��
����������
��    (0044)   ��
����������
��       वुज़ू       ��
��        की       ��
♥      पाबंदी     ♥
����������
रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैयही व सल्लम ने इरशाद फरमाया :
वुज़ू की पाबंदी (कामिल) मोमिन ही करता हे.
����������
��इब्ने माजह-279��
����������
��   गुज़ारिश    ��
दीन की बात दूसरों को पहोचा कर सवाब हासिल करे
��♦��े
(SAW/109)

AAJ KA SAWAL) Pepsi Company Ki Banai Hui Cheez Ka Len Den

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.665⭕

Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai?
��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech  ke bare me tafseel he wo ye ke,

agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he.

Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le  Bech bhi na jaiz he.

albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga.

Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya gaya he to bhi in cheezon ke istemal aur le bech ki gunjaish he.

Albatta agar koi ehtiyat per amal karte hue usse parhez kare to ye bahut achcha he.

��(khane pine ki Halal o haraam cheezon se liya hua hai)

✏MUFTI BAHADOOR
Darul ifta binnoria karachi.fatawa no.10824

✒ROMAN WRITER MAULANA USAMA HAKEEM SAHAB

و اللہ اعلم

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hama ra (DDIM) Websit Sacrch  Kare.. ����
https://islamimessagesddim.blogspot.com

AAJ KA SAWAL) Makan Dukan Me Qurani Aayat Latkana

MAKAN DUKAN ME QURANI AAYAT LATKANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.664  ⭕

Makan ya dukan Me kisi takhte Wagairah par quran ki aayat likhkar latkaana kaisa hai?

��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Jahan T.V. chalaya Jata ho Ya Jandar ki tasweeren ho wahan ayat wala takhta latkane me quraan majeed ki behurmati -be adabi hai, isliye jaiz nahi,
agar Ye khurafat na ho aur tazeem-adab malhooz rakha jaye, gardo gubar -dhul mitti se saaf rakha jaye to jaiz hai, deewar aur darwaze par ayat likhna makroohe tanzihi yani munasib nahi.

��AHSANUL FATAWA 23/8 HAHAWALA SHAMI 1/120
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hamare (DDIM) Group ke websit ko sacrch kare. ����                   islamimessagesddim.blogspot.com

Monday, 25 April 2016

AAJ KA SAWAL) Bulandi Par Rakhe Qur'an Ki Janib (PAIR(LEG'S

BULANDI PAR RAKHE QUR'AN KI JANIB PAIR(LEG'S)

⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕

Almari-cupboard me uparwale khane(droar) me Qur'an rakha huwa ho to us ki jaanib pair  failane ya pithh karna Jaiz hai ya nahin?

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Puchhi huyi surat me pair Qur'an ki jaanib nahin shumar honge kyun ke Qur'an us simt(sight) me to hai lekin upar ki jaanib hai lihaza jaiz hai.

��AHSANUL FARAWA 8/22SE MAKHOOZ

��BA HAWALA ALAMGIRI-FATAWA HINDIYAH 5/322.

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zarur dekhey

����
http://www.aajkasawal.page.tl

Saturday, 23 April 2016

AAJ KA SAWAL) Ladkiwalon Ki Taraf Se Nikah Ki Peshkash

LADKIWALON KI TARAF SE NIKAH KI PESHKASH

⭕AAJ KA SAWAL NO.661⭕

Hamari beti ka koi rishta kafi waqt se aa nahi raha hai to kya hum ladki walen saamne chal kar baat daal sakte hai?

��JAWAB��
حامدا و مصلیا و مسلما

Aaj kal hamare muaashare me ladki walon ki taraf se rishte ki peshkash ko bahut ma'yoob khilafe gairat aur aar-sharm ki baat samjha jata hai,
haalaan ke shara'an is ki koi asal nahi,
khud hazrat umar Radeeallahu anhum ne apni beti hazrat hafsah Radeeallahu anhaa ka rishtah saiyyadana usman aur saiyyadana abu bakr siddeeq Radeeallahu anhumaa ke samne pesh farmaya tha,
lihaza is baat me koi Haraj nahi ke aadmi apni beti ya bahan ka rishtah khud kisi salih wa muttaqee mard ke samne pesh kare.

��AHAM MASAIL 5/192
BAHAWALA SAHEEH BUKHARI HADEES NO. 5122

و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye DDIM Websit us Kare.. ����

Thursday, 21 April 2016

AAJ KA SAWAL) Red Bull Aur Cola Peene Ka Hukm

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.659 ⭕

Red bull ek drink hai jis se energy aur taaqat hasil hoti hai ba'az log kehte hai ke is me alcohol milaya jata hai isliye us ka istea'mal halaal nahin kya yeh baat sahih hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat mufti jafar sahab milli rahmani damat barkatuhum likhte hain ke is silsile me thodi tafseel hai aur woh yeh ke agar us me milaya janewala alcohol angoor aur khajoor se banaya jata hai to uska istea'mal durust nahin aur agar angoor aur khajoor ke alawah kisi dusree cheez se banaya jata hai aur itni kam miqdar me milaya jata hai jis se nasha nahin aata to us ke istea'mal ki gunjaish hai

AHAM MASAIL JILD 6 SAFA 299
BA HAWALA

SHAMI 10/ 40,TAKMILAH E FATHUL MULHIM 3/608 FATAWA BINORIAA FATAWA NO.12994
baqi dalail  aur hawale kal ke sms me aayengen insha allah

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

http://www.aajkasawal.page.tl

Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Massage's paane Ke liye DDIM Group  Ke websit ko sarch Kare..

Islamimessagesddim.blogspot.com

22/04/2016

⭕AAJ KA SAWAL NO.660 ⭕

Red bull ke baare me ba'az  hazraat ka kehna hai Ke us me bel(bull,saandh,paada) ki mani(sperm) daali jati hai woh naapaak hota hai is ki ek pic (image) bhi social media par kaafi time se ghum rahi hai lihaza redbull ka hukm Is ki tahqeeq kar ke wazeh karne ki guzarish

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Red bull ke drinks me taurine naam ka ek substance use hota hai

Ye substance synthetically lab me banta hai chemical processes ke zariye

Ab taurine yeh latin greek zaban ke taurus se liya gaya he jiska maana bull ke aate hai

Yeh galat fahmi ke Taurine  bull ke maadde se liya gaya hoga
Is tarah paida hua ke pehli martaba yeh maadda scientist's ne bull ke liver se liya agar che ye maadda machchli (fish) aur insaan aur janwar ke tissues me bhi hota hai

Isliye iska naam Taurine rakha

Is mushaabahat ki wajah se ye galat fahmee huyi hai.
Rahi baat pic ki to jo What's app fecebook par chal rahi jis me bel ki sharmgah se mani nikali jaa rahi hai aisa bataya gaya hai woh fake-galat hai agar kisi ka sahih hone ka da'awa hai to yeh bataye ye kis shakhs ne, kahan, aur kis waqt banai thi aur aisa dekhnewale kitne hai taake pic (image) ki sachchai wazih ho.

NOT:JITNE BHI SOFT DRINKS AUR ENERGY DRINK AATE HAI WOH SIHHAT KO NUQSAN HI KARTE HAIN LIHAZA US SE BACHE AGAR WOH COCACOLA COMPANI KA HAIN TO IN YAHOODEE COMPANY KI KOI BHI CHEEZ KHAREEDNA IMANI GAIRAT KE KHILAF HAI LIHAZA US SE BHI BACHNA CHAHIYE HAM HARAM NAHI KAHENGE LEKEEN US SE BACHNA TAQWAA AUR SAWAB HAI

و اللہ اعلم

✏MUFTI ABDUL QAYYUM RASHEED AHMAD AJMERI HANFI GUFIRA LAHOO.

��USTAZE SUFI BAG RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

��Roman urdu me masail ke liye zarur dekhe

����
http://www.aajkasawal.page.tl

��Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye Hamara websit Khole
Islamimessagesddim.blogspot.com

Wednesday, 20 April 2016

AJJ KA SAWAL) Bageir Topi Namaz

��BAGEIR TOPI KE NAMAZ

⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕

Bageir topi ke namaz padhna kaisa hai?
Aaj kal navjawano topi ke bageir namaz padhte hai uska kya hukm hai ?

��JAWAB��

حامدا و مصلیا و مسلما

Mukarrir Hazrat maulana mufti Saeed ahmed sahab palanpuri damat barkatuhum,shaikhul hadish or sadar-ul-mudarrisine Darul Uloom Deoband farmaten hai.
“Dekho mere bhaiyo ! Deen woh hai jo Duniya ke tamam muslnano me hai.
Kyun ke deen ka madaar Qur'an or hadees par hai jo sari duniya me ek hee he, Lihaza sari duniya me jo tareeqah chal raha he wahi deen he aur agar kisi ilaqe me ek tareeqa he jisko dusre ilaaqe wale nahi jante to yeh tariqah deen me se nahi he baad me badha hai,agar Qur'an aur hadees me yeh tariqah hota to sari duniya me hota,
Kuch logo ka khayal hai ke Nange sar  namaz padhna sunnat hai, me 45 saal se hadees parha raha hun
Magar humne aaj tak koi hadees nahi padhi jisme yeh ho ke Nabi-e-Paak ﷺ ke paas topi ya amamah maujood tha or Aap ne ek farz namaz nange sar padhi ho, puri zindagi me ek dafah bhi aisa kiya ho,aisi koi hadees hamne nahi padhi aur qayamat ki subha tak mohlat hai, lao aisi koi hadees, chahe zaeef hi kyun na ho.
In bhiyon se jab puchha jata hai to fauwran kehte he
"Topi ke bagair kya namaz nahi hoti?
ek martaba nahi,so martaba hoti he aur topi ke bagair hi nahi, kurte ke bagair bhi namaz hoti hai,
namaz me mard ke liye naaf se lekar ghutne tak hi badan dhankna zaruri hai, ghutne ke niche ka hissa or naaf se upar ka hissa agar sara khula ho tobhi namaz ho jaegi.

��garz nange sar namaz hoti he ya nahi?
ye masla nahi hai,masla yeh hai ke namaz ke waqt Allah ta'ala ka kya hukm hai?
Allah ta'ala ka hukm yeh hai
(ae,Adam ki awlaad ! jab tum namaz padho,Shandar libas pahan kar namaz padho or islami tahzeeb me nange sar hona Shandar libas nahi,Yeh to Fashion hai, Gairo ka tariqah hai, islami tarika nahi,

واللہ اعلم

✏MAULANA SHAHID SURTI

��Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

����
http://www.islamimessagesddim.blogspot.com

��Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi bahot kuch Messages paane Ke liye join kare hamare telegram channel pe https://tellegram.me/nddim

AAJ KA SAWAL) E CODE WALI CHEEZEN KHANA

E CODE WALI CHEEZEN KHANA"

E CODE WALI CHEEZEN KHANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕

jis me haram janwar ki charbi milaai gai ho khane ka kyakhane pine kee cheezon me ''E''  ke sath khas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jate hai, us ke khane ka kya hukm hai?

us kee tahqeeq ho to ho sake to usey bhi batane ki darkhast

aaj ka jawab
حامدا و مصلیا ومسلما

shareeat ne jin cheezon ko haram qarar diya hai agar un kee haqeeqat aur mahiyyatu-asliyyat )us ka rang khushboo- zaiqah us kee aham siften-gun( kisi kimyawee -chemical dalne se badal jaye to unka pehla hukm )haram makrooh hone ka( baqee nahee rehta.kisee cheez kee woh khas aur bunyadee  siften-gun jin se us cheez kee pehchan hotee hai. wohee us cheez kee haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat hoti hai,

islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khas jankaree rakhnewale ke zareeye jo tahqeeq samne aayee hai us ke mutabiq (agar woh code geletin ke hai to) geletin me un janwaron kee khalon aur haddiyon kee haqeeqat baqee nahee rehtee hai, jin ke collagen (ek qism ka protin) se geletin banaya jata hai, balke woh ek nayee haqeeqat ke sath nayee-alag cheez ho jatee hai, isliye us ke isteamal kee gunjaish hai.

(naye masail aur fiqah academy ke fesle safa 182)14wa-chavdahwan fiqhee samynar haidarabad 22 jun 2004)

agar code lagi hui cheezon me charbee kee chiknahat bilkul nahee hai to woh cheez halal hai jese baaz cream bagair ki biscuit ke bare me mashhoor hai ke us me khinzir ki charbi dali gai hai aur us par Us ka code bhi hai, lekeen us biscuit me charbi ki zarra barabar chiknahat mavjood nahi to woh biscuit bilkul halal hai,agar us me charbi dali bhi gai ho to process- ki wajha se Us ka asar bilkul baqi nahi hai
Az ahqar

"Agar koi company haraam Khana banane me mashhoor na ho to mahaz kisi makhsooscode ya kisi company ki cheez hone ki wajha se kisi cheez ko shareeat me haraamya halal qarar nahi diya ja sakta magar ye ke yaqeen ke sath ye baat maloom ho jaye ke us E CODE ke ajzaa e tarkibiyah-ingredients (daali gayi chizen)me koi cheez haraam hai aur kisi kimyawee-chemical ke tareeqah se us ki haqeeqat aur mahiyat-asliyat ko tabdeel nahi kiya gaya to us cheez se bachna lazim hoga.

Jab ke taqwa ka taqazah ye hai jis cheez kihurmat wa hillat me shak ho to use istiamalme lane bachna chahiye.

(AHAM MASAIL 6/298)

�AHQAR KA TAJRABAH

bagair cream ke biscuit aur cake me to bilkul shubah-shak na karen.mene india kee maggi nudals aur maggi sous ka surat me laboratory report karwaya tha, jis par woh  haram kaha jane wala code hai aur nudals ka to video bhi chala tha.Lekin india ki maagi sous report me kisi bhienimal kee fate na hona aaya hai.jis se maloom huwa ye baaten baaz doctor ya deenee jazbaat rakhne wale gair mufti kee chalai hui hai.jis ka shareeat me aeatibar nahi.ye report bhi groups par bhejunga insha Allah.

tabdeele mahiyat :haqeeqat badalne se napak aur haram cheez ke halal hone kee chand misalen jo fiqah kee aksar kitabon me hain.

1. napak charbi se jab sabun ban jata hai to us kee haqeeqat badal gai isliye paak hai.

fatawa mahmoodiyah jadeed 18/206 ba hawala shami)

2. gobar aur paakhana jal kar rakh ho jayeto paak hai.

3.  gadha, namak kee khaan-bade khadde me gir kar markar sarkar akheer me namakban gaya ya insan kee naash qabar me mittee ban gai to woh mittee paak hai us mittee se bhare huwe kapde me namaz jaiz hai.

4. haram janwar kee khaal ko chemical namak wagairah ke zareeye us kee chikanahat khatm kar dee us khaal se banelibas me namaz jaiz hai.

5. sharab namak ya kisee cheez ke dalne sesirakah ban gai us ka nasha hee na raha paak hai pee sakte hai.

mustfad az maalabudd minhu safa 21)

و اللہ اعلم✏

(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

AAJ KA SAWAL) Kin aurton se nikah karna haraam hai

Kin aurton se nikah karna haraam hai ?

1) Maan, naani, par naani, daadi, par daadi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

2) Beti, poti, par poti, nawaasi, par nawaasi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

3) Sagi bahen, sauteli bahen (maan ya baap shareek bahen, bhateeji, bhaanji. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

4) Khaala, phoopi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

5) Bahu, Saas. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

6) Razaai Bahen (doodh shareek bahen ), Razaai Maan (Jis aurat ka doodh piya ho). (Shaami: 10/383, Baabur Rizaa)

Masla: Chacha zaad, khaala zaad, Phoopi zaad, aur Maamoon zaad behnon se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: 2 Behnon ko ek saath Nikah mein rakhna haraam hai, albatta agar biwi ki wafaat hogai ya use talaaq dedi ho aur iddat poori hochuki ho to ab saali se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: Agar kisi mard ne kisi aurat ko shehwat ke saath haath lagaaya ya zina kiya to us mard ke liye us aurat ki maan aur us ki betiyon se nikah karna haraam hogaya. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: Haiz-o-Nifaas ki haalat mein hambistari karna haraam hai. Isi tarah aurat ki pichhli sharmgaah mein hambistari karna bhi haraam hai. (Shaami: 2/409, Baabul Haiz)

Tuesday, 19 April 2016

AAJ KA SAWAAL) Join Famely Me Parda Kaise?

19/04/2016

JOIN FAMELY ME PARDA KAISE?

AAJ KA SAWAL NO.657

Aurten ghar me join famely me chehre ke parde me koi chhut hai ke nahi? har waqt chehre ka parda jeth,dewar se mushkil hai?

JAWAB اﺪﻣﺎﺣ و ﺎﯿﻠﺼﻣ و ﺎﻤﻠﺴﻣ Han join famely me

Rishtedar ho’n aur Aurat unke saamne Jane per majboor ho,Unse parda karne me chhut-kuchh sahoolat

chaadar-bade dupatte

kafee aur zarooree hai

Hazrat Thanvi rahmatullahi alayhi ke risale ” Ta’alimul Taalib ” se naqal karta hun

shar’an

Rishtedar

Jo

hai,maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru (saamne ) aana aur Betakalluf-bila jhijhak baate karna hargiz nahi chahiye, Jo makaan ki tangi ya har waqt ki gair mahram ke aane jane ki Vajah se gehra-mukammal parda na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar-bade duppate se dhaank kar Sharm wa lihaaz se Ba-zarurat rubaru (saamne) aa jaye, Aur kalaai (wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam he, Isi tarah in logo ke RubaRu itar lagakar Aurat ko aana jaa’iz nahi aur nahi bajta hua zever-payal pehne,”

® Ta’alimul Taalib, 5

Aapke Masail aur unka Hal, 8/35 و ﷲا ﻢﻠﻋا (mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

USTAZE DARUL ULOOM

SURAT, GUJRAT, INDIA.

Monday, 18 April 2016

DEENIYAT IMAGES


GOLDEN WORDS IMAGES

AAJ KE AADAB

18/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
❄   AAJ KE AADAB   ❄
0⃣1⃣0⃣2⃣

       Gam wa pareshaani door
                  karne ki dua

      يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ ‏

        "Ya hayyu yaa qayyoom
         birhamatika astageesu"

Tarjama: Aye hamesha zinda
    rehne waale, sab ko thaamne
      waale ! Main teri rahmat ki
       ummeed ke saath tujh se
             faryaad karta hoon.

           (Tirmizi:3524)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

19/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
❄   AAJ KE AADAB   ❄
0⃣1⃣0⃣3⃣

          Sageera gunaahon se
                  maafi ki dua

  [Rozaana 100 martaba padhein]

                     سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ‏

          "Subhaanallaahi wa
                  bihamdihi"

Tarjama : Allah ki zaat
     tamaam uyoonbon se paak
    hai aur ta'areef usi ke liye hai.

Fazeelat: Rasoolullah ﷺ ne
  irshaad farmaaya Jis ne rozaana
   100 martaba yeh dua padhi us
    ke tamaam (sageera) gunaah
    maaf kar diye jaayeinge, agar
   che woh kasrat mein samandar
       ke jhaag ke baraabar hon.

          (Bukhaari:6405)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

20/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
❄   AAJ KE AADAB   ❄
0⃣1⃣0⃣4⃣

      Nuqsaan se bachne ki dua

             Subah wa shaam
           3 martaba padhein.

          بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ
             شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي
           السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

          "Bismillaahillazee laa
      yazurru ma'asmihee shaiun
      fil arzi walaa fissamaai wa
        huwas sameeul aleem"

Tarjama : Allah ke naam ke
   saath main ne subha ki jis ke
    naam ki barkat se koi cheez
   nuqsaan nahin pohnchaati,
  zameen men aur na aasamaan
    mein aur wahi khoob sunne
   waala, bada jaanne waala hai.

Fazeelat: Rasoolullah ﷺ ne
     farmaaya Jo shakhs subah
    wa shaam 3 martaba yeh dua
    padh liya kare, use koi cheez
   nuqsaan nahin pochncha sakti.

           (Tirmizi: 3388)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

21/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
❄   AAJ KE AADAB   ❄
0⃣1⃣0⃣5⃣

       Badan ki salaamati ki dua

              Subah wa shaam
            3 martaba padhein.

           اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ     
              عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ
         عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَإِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

"Allaahumma aafinee fee badani,
Allaahumma aafinee fee sam'ee,
Allaahumma aafinee fee basari,
           Laa ilaaha illa anta."

Tarjama: Aye Allah! Mere
   badan ko durust rakhiye, Aye
     Allah! Mere kaan aafiyat se
rakhiye, Aye Allah! Meri aankhein
  aafiyat se rakhiye, aap ke siwa
     koi ibaadat ke laaiq nahin.

Fazeelat : Rasoolullah ﷺ
rozaana subah wa shaam ke waqt
yeh dua 3, 3 baar padha karte the.

       (Abu dawood:5090)
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

22/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
0⃣1⃣0⃣6⃣

      Guftagu ke Aadaab

  Pehle Aadab yeh hai ke guftagu
     hamesha narmi se karne ki
  koshish karni chaahiye, kyun ke
  narm mizaaji aksar achchhaiyon
aur bhaalaiyon ki jad aur bunyaad
  hai, isi wajah se Huzoor ﷺ ne
   farmaaya: Jo aadmi narmi se
   mahroom kar diya gaya woh
   saari bhalaaiyon se mahroom
    kar diya gaya [Muslim:6765]
      

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

23/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
0⃣1⃣0⃣7⃣

      Guftagu ke Aadaab

   Doosra adab yeh hai ke jab koi
    baat kisi ko samjhaani ho, to
     guftagu thhaher thhaher kar
karni chaahiye, taake baat sunne
   waale ko achchhi tarah samajh
     mein aa sake, Hazrat Aaisha
   Radi Allahu anha farmaati hain
    ke Huzoor ﷺ ki baat juda juda
    hoti thi, jis ko har sunne waala
              samajh leta tha.
           [Abu Dawood:4839]
      

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

24/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
0⃣1⃣0⃣8⃣

      Guftagu ke Aadaab

   Teesra adab yeh hai ke guftagu
        umoomon aahistagi aur
     munaasib aawaaz ke saath
karni chaahiye, be mauqa cheekh
      cheekh kar baatein karna,
himaaqat wa jahaalat ki nishaani
  hai, Allah ta'ala ne Qur'aan mein
  hazrat Luqmaan alaihissalam ki
    zabaani guftagu aur bolchaal
  ka tareeqa is tarah sikhaaya hai:
      "Aur apni aawaaz zara past
       rakh, sab aawaaz se buri
      aawaaz gadhon ki hoti hai"
           [Sura-e-Luqmaan:19]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

25/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
0⃣1⃣0⃣9⃣

      Guftagu ke Aadaab

Chautha adab yeh hai ke guftagu
  mukhtasar aur baamaqsad honi
    chaahiye, kyun ke mukhaatab
   lambi baat sunne se ukta jaata
  hai, ek dafa ek shakhs ne taweel
  khutba diya, Hazrat Amr bin Aas
   Radi Allahu Anhu ne suna, to
     farmaaya: Agar yeh shakhs
   mukhtasar baat karta, to is ke
liye behtar hota, kyun ke main ne
huzoor ﷺ ne suna hai ke aap ﷺ
  ne farmaaya: Mujhe hukm diya
   gaya hai ke main guftagu mein
  ikhtesaar ikhtiyaar karoon, kyun
        ke ikhtesaar behtar hai.
           [Abu dawood: 5008]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

26/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
0⃣1⃣1⃣0⃣

      Guftagu ke Aadaab

    Paanchwaan adab yeh hai ke
    guftagu hamesha dil aazaari,
    la'an ta'an, geebat wa bohtaan
   aur tanz wagaira se paak honi
    chaahiye, kyun ke ahaadees
      mein in  cheezon se bachne
      ki sakht taakeed aai hai aur
    aisi baaton ko ikhtiyaar karne
      waalon ke haq mein sakht
         waeed bayaan hui hai.

  Note: Ab tak ki ye post
         Idara E Deeniyat ki books
                se likhi gye hai..

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

27/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣1⃣--

  Gaali galoch se bachna

    Islaam ne zabaan ki hifaazat
  karne aur us ko galat istemaal
  se bachaane ka hukm diya hai,
    Ek sachche pakke momin ki
     shaan yeh hai ke woh narm
    mizaaj aur sheereen kalaam
     karne waala hota hai, us ki
  zabaan se gandi baatein, gaali
galoch aur akhlaaq se gire huwe
alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko
    taana nahin deta aur na woh
       kisi par laanat karta hai.
   Hazrat Abdullah bin Mas'ood
    Radi Allahu anhu se riwaayat
       hai ke Rasoolullah ﷺ ne
  irshaad farmaaya: Momin taana
  dene waala, laanat karne waala,
   gandi baatein karne waala aur
            behaya nahin hota.
                [Tirmizi:1977]

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

28/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣2⃣--

Waalidain ko na sataana

                ◽Part: 1◽

          Jis tarah maa baap ki
   farmaanbardaari karna, un ke
    saath achchha sulook karna,
  un ki khidmat karna aur unhein
    hamesha raahat wa aaraam
   pahonchaana bahot badi neki
    aur sawaab ka kaam hai, isi
    tarah un ki naafarmaani karna,
    un ke sath bura sulook karna,
    un ko takleef pahochaana ya
     kisi aur tarah un ko sataana,
         bahot bada gunaah hai.
   Chunaanche ek riwaayat mein
  Rasoolullah ﷺ ne shirk ke baad
    sab se bada gunaah waalidain
  ko satane aur un ki naafarmaani
         karne ko qaraar diya hai.

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

29/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣3⃣--

Waalidain ko na sataana

                ◽Part: 2◽

  Jo shakhs apne maan baap ko
  sataata hai, ya kisi bhi tarah se
    un ka dil dukhaata hai, un ki
    baatein nahin maanta aur un
     ki naafarmaani karta hai, to
   Allah Ta'ala aur Huzoor ﷺ us
   se sakht naaraaz hote hain aur
    Allah Ta'ala use duniya mein
  bhi saza dete hain aur aakhirat
mein bhi us ko bahot sakht saza
deinge. Ek hadees mein Aap ﷺ
ne farmaaya: Tamaam gunaahon
mein se Allah Ta'ala jitna chaahte
  hain maaf farma dete hain, lekin
maan baap ko sataane ka gunaah
aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah
  ke karne waale ko maut se pehle
    duniya hi ki zindagi mein saza
                 de dete hain.
          [Sho'abul Imaan:7890]

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

30/04/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣4⃣--

Waalidain ko na sataana

                ◽Part: 3◽

         Ek doosri hadees mein
        Huzoor ﷺ ne farmaaya:
  Waalidain ki naafarmaani karne
     se bacho, kyun ke jannat ki
  khushbu ek hazaar saal ki doori
     se mahsoos hoti hai. Allah ki
       qasam! Waalidain ka naa-
      farmaan us ki khushbu bhi
          nahin soongh paayega.
          [Tabraani Ausat:5664]

  Lihaaza ham logon ko bhi apne
  waalidain ki naafarmaani karne
aur unhein kisi bhi tarah ki takleef
pahonchaane se bachna chaahiye,
     agar ham apne waalidain ko
takleef pahonchaaeinge, to Allah
Ta'ala ham se naaraaz ho jaaeinge
     aur duniya wa aakhirat mein
        bahot sakht saza deinge.

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

01/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
   AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣5⃣--

    Masjid ka ehteraam

                 ◽Part: 1◽

     Islaam mein masjid ki badi
     ahmiyat hai, masjid ka adab
   wa ehteraam karna zaroori hai
      aur us ke aadaab ka lihaaz
  rakhna parhezgaari ki nishaani
   hai. Masjid ke aadaab mein se
   yeh hai ke masjid mein daakhil
        hote waqt salaam karein,
     bashart yeh ke masjid mein
    baithhe huwe log dars ya zikr
mein mashgool na hon aur agar
  masjid mein koi shakhs na ho,
       to is tarah salaam karein
      "Assalaamu 'alaina wa 'ala
        'ibaadillaahis saaliheen".
          [Sho'abul Imaan: 8836]
 
Ref: Deeniyat Cousre book
               [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

02/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
   AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣6⃣--

    Masjid ka ehteraam

                 ◽Part: 2◽

  Masjid mein jaakar sab se pehle
   do rakat Tahiyyatul Masjid ada
    karein, kasrat se Allah ka zikr
       karte rahein, masjid mein
     dunyaawi guftagu, khareed
  -o-farokht aur gumshuda cheez
   ka elaan na karein, Allah ke zikr
   ke alaawa kisi aur cheez mein
  aawaaz buland na karein, logon
     ki gardanon ko phalaang kar
      aage badhne ki koshish na
karein, jagah ke liye kisi namaazi
   se jhagda na karein, saf mein
    kisi par jagah tang na karein,
namaazi ke samne se na guzrein,
    masjid mein na thookein, na
   ungliyan chatkhaayein, masjid
ko gandagi se paak saaf rakhein
    aur na samajh bachchon aur
    paagalon ko masjid mein na
                    aane dein.

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

03/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
��   ��AAJ KE AADAB��    ��
������--1⃣1⃣7⃣--������

    �� Masjid ka ehteraam ��

                 ◽Part: 3◽

      Rasoolullah ﷺ ne irshaad
   farmaaya: Tum apni masjidon
       se chhote bachchon aur
  paagalon ko door rakho (un ko
    masjid mein na aane do) aur
       khareed-o-farokht, ladaai
     jhagde aur shor hangaame
      (masjid mein) na kiya karo.
             [Ibne Maajah: 750]

  Ek doosri hadees mein Aap ﷺ
  ne farmaaya: Ek zamaana aisa
      aayega ke masjidon mein
dunyawi baatein hongi, tumhein
   chaahiye ke un logon ke pass
      bhi na baithho, Allah ko un
     logon se koi sarokaar nahin.
          [Sho'abul Imaan:2962]
 
��Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]
��������������������
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

04/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣8⃣--

                 Waalidain ka
             Adab-o-Ehteraam

                 ◽Part: 1◽

  Islaam ne maan baap ke saath
    achchha sulook karne aur un
    ka adab-o-ehteraam karne ki
   taaleem di hai, kyun ke maan
   baap hamaari parwarish karte
   hain, hamaari har zaroorat ka
    khayaal rakhte hain, hamaari
khaatir apna aaraam qurbaan kar
   dete hain, un ka ham par bada
   ehsaan hai, isi liye Allah Ta'ala
   ne apni ibaadat ke baad maan
  baap ke saath achchha bartaao
      aur un ka adab-o-ehteraam
          karne ka hukm diya hai.

    Qur'aan-e-Kareem mein hai:
    "Tumhaare rab ne saaf saaf
     hukm diya hai ke tum us ke
   alaawa kisi ki ibaadat na karo
   aur apne maan baap ke saath
   achchha bartao karo. Agar woh
  tumhaare paas hon aur un mein
    se ek ya donon budhaape ko
     pahonch jaayein, to unhein
     "uff" tak na kaho, na unhein
     jhidko, un se khoob adab se
     baat karo". [Sura-e-Asra: 23]

Ref: Deeniyat Cousre book
              [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

05/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣1⃣9⃣--

                 Waalidain ka
             Adab-o-Ehteraam

                 ◽Part: 2◽

   Maan baap ki khidmat karne
    aur un ko raazi rakhne mein
hamaare liye bahot faaide hain,
  duniya mein aur aakhirat mein
    bhi. Ek martaba ek sahaabi
Radhi allahu anhu ne huzoor ﷺ
   se poochha: Ya Rasoolallah!
  Aulaad par maan baap ka kitna
   haq hai? Aap ﷺ ne farmaaya:
    Woh donon tumhaari Jannat
              aur dozakh hain.
            [Ibne Maaja: 3662]

     Yaani jo shakhs maan baap
  ki khidmat karega, un ka kehna
   maanega, un ko raazi rakhega
    aur un ki izzat karega, to use
   jannat milegi aur jo shakhs un
    ko takleef pahonchaaega, un
    ko naaraaz karega, un ka dil
     dukhaaega aur un ka kehna
   nahin maanega, to Allah Ta'ala
     use dozakh mein daal dega.

Ref: Deeniyat Cousre book
               [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

06/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣2⃣0⃣--

                 Waalidain ka
             Adab-o-Ehteraam

                 ◽Part: 3◽

Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ
ne farmaaya Jo farmaanbardaar
     aulaad apne maan baap ko
   muhabbat ki nazar se dekhe, to
   use har nigaah par ek maqbool
     haj ka sawaab milega. Logon
     ko bada taajjub huwa, unhon
   ne poochha: Agar woh din mein
       sau martaba dekhe (to har
  martaba maqbool haj ka sawaab
    milega?). Aap ﷺ ne farmaaya:
     Haan!  [Sho'abul Imaan:7856]

   Is liye hamein chaahiye ke ham
   apne maan baap se muhabbat
karein, un ki izzat karein, hamesha
     un ko aaraam pahonchaaein,
    kabhi bhi un ko zarra baraabar
   takleef na pahonchne dein, har
  haal mein un se narmi aur adab
   se baat karein aur hamesha un
     ke liye dua karte rahein. Agar
     ham un ko raazi rakheinge to
     Allah Ta'ala bhi ham se raazi
    raheinge aur agar ham un ko
naaraaz kar deinge, to Allah Ta'ala
  bhi ham se naaraaz ho jaaeinge.

Ref: Deeniyat Cousre book
               [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

07/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣2⃣1⃣--

           Raaste se takleefdeh
              cheez ko hataana

                 ◽Part: 1◽

    Hamaara Deen Islaam bahot
     hi achchha mazhab hai, yeh
    hamein achchhe kaamon ka
hukm deta hai aur chhoti chhoti
      baaton ke baare mein bhi
   hamaari rehnumaai karta hai.
    Islaam mein raaston ko saaf
    suthra rakhna aur khaas taur
par raaste se takleef dene waali
     cheez ko hata dena sawaab
                 ka kaam hai.

   Hazrat Abu barza Aslami Radi
    Allahu anhu ne huzoor ﷺ se
  arz kiya: Ya Rasoolallah! Mujhe
  koi aisi cheez sikha deejiye, Jis
       se main faaida uthhaaun.
    Aap ﷺ ne irshaad farmaaya:
     Musalmaanon ke raaste se
   takleefdeh cheez ko hata diya
         karo.  [Muslim: 6839]

Ref: Deeniyat Cousre book
               [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

08/05/2016

✨✨✨✨  ﷽  ✨✨✨✨
    AAJ KE AADAB   
--1⃣2⃣2⃣--

           Raaste se takleefdeh
              cheez ko hataana

                 ◽Part: 2◽

   Ek hadees mein Huzoor ﷺ ne
     farmaaya: "Aadmi ka raaste
     se takleefdeh cheez ko hata
               dena sadqa hai".
            [Abu Dawood:1285]

         Jo log raaste ki safaai
  suthraai ka khayaal rakhte hain
   aur aisi cheezon ko hata dete
   hain, jis se guzarne waalon ko
    takleef pahonchti ho, to Allah
    Ta'ala un se bahot khush hote
   hain aur unhein bahot ziyaada
          sawaab ata karte hain.

Ref: Deeniyat Cousre book
               [Idara-E-Deeniyat]

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨